Arzoo

Jab Hamne Pyar Karna Chaha

Tuesday, July 15, 2014

B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
Jab Hamne Pyar Karna Chaha To,
Unhone Hamse Nata Tod Liya.

Jab Kabhi Aayi Yad Hamein Unki,
Unhone Bhi Na Kahte Hue Munh Mod Liya.

Aakhir Kabhi Na Aayegi Yaad Unhe Hamari.
Sochkar Hum Ne Bhi Umeed Ka Daman Chod Diya.

Tarsate Rahe Unki Ek Jhalak Pane Ko,
Aur Apna Har Rasta Dukhon Ki Aur Mod Liya.

Jab Ehsas Hua Hamari Sachchhi Mohbbat Ka Unhe,
Tab Tak Hum Us Mukam Pe The,

Jahan Se Laut Kar Aana Hamare Liye Mushkil,
Aur Hame Pana Unke Liye Namunkin Tha.

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
! ! ! Shaiprajapati ! ! !
Shaiprajapati@Yahoo.Co.In

Arzoo

Aatish-E-Shouq

Tuesday, July 15, 2014

Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu



Haathoun Me Pighal Jane Ko Jee Chahta Hai
Aatish-E-Shouq Me Jal Jane Ko Jee Chahta Hai ?

Tujh Se Ek Raaz Ki Sargoshi Bhi Karna Chahoun
Phir Wohi Raaz Nigal Jane Ko Jee Chahta Hai ?

Dil Ye Chahe Ke Tere Dil Me Rahoun Dil Ban Ke
Phir Ussi Dil Se Nikal Jane Ko Jee Chahta Hai ?

Wehshat Abad Makanoun Me Nahi Jee Lagta
Sheher Se Durr Nikal Jane Ko Jee Chahta Hai ?

Hum Se Yeh Rasm Ki Zanjeer Bhi Kab Toot Saki
Dil Ki Zidd Par Bhi Machal Jane Ko Jee Chahta Hai 

Arzoo

Tribute To Shahensha-E-Ghazal

Monday, July 14, 2014

Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu



Zindagi Mein Toh Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain
Mein Toh Marr Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahounga

Tu Mila Hai Toh Ehsaas Hua Hai Mujhko
Yeh Meri Umr Mohabbat Keliye Thodi Hai

Ek Zara Saagame Daura Ka Bhi Haq Hai Jispar
Maine Woh Saans Bhi Tere Liye Rakh Chodi Hai

Tujhpe Ho Jaaounga Qurbaan Tujhe Chaounga
Main Toh Marr Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahounga

Apne Jazbaat Mein Naghmaat Rachaane Keliye
Meine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai Tujhe

Mein Tasavoor Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoun
Meine Qimsat Ki Laakiroun Se Churaaya Hai Tujhe

Pyaar Ka Banke Nighebaan Tujhe Chahounga
Mein Toh Marr Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahounga

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Arzoo

Hum Chale Iss Jahan Se

Sunday, July 13, 2014

Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu



Ab Ke Hum Bichde Toh Shayad Kabhi Khwaboun Me Mile
Jis Tarah Sookhe Huye Phool Kitaboun Me Mile

Dhoond Ujde Hue Logoun Mein Wafa Ke Moti
Ye Qazane Tujhe Mumkin Hai Khawaboun Mein Mile

Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Faristoun Jaisa
Dono Insaan Hain Toh Inum Itne Hijaboun Me Mile

Gham-E-Duniya Bhi Gham-E-Yaar Me Shamil Karlo
Nasha Behta Hai Sharaboun Me Toh Sharaboun Mein Mile

Ab Laboun Me Hoon Na Tu Hai Na Wo Maaji Hai Faraaq
Jaise Do Saaye Tamanna Ke Saraboun Me Mile

Collection Shayari

Ghazal King Mehandi Hassan

Sunday, July 13, 2014

Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu



Ghazal King Mehandi Hassan Passes Away
India-Born Pakistani Ghazal "Badshah" Mehdi Hassan,
Who Had Been Ailing For The Last Few Years
Passed Away At A Private Hospital ...
Indian-Born Ghazal Legend Mehdi Hassan,
The Melodious Voice Behind Evergreen Hits Like
'Patta Patta, Boota Boota' And 'Ab Ke Bichhare',
Died Today Following Multiple Organ Failure At The Age Of 84.
Hassan, Who Had Millions Of Fans In India And Pakistan,
Had Been Admitted To The Agha Khan Hospital In The Southern Port City Of Karachi Some Days Ago.
He Had Been In A Serious Condition And Was On Ventilator.
" My Father Passed Away At 12:22 PM
After A Long Battle Against Different Ailments,"
His Son Arif Hassan Said.
Hundreds Of Fans Gathered At The Hospital On Learning Of His Death.
Hassan Was Born Into A Family Of Traditional Musicians At Luna Village In India's Rajasthan State In 1927.
His Family Migrated To Pakistan At The Time Of Partition In 1947.
Hassan Cut Back On His Performances In The Late 1980s Due To Illness.
Prime Minister Gilani Expressed Grief And Sorrow At The Death Of Mehdi Hussan.
In A Message,He Said Hassan Was "An Icon Who Mesmerised Music Lovers Not Only In Pakistan But Also In The Subcontinent For Many Decades."
Hassan,Who Last Performed In India In 2000,Wanted To Visit The Country Again,A Dream Which Remained Unfulfilled.Arif Had Even Received The Visa In April For Hassan's Treatment In An Indian Hospital But They Could Not Travel As Singer's Condition Deteriorated.
Considered One Of The Most Successful Ghazal Singers Of Pakistan,
Hassan Was Trained In Classical Music By His Father Ustad Azeem Khan And His Uncle Ustad Ismail Khan Who Were Both Well Respected Classical Musicians.
He Started To Perform At A Young Age And His First Concert Was On Dhrupad And Kheyal With His Elder Brother.
Mehdi Hassan Was Bestowed With The Title Of
Shahenshah-E-Ghazal (TheKing Of Ghazal Singing)
By His Fans For Infusing A New Breath Of Life In The Art Form.
The Legend Also Played An Important Role Of The Cultural Ambassador
Between India And Pakistan And Visited His Birth Country Several Times.
Hassan Started Primarily As A Thumri Singer And Earned Recognition
Within The Musical Fraternity In Pakistan At The Time When Ustad Barkat Ali Khan, Begum Akhtar And Mukhtar Begum Were Considered The Stalwarts Of Ghazal Singing.
There Was A Time In Pakistan's Film Industry When A Film Was
Considered Incomplete Without Mehdi Hassan's Voice.
In 2010, "Sarhadein" Was Released Which Has The First And Last Duet
Song "Tera Milna" By Mehdi Hassan And Lata Mangeshkar, Who Once Called Hassan The " Voice Of God ".
Hassan Recorded It In Pakistan In 2009, And Lata Later Heard The Track And Recorded Her Part In India In 2010 And It Was Later Mixed Together For A Duet.
WE CAN JUST PRAY FOR HIS FORGIVENESS
Ameeen

Religious

Naat-E-Rasool S.A.W

Sunday, July 13, 2014



Arzoo

Mujhe Tum Bhula Naa Sakoge

Saturday, July 12, 2014


Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu



Mujhe Tum Nazar Se Gira Toh Rahe Ho
Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhula Na Sakoge

Na Jaane Mujhe Kyun Yaqeen Ho Chala Hai
Mere Pyaar Ko Tum Mitaa Na Sakoge

Meri Yaad Hogi Jidhar Jaaoge Tum
Kabhi Naghma Banke Kabhi Banke Aansoo

Tadapta Mujhe Har Taraf Paaoge Tum
Shama Jo Jalaayi Hai Meri Wafa Ne

Bujhana Bhi Chaho Bujha Na Sakoge
Kabhi Naam Baatoun Mein Aaya Jo Mera

Toh Bechain Ho Hoke Dil Thaam Loge
Nigahoun Mein Chayega Gham Ka Andhera

Kisi Ne Jo Poocha Sabab Aansoun Ka
Bataana Bhi Chaho Bata Na Sakoge�

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Collection Shayari

AFSANA

Saturday, July 12, 2014

Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu



Muskurahat Si Jo Chehroun Pe Saja Lete Hain
Khud Ko Duniya Ki Nigahoun Se Chupa Lete Hain

Apni Tanhaiye Me Aansoo Ho Muqadar Jinka
Qahqahe Bazm Me Woh Log Laga Lete Hain

Gham Se Begana Jo Nazar Aate Hain Duniya Ko
Apna Dil Seene Me Apne Woh Jala Lete Hain

Gham Ke Maaroun Ko Laga Lete Hain Woh Seene Se
Aur Khud Chupke Se Woh Ashk Baha Lete Hain

Jinke Dil Me Koi Kwahish Nahi Paida Hoti
Khud Ko Pather Ki Tarah Kaise Bana Lete Hain

