Chahenge tujhe par kabhi ruswa na karenge
Saaye se bhi apane tera shikwa na karenge..
Poochenge hawaaon se ghataaon se tera haal
Milne ko tere waaste aaya na karenge..
Tu mil bhi gaya raah me bhule se jo mujko
Milne ka dubaara kabhi waada na karenge..
Woh zakhm jo tune diya jeene ka sahara hain
Yeh baat magar tujh ko bataya na karenge..
Man from Hyderabad, India
A well known Gazal singer
Talat Azeez
Meher
Jism Se Jaan, Dil Se Sukoon Le Jati Hai
Yeh Aankhen Thakti Nahi Tumhari Raah Dekhte
Kya Tumhe Bhi Meri Yaad Isi Tarah Satati Hai ?
Banhon May Leke Tumhen Apni Sataon Kaese
Siney May Hool Si Uthti Hai Tumhen Paane Ki
Aag Bhadke Jo Milan Ki To Bujhaon Kaese
Tum Se Ab Door Bade Karb May Din Kate Hain
Bin Tumhare Main Ab Is Dil Ko Lubhaon Kaese
Sansen Bhi Doobti Ubharti Hain Ab Siney May
Bin Tere Jaan-e-Jaan Sukh Chaen Ko Paon Kaese
Duriyan Apni Ye Mit Jaaen Duaen Karna
Yon Tere Hijr May Main Khud Ko Bachaon Kaese
Ae Khuda Mujh Ko Mila De Meri Jaan-e-Jaan Se
Us Ke Bin Apna Ye Jiwan Main Bitaon Kaese
Collected by :
Waiting for your comment for this Mail
Dost Apni kuch pechan bana..
kagaz se apna kuch dil laga..
Aj moqa mila hai thu likh yahan..
apne hunar ko thu na chupa..
janthe hai thu un lakho me ek hai..
Tere kahe shabd logo k dil me utar thae hai..
Dost Apni kuch pechan bana..
kagaz se apna kuch dil laga..
Yahan jab aye thae hum naye..
mehnath bohat ki humne is hasil karne k liye..
Aj thuje mouqa mila hai ise na guma..
Dost Apni kuch pechan bana..
kagaz se apna kuch dil laga..
Koi Bhi Waqt Ho Aake Khayalon May Rulata Hai
Huwa Hai Haal Sahera Ke Diwane Jaesa Ab Mera
Nahi Hota Magar Phir Bhi Nazar Paani Hi Aata Hai
Rahon Tanhan Ya Logon May Tum Hi Tum Yaad Aati Ho
Koi Bhi Baat Ho Lab Pe Tumhara Naam Aata Hai
Har Ek Din Bore To Bechaen Ab Raten Huwin Meri
Ae Meri Jaan Bas Mujhko Tera Armaan Satata Hai
Machal Jaati Hain Umeeden Tamanna Jaag Uthti Hai
Tumhara Bhola Bhala Cahera Jab Bhi Yaad Aata Hai
Sukon Main Pa Nahi Sakta Shani Hai Meri Kundli May
Nujomi Dekh Kar Haton Ko Ab Ye Hi Batata Hai
Written By :
Syed Iqtedar Hussain
Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]
Fursat ke in lamhon mein kuch to karne do
Jo bhi ho gayi khata use durust karne do
Mujhe maloom hai toot jaate hai jo rishtein
Unhe jud ne mein kuch waqt to lagta hai
Bikhare motiyon ko pirone mein thoda waqt lagta hi hai
Dukh to hota hai jab bewaqt aate hai aise khayal
Waqt saath deta nahi aur dub jaate hai zazbaat
kal main saza na doo khud ko na hi zakhmon ko silne doo
Abhi to main fursat mein hoo do ghoonth peene to do
Fursat ke In lamhon mein kuch to karne do...
Collected By :
Meher
Main Thik Hu Uske Bina
Kabhi-kabhi Udass Ho Jaata Hu,
Dil Ka Dard Jab Bardasht Ke Bahar Ho Jaata Hai
Tab Aankhon Me "Sagar" Utar Aata Hai
Keh Do Usse
Main Thik Hu Uske Bina......
Yaad Tujhko Hi Din Raat Karne Laga
Thandi Aanhen Subha Shaam Bharne Laga
Main Diwana Shab-e-Wasl Ka Jaan-e-Man
Tumjhko Banhon May Bharne Ko Marne Laga
Bekali Ji Ki Kuch Kam Ho Is Ke Liye
Teri Baaten Diwaaron Se Karne Laga
Yaad Teri Satane Lagi Hai Mujhe
Uthke Raaton Ko Chupke Se Roone Laga
Gham Tera Ghere Rahne Laga Hai Mujhe
Sine May Dard Phir Se Satane Laga
Teri Banhon Ka Sukh Chaen O Jaan-e-man
Paa Ke Jine Ko Main Hosh Khone Laga
Mil Ke Uljhale Tu Gesoaon May Mujhe
Ab Judai Se Teri Main Darne Laga
Written By :
Syed Iqtedar Hussain
Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]