Kiya Hai Pyaar Jise Hamne Zindagi Ki Tarah,
Tumne Agar Kiya Hota Pyar Use Zindgai Ki Tarah
Woh Aashna Bhi Mila Ham Se Ajnabi Ki Tarah
Woh Aasna Tumhe Milta Har Soun Hamsafar Ki Tarah
Badha Ke Pyaas Meri Usne Haath Chod Diya
Chalte Saath Saath Agar Tum Munh Na Mode Lete
Woker Raha Tha Muraawat Bhi Dillagi Ki Tarah
Afsos Ke Mohabbat Ko Bhi Tumne Dillagi Samjha
Sitam To Ye Hai Ki Wo Bhi Na Ban Saka Apna
Sitamgar To Tum The Jo Apna Na Bana Sake Usko
Qubool Ham Ne Kiye Jis Ke Gham Khushi Ki Tarah
Qubool Us Ne Bhi Kiya Tha Tumhen Megboob Ki Tarah.
Dayar-E-Gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete
Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete
Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete
Wo Tera Gam Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete
Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete
Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete
Samton Ko Main Ta-Umr Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete