Naat-E-Rasool Monday, June 04, 2012 Labb Par Naat-E-Paak Ka Naghma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai Mere Nabi Se Mera Rishta Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai Pust Woh Kaise Hosakta Hai Jisko Haq Ne Buland Kiya Dono Jahan Me Unka Charcha Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai Aur Kisi Janib Kyun Jaayein Aur Kisi Ko Kyun Dekhein Apna Sab Kuch Gumbad-E-Qazra Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai Fikr Nahi Hai Humko Kuch Bhi Dukh Ki Dhoop Kadi Toh Kya Hum Par Unke Fazl Ka Saya Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai Batla Do Gustak-E-Nabi Ko Ghairat-E-Muslim Zinda Hai Deen Pe Mar Mitne Ka Jazba Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai Yeh Ke Ek Tasweer-E-Tamanaa Kal Bhi Tha Aur Aaj bhi Hai Labb Par Naat E Paak ka Naghma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai Mere Nabi Se Mera Rishta kal bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai Aapki Dua Ki Talib Mrs Rubina Yasmeen Our Lord !! Accept From Us; Surely U Are The Hearing, The Knowing. Aaye Allah !! Humse Ye Qidmat Qabool Farma, Beshakk Tu Sunne Wala Hai Janne Wala Hai... Share This Story Share on Facebook Share on Twitter Pin this Post Tags: Collection Shayari, Thoughts Newer Post Older Post You Might Also Like 0 blogger-facebook
0 blogger-facebook