Maa Ka Ehteraam

Saturday, July 23, 2011

Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu

" Maa Ka Ehteraam "

Islam Me Khuda Aur Uske Rasool Ke Baad Sabse Ooncha Darja Maa Ka Hai
Ussne Maa Aur Baap Dono Ke Sath Husn-E-Sulook Ki Takeed Ki Hai Aur Unki Ita'at Ka Hukum Diya Hai
Isliye Ke Insan Par Dono Hi Ke Ehsanaat Hain
Laikin Quran Wo Hadees Me Maa ke Ehsanaat Ko Numaya Kiya Gaya Hai
Ek jagah Irshaad Hai :
" Humne Insan Ko Takeed Ki Hai Ke Wo Apne Maa Baap Ke Sath Acha Sulook Kare,
Humne Hukum Diya Ke Mera Shukar Adaa Kar Aur Apne Waldein Ka Bhi Shukar Baja Laa
Meri Hi Taraf Tujhe Palatna Hai,
(Luqman:13)

Rasool Allah Sallalahu Alaihe Wassalam Ne Baap Se Husn-E-Sulook Ki Jis Qadar Takeed Farmayi Hai ..Maa Se Husn-E-Sulook Par Uss Se Zyada Zor Diya Hai
 AAP Ka Irshad Hai :
Mein Aadmi Ko Uski Maa Ke Baare Me Takeed Karta Hoon
Mein Aadmi Ko Usski Maa Ke Baare Me Takeed Karta Hoon,
Mein Aadmi Ko Usski Maa Ke Baare Me Takeed Karta Hoon,
Mein Aadmi Ko Uske Baap ke Baare Me Takeed Karta Hoon,

Hazrat Aiyesha RA Farmate Hain :
Meine Arz Kiya Aaye Allah ke Rasool Sallalahu Alaihe Wassalam
Aurat Par Sabse Zyada Haq Kiska Hai ??
AAP Ne Farmaya :
Shouhar Ka...

Meine Pucha Mard Par Sabse Badaa Haq Kiska Hai ?
AAP Ne Farmaya Uski Maa Ka...
(ibn e maja, kitab Ul Adab Baab Waldein)
Rasool Allah Sallalahu Alaihe Wassalam Ne
Dus Musibatoun Ka Zikr Farmaya Hai Aur Kaha Ke Jan Meri Ummat Jab Inka Artekab Karne Lagegi Toh Usspar Musibatoun Aur Azab Ka Nuzool Shuru Hojayega
Unnme Se Ye Ek Hai :

Aadmi Apni Biwi Ki Baat Manega
Aur Maa Ki Nafarmani Karega
Dost Ke Sath Acha Rawaiyah Iqtiyaar Karega
Aur Baap Ke Sath Uska Rawaiyah Saqt Hoga.....
( Buqari,kitab-ul-adab Huqooq Alwaledein )

Islam Ne Maa Baap Ke Khanooni Huqooq Adaa Karne Hi Par Zor Nahi Diya, Balke Unke Sath Husn-E-Sulook Ki Takeed Farmayi Hai
Issme Ye Baat Jahan Daqil Hai Ke Unke Khanooni Haq Khush Dili Aur Mohabbat Ke Sath Adaa Kiye Jayein Aur Unhe Bojh Naa Samjha Jaye
Wahin Ussme Ye Baat Bhi Aati Hai Ke Khanooni Hudood Se Aage Badh Kar Unke Sath Behtar Se Behtar Sulook Kiya Jaye
Jo Insaan Ke Bass Me Hai
Ussme Bhi Maa Ka Haq Muqaddam Hai
Baap Ke Sath Jo Rawaiyah Iqtiyaar Kiya Jata Hai Uss se Aalaa Rawaiyah Maa Ke Sath Iqtiyar Kiya Jana Chahiye

Aaye Allah Hum Me Itni Taqat Itni Himmat Itni Aqqal De Ki Hum Apne Waldein Ke Huqooq Ko Baqoobi Adaa Kar Sakein...
Ameeeeen Ya Rabbul Alameeen


= = = = = = = = = = = = = = = = = = = =
Aapki Dua Ki Talib
Mrs Rubina Yasmeen
= = = = = = = = = = = = = = = = = = = =

Join My Group
  








Click here to join Beautiful Shayari 

You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *