Jise Dushman Samjhta Hu

Thursday, January 07, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


jise dushman samjhta hoon wahi apna nikalta hai,
har ek pathar se mere sar ka kuch rishta nikalta hai..

dara-dhamka ke tum humse waffa karne ko kehte ho,
kahi talwar se bhi paanv ka kaata nikalta hain..?

zara-sa jhut-puta hote hi chhup jata hai suraj bhi,
magar ek chand hai jo... shab me bhi tanha nikalta hai..

kisi ke paas aate hai to dariya sukh jaate hai,
kisi ki aadhiyo se rait me chashma nikalta hai..

fiza me ghol di hai nafrate ahl-e-siyasat ne,
magar paani kuaye se aaj tak meetha nikalta hai..

jise bhi zurm-e-gaddari me tum sab qatl karte ho,
ussi ki jeb se kyun mulk ka jhanda nikalta hai..

duaaye MAA ki pohuchane ko meelo-meel aati haiN,
ki jab pardesh jaane ke liye beta nikalta hai..

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
rahul kapoor

You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *