


(1)
kal bhi booNdeiN barsii thiiN
kal bhi baadal chhaye the
aur kavi ne sochaa thaa!
baadal ye aakaash ke sapne, in zulfoN ke saaye haiN
dosh-e-havaa par maiKhaane hi maiKhaane ghir aaye haiN
rut badlegi, phool khileiNge, jhoNke madhu barsaayeiNge
ujle ujle khetoN meiN rangeeN aaNchal lahraayeiNge
charvaahe bansii kii dhun se geet fazaa meiN boyeiNge
aamoN ke jhunDoN ke neeche pardesi dil kholeiNge
peNg baRhaati gori ke maathe se kauNde lapkeiNge
johaR ke Thahre paani meiN taare aaNkheiN jhapkeiNge
uljhi uljhi raahoN meiN vo aaNchal thaame aayeiNge
dharti, phool, aakaash sitaare sapna sa ban jaayeiNge
kal bhi booNdeiN barsii thiiN
kal bhi baadal chhaye the
aur kavi ne socha!

(2)



aaj bhi booNdeiN barseiNgi
aaj bhi baadal chhaye haiN
aur kavi is soch meiN hai
basti pe baadal chhaaye haiN, par ye bastii kiski hai
dharti par amrit barsegaa, lekin dharti kiski hai
hal jotegi khetoN meiN alhaR Tolii dahqaanoN kii
dharti se phooTegii mehnat faaqaakash insaanoN kii
fasleiN kaaT ke mehnatkash, galle ke Dher lagaayeiNge
jaageeroN ke maalik aakar sab pooNjii le jaayeiNge
booRhe dahqaanoN ke ghar baniye kii qurqii aayegii
aur qarze ke sood meiN koi gori bechi jaayegii
aaj bhi jantaa bhooki hai aur kal bhi jantaa tarsii thii
aaj bhi rimjhim barkhaa hogi, kal bhi baarish barsii thii
aaj bhi baadal chaaye haiN
aaj bhi booNdeiN barseiNgii
aur kavii is soch meiN hai!

WARM REGARDS Collecting By,
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****



maayuus to huuN vaade se tere kuchh aas nahiiN kuchh aas bhii hai
main apâne KhayaaloN ke sadâqe tuu paas nahiiN aur paas bhii hai
hamane to Khushii maaNgii thii magar jo tuune diyaa achchhaa hii diyaa
jis Gham ko taaâalluq ho tujhâse wo raas nahiiN aur raas bhii hai
palâkoN pe larajâte ashkoN meN tasviir jhalak’tii hai terii
diidaar kii pyaasii aaNkhoN ko ab pyaas nahiiN aur pyaas bhii hai

WARM REGARDS Collecting By,
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****



Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain
Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain
Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain
Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain
Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain

WARM REGARDS Collecting By,
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****



chaand maddham hai aasmaaN chup hai
neeNd ki god meiN jahaaN chup hai
door vaadi meiN doodhiyaa baadal
jhuk ke parbat ko pyaar karte haiN
dil meiN naakaam hasrateiN lekar
ham tera intezaar karte haiN
in bahaaroN ke saaye meiN aa jaa
phir muhabbat javaaN rahe na rahe
zindagii tere naamuraadoN par
kal talak meharbaaN rahe na rahe
roz ki tarah aaj bhi taare
subah ki gard meiN na kho jaayeiN
aa tire Gham meiN jaagtii aaNkheiN
kam se kam ek raat so jaayeiN
chaand maddham hai aasmaaN chup hai
neend ki god meiN jahaaN chup hai

WARM REGARDS Collecting By,
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Dour-e-gul rukhsat hua, hathon me pathar reh gaye
Is qadar badla zmana, log shashdar reh gaye
Hum bhala kis se kahain mehrumion ki dastan?
Tishna lab hum hi nahi, pyasy samundar reh gaye
Zeest ki sachaiyon ka zehr pi jany k baad
Talkhion k zaiqay meri zuban per reh gaye
Janay kaisy log thay jo naqsh-e-daaim ban gaye
Aankh Se ojhal huay Pr, dil k andar reh gaye
Haadson ne is qadar sb se gureizaan kar diya
Tujh se kya, hum khud se b aksar ulajh kr reh gaye..!
Collecting Presented By :












