Collection Shayari

Marne Kee Duaaen Kyoon Maangoon

Tuesday, January 19, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Marne Kee Duaaen Kyoon Maangoon , Jeene Kee Tamannaa Kaun Kare
yah Duniyaa Ho Yaa Vah Duniyaa Ab Khvaahish-e-duniyaa Kaun Kare

Jab Kashtee Saabit-o-saalim Thee Tab Saahil Kee Tamannaa Kisko Thee
ab Aisee Shikastaa Kashtee Par Saahil Kee Tamannaa Kaun Kare!

Jo Aag Lagaaee Thee Tumane Usako To Bujhaayaa Ashko Se
jo Ashko Ne Bhaddkaaee Hai Us Aag Ko Thandaa Kaun Kare

Duniyaa Ne Hame Chhoddaa Jazbee Ham Chhodd N De Kyoo Duniyaa Ko
duniyaa Ko Samajh Kar Baithe Hai Ab Duniyaa Duniyaa Kaun Kare

Shayar : Mueen Ahasan Jazbee

Collecting & Presented By :

   

MAJAZ LUKHNWVI

Khud Dil Me Rah Ke Aankh Se Pardaa Kare Koee

Sunday, January 17, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Khud Dil Me Rah Ke Aankh Se Pardaa Kare Koee
haan Lutf Jab Hai Paake Bhee Dhoondhaa Kare Koee

tum Ne To Hukm-e-tark-e-tamannaa Sunaa Diyaa
kis Dil Se Aah Tark-e-tamannaa Kare Koee

duniyaa Laraz Gaee Dil-e-hiramaannaseeb Kee
is Tarah Saaz-e-aish N Chheddaa Kare Koee
[hiramaannaseeba=naseeb Ke Maare Hue]

mujh Ko Ye Aarazoo Vo Uthaaye Naqaab Khud
un Ko Ye Intazaar Taqaazaa Kare Koee

rangeenee-e-naqaab Me Gum Ho Gaee Nazar
kyaa Be-hijaabiyo Kaa Taqaazaa Kare Koee

yaa To Kisee Ko Jurrat-e-deedaar Hee N Ho
yaa Phir Meree Nigaah Se Dekhaa Kare Koee

hotee Hai Is Me Husn Kee Tauheen Ai 'mazaaz'
itanaa N Ahal-e-ishq Ko Rusavaa Kare Koee

Shayar : Majaaz Lakhanavee

Collecting & Presented By :

   

Akhtar Khatri

Mene kaha jitni ye Saanson ki Taar hai

Wednesday, January 13, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Sochoon Tu Wo Saath Chal Rahi Hai
Dekhoon Tu Nazer Badal Rahi Hai

Kyun Baat Zabaan Se Keh Kar
Koi DIL Aaj Bhi Haath Mal Rahi Hai

Raaton Ke Safar Me Waham Sa Hai
Ye Me Hoon Ke Chaandni Chal Rahi Hai

Hum Bhi Tere Baad Jee Rahe Hai
Aur Tu Bhi Kahi Behal Rahi Hai

Samjha Ke Abhi Gaye Hai Yaaro
Aur DIL Hai Ke Phir Machal Raha Hai

Pehle Si Wo Roshni Nahi
Ab Kia DARD ka Chaand Dhal Raha Hai

Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai
Mene kaha Sitaron ka koi Shumaar hai

Usne kaha kaun Tumhe hai bahut Aziz
Mene kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai

Usne kaha kaun sa Tohfa hai pasand?
Mene kaha Wo Shaama jo ab tak Udhaar hai

Usne kaha saath kaha tak Nibhaoge?
Mene kaha jitni ye Saanson ki Taar hai

Usne kaha Mujhko Yaqeen aaye kis tarah?
Mene kaha Mera Naam hi Aitbaar hai..

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Collection Shayari

Friendship Shayari

Sunday, January 10, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Har Kisi Ki Ek Alag Kahani
Sabko Yaha Apni Manzil Hai Pani
Raaste Kafi Mushkil Hai
Thokar Khana Yaha Har Kisi Ko Hai
Q In Raho Mein Hum Kisi Se Mil Jate Hai?
Kabhi Pyar Kabhi Dost Woh Q Kehlate Hai?
Khushi Unko Bole Bina Chain Nahi Milta
Gammo Ko Unse Bate Bina Aaram Nahi Milta
Kaisa Hota Hai Yeh Rishta
Jo Hal Pal Hamare Sath Rehta
Phir Bhi Jab Ek Mod Zindagi Ka Aata
Dosto Ko Piche Chod Ke, Pyar Ko Chahata
Mushkil Kyu Hoti Hai Zindagi Itni
Dosto K Sath Jiyo Jitni, Phir Bhi Kam Lagti Hai Q Zindagi Utni
Har Naya Rasta Phirse Ek Naya Dost Layega
Humari Khushiyon Aur Dukho Ka Raazdar Kehlayega
Phir Hoga Ek Mod Jaisa
Chor Jayega Koi Dost Aisa
Zindagi Ka Yeh Ajeeb Khel Hai
Kabhi Akele Toh Kabhi Dosto Ka Meil Hai
Phir Bhi In Rishton Se Hai Ye Zindagi Suhani
Na Hote Dost Toh Hai Yeh Kitni Virani
Zindagi Ka Safar Yuhi Jiya Nahi Jata
Apne Gammo Ko Akele Piya Nahi Jata
Isiliye Sahara Hai Un Fariston Ka
Khel Kehte Hai Hum Jo Naseebo Ka
Nahi Ho Sakta Bhagwan Har Jagah
Iski Hai Shyd Yeh Wajah
Bheja Hai Apne Bandoko Dost Banakar
Jo Rakhe Hame Sar Akhon Par
Isiliye Raaston Pe Yeh Rishte Mil Jate Hai
Kabhi Dost Toh Kabhi Pyar Yeh Kehlate Hai

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Aditi Jindal

Contact Us

Name

Email *

Message *