Arzoo

kabhi kitabon mein phool rakhna

Friday, September 05, 2014


Full Entertainment Only On Beautiful Shayari
Full Fun, Beautiful Shayari Ke Sang

kabhi kitabon mein phool rakhna
kabhi darakhton pe nam likhna
hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna
wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten
wo chote-chote se kagzon par
muhabbaton k payam likhna
gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna
mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kahan base ho?
kahan hain un ka qayam likhna
Gai ruton mein ?Hussain? hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subah kehna
kisi ki zulfon ko sham likhna..

Warm & Regards

FAiZAN

Arzoo

Mujhe Ab Laot Jana Hai

Thursday, September 04, 2014



Full Fun, Beautiful Shayari Ke Sang

Mujhe ab laut jana he
Achanak toot jana he
K mere des se aage
Koi pardes mera muntazir he
Mere ehbaab ne hathon men mere
Safar ka zaad b pakrha dia he
Guzishta kal ki sub batain
Bhulae ja raha hun men
Magar w aks jo tere hassas chehre par
numayan tha
wo saare lafz jo ashkon ki soorat
aankh men utre
tere khamosh paikar men chupe ghamnak afsane
teri guftaar ki rim jhim
teri raftaar k mosam
tere kirdaar k moti
tere dil se ubalte khoon k beaawaz se naghme
tere ehsaas ki shiddat
tere jazabaat ki hiddat
men sub kuch yaad rakhunga
teri khamosh aawazen
mee mustaqbil ka hissa hen
mujhe ab laot jaane de
achanak toot jaane de

Warm & Regards

iqbal sheikh Don't Blame People
For Disappointing You
Blame Yourself For
Expecting Too Much From Them..!!

Arzoo

Nazm

Thursday, September 04, 2014

Full Fun, Beautiful Shayari Ke Sang
Full Entertainment Only On Beautiful Shayari
Full Fun, Beautiful Shayari Ke Sang

Aaj barsoon ke baad dekha hai
Ab bhi aankhoon ka rang ghehra hai
Aur maathay ki saanwli si lakeer
Dil mein kitne deeye jalaati hai
Teri qaamat ke saaye ki khushboo
Guftugoo mein bahaar ka mausam
Be-sabab aitbaar ka mausam
Kyon mujhe saaray dhang yaad rahay
Kitni hairaan hogaee khud per
Mein tujhe aaj tak nahee bhuli
Pichle mausam ki yaad baaqi hai ...

Warm & Regards

iqbal sheikh Don't Blame People
For Disappointing You
Blame Yourself For
Expecting Too Much From Them..!!

Arzoo

Tujhko Tujhse Hi Churane Chale Thei

Sunday, August 31, 2014

Tujhko Tujh Se Churaane Chale 

Thei Ham
Aur Apna Wazood Bhi Aaj Ganwa 
Ke Chale Aaye
Teri Surat Ko Palko Mein Basaane 
Chale Thie Ham
Aur Pura Samander Aankho Mein 
Basa ke Chale Aaye
Socha Thaa Tera Haath thaam Ke
Badal denge Ham Duniya Aur
Jo Kuchh Apne Paas Thaa Wo Bhi
Luta Ker Chale aaye.

Contact Us

Name

Email *

Message *