Main tumhe phir miloongi Sunday, May 01, 2016 Main tumhe phir miloongi Kahan? Kis tarah? Nahin jaanti shayad tumhare takhiyal ki chingari ban kar tumhari cancass par utroongi ya shayad tumhare canvass ke upar ek rahasyamay rekha ban kar khamosh tumhe dekhti rahoongiYa shayad sooraj ki kiran ban kar tumhare rango mein ghuloongi ya rango ki baahon mein baith kar tumhari canvass ko pata nahi - kaise kahan? par tumhe zaroor miloongiYa shayad ek chashma bani houngi aur jaise jharno ka pani udta hain main paani ki boondein tumhare jism par maloongi aur ik thandak si ban kar tumhare seene ke saath liptoongi main aur kuch nahin jaanti par itna jaanti hoon ki wakt jo bhi karega is janam mere saath chalegaYeh jism hota hain to sab kuch khatam ho jaata hain par chetna ke dhaage kaaynaati kano ke hote hain main un kano ko chunoongi WARM REGARDS & Collecting By : Akhtar khatri *****help what we can with others in need...the world is ONE big family***** Share This Story Share on Facebook Share on Twitter Pin this Post Tags: Akhtar Khatri, Collection Shayari, Dard Shayari, Gazal, Intezar, Pyar, Yaad Newer Post Older Post You Might Also Like 0 blogger-facebook
0 blogger-facebook