Patthar tha magar barf ke galon ki tarah tha Sunday, August 05, 2012 Patthar tha magar barf ke galon ki tarah tha Eik shakhs andheron main ujalon ki tarah tha Khwabon ki tarah tha na khayalon ki tarah tha Wo ilme-riyazee ke sawalon ki tarah tha Uljha hoowa aisa ke kabhi sulajh na paya Suljha hoowa aisa ke misalon ki tarah tha Woh mil to gaya tha magar apna hi muqaddar Satranj ki uljhi hooie chalon ki tarah tha Woh ruh main khoosbu ki tarah ho gaya tahleel Jo door bahut chand ke balon ki tarah tha. Share This Story Share on Facebook Share on Twitter Pin this Post Tags: Collection Shayari, Dard Shayari, Smart Boy Newer Post Older Post You Might Also Like 0 blogger-facebook
0 blogger-facebook