Jinke Labb Par Koi Shikwa Nahi Aane Paata
Jaane Kis Jurm Ki Woh Khud Ko Saza Dete Hain

Ab Ruby Tum Bhi Sunana Naa Kahani Apni
Log Toh Sach Ko Bhi Afsana Bana Lete Hain

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Dard Shayari

Meri Kahani

Saturday, July 12, 2014


Meri Kahani Me Aayega Jab Tera Naam Sathi,
Tu Khud Sharmsaar Ho Jaayega Mere Fasane Se..!!!
Author : Sagar Shayar
+91 903-999-6556

Collection Shayari

Woh Aate To Hain Magar Tan Se Nahi

Friday, July 11, 2014

Bewafa Shayari
Who aate to hain magar tan se nahi
who bhethe to hain magar man se nahi
kaun kehta hai ki who pyaar nahi karte
karte to hain magar humse nahi…
Bewafa Shayari
Din Me Deepak Jalane Se Kya Hoga ,
Raakh Me Aag Lagane Se Kya Hoga,
Jab Aapko Aati Hi Nahi Hamari Yaad,
Toh Phir Yaad Dilane Se Kya Hoga?

Emotional Shayari in Hindi
Tumhari Duniya Se Chale Jane Ke Baad Hum Tumhe
Har Ek Tare Me Nazar Aaya Karenge
Tum Har Pal Koi Dua Mang Lena
Aur Hum Har Baar Toot Jaya Karenge…
Humein Aansu Se Zakhmo Ko Dhona Nahi Aata
Milti Hai Khushi To Use Khona Nahi Aata
Seh Lete Hai Har Ghum Hans Ke
Log Kehte Hai Humein Rona Nahi Aata…



Collection Shayari

Ajnabi

Friday, July 11, 2014


Ajnabiat Ka Taalluq Khub Hey
Hum Tumharey, Tum Hamaarey Anjabi
Jaan Ke Dushman Hamarey Aashna
Aur Aashna Saarey Ke Saarey Ajnabi
Zindagi Ki Talkhiyan Hein Hamnashin
Phool, Khushbu, Rang Saarey Ajnabi
Wo Jissey Hum Ne Naseer Pehchaan Di
Aaj Wo Hum Ko Pukaarey Ajnabi....

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Collected By :
Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
Shahnaaz

Religious

Allah Hi Allah

Thursday, July 10, 2014

Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu



Kaba Sharif Ki Ababilon Ke Lashkar Ke Zariye Hifazat Karney Wala Kaun Tha : ALLAH
:: Jab Ibrahim Alaihe Salam Ko Aag Me Daal Diya Toh Unki Madad Karney Wala Kaun Tha : ALLAH
:: Jab Younus Alaihe Salam Machli Ke Peit Mein They Toh Unki Pukaar Sunney Wala Koun Tha : ALLAH
:: Yousuf Alalihe Salam Ko Andherey Kuwein Mein Rizq Aur Zindagi Aata Karney Wala Koun Tha : ALLAH
:: Nooh Alaihe Salam Ki Kashti Ko Toofan Se Nikalney Wala Koun Tha : ALLAH
:: Musa Alaihe Salam Ko Firoun Se Bachaney Wala Koun Tha : ALLAH
:: Isa Alaihe Salam Ko Zaalimoun Se Bachakar Aasman Par Uthaney Wala Koun Tha : ALLAH
:: Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam Ki Jung-E-Badr Mein Farishtoun Ke Zariye Nusrat Karney Wala Koun Tha : ALLAH

Allah Subahanhu Ne Quran Mein Farmaya :
:: Aur Allah Tumhara Madadgaar Hai Toh Tum Par Koi Ghalib Nahi AaSakta Aur Agar Woh Tumhey Chorde Toh Phir Koun Hai Jo Tumhari Madad Karey ????
Aur Mominoun Ko Chahiye Ki Allah Hi Par Bharosa Rakhe
AL Quran Surah Aal-E-Imaran , Verse 160
:: Allah Hamarey Liye Kaafi Hai Aur Woh Sabse Behtar Kaam Banane Wala Hai
( Al Quran: 3:173)
:: Aaye Imaan Walo Sabar Aur Namaz Se Madad Liya Karo Beshakk Allah Sabr Karney Waloun Ke Saath Hai
(Al Quran 2:153) 

Arzoo

Qabrein

Wednesday, July 09, 2014


Qabrein Hi Jaanti Hain Ke Is Shaher-E-Jabar Me
Marr Kar Hue Hain Dafn Ke Zinda Gade Hain Log

Contact Us

Name

Email *

Message *