Akhtar Khatri

Yeh riste ghade ka paani

Monday, May 02, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Yeh riste ghade ka paani
kal tak nahin rehna...

Is paani ke kaan pyase
pyas ke hothon jaise
O mere thande ghoot ke mitra!
Kehde jo kuch kehna

Aaj ka paani kaise utare
kal ki pyaas ka karz
Na paani ke kaan se bandhna
na palloo mein rehna

Dekh ki teri pyas jaisi hain
Is paani ki majboori
Na ise teri pyas sang chalna
na isne yahan baithna

Aaj ke badan par paani chamke
Pyas ke moti jaisa
par aaj ke tan se kal ne
chppar jaisa kirana
main riste ghade ka paani
kal tak nahin rehna

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Main tumhe phir miloongi

Sunday, May 01, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Main tumhe phir miloongi
Kahan? Kis tarah? Nahin jaanti
shayad tumhare takhiyal ki chingari ban kar
tumhari cancass par utroongi
ya shayad tumhare canvass ke upar
ek rahasyamay rekha ban kar
khamosh tumhe dekhti rahoongi

Ya shayad sooraj ki kiran ban kar
tumhare rango mein ghuloongi
ya rango ki baahon mein baith kar
tumhari canvass ko
pata nahi - kaise kahan?
par tumhe zaroor miloongi

Ya shayad ek chashma bani houngi
aur jaise jharno ka pani udta hain
main paani ki boondein
tumhare jism par maloongi
aur ik thandak si ban kar
tumhare seene ke saath liptoongi
main aur kuch nahin jaanti
par itna jaanti hoon ki wakt jo bhi karega
is janam mere saath chalega
Yeh jism hota hain

to sab kuch khatam ho jaata hain
par chetna ke dhaage
kaaynaati kano ke hote hain
main un kano ko chunoongi

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Dard se mera daaman bhar de ya Allah

Saturday, April 30, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Dard se mera daaman bhar de ya Allah
phir chaahe diwaana kar de ya Allah

Main ne tujhse chaand sitaare kab maange?
roshan dil bedaar nazar de ya Allah

Sooraj si ek cheez toh hum sab dekh chuke,
sach-much ki ab koi sahar de ya Allah

Ya dharti ke zakhmon par marham rakh de,
ya mera dil patthar kar de ya Allah


WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Qais tasweer ke parday mein bhi uryaan nikla

Thursday, April 28, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Shuaq har rung raqeeb-e-sar-o-samaan nikla
Qais tasweer ke parday mein bhi uryaan nikla

Zakham ne dad na di tangi e dil ki ya rab!
Teer bhi seena e bismil se pur afshan nikla

Bou e gul, nala e dil, dood e chiragh e mahfil
Jo teri bazm se nikla so pareshaan nikla

Dil e hasratzada tha ma'adai lazzat e dared
Kaam yaron ka ba qadr-e-lab-o-dandaan nikla

Aye nau amooz e fana, himmat e dushwar pasand
Sakht mushkil hai ke ye kaam bhi asaan nikla

Dil mein phir girye ne ek shuar uthaya Ghalib
Aah! jo qatrah na nikla tha, so toofaan nikla !!

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Collection Shayari

Main wahi hoon jisey tum pyaar kiya karte the

Wednesday, April 27, 2016


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Main wahi hoon jisey tum pyaar kiya karte the,
Din main so baar mera naam liya kerte the,
Aaj kya baat hai kyun mujh se khafa bethe ho,
Kya kisi aur ko dil apna bana bethe ho,
Fasley itnay to pehle na hua karte the,
Main wahi hoon jisey tum pyaar kiya karte the,


Mujh ko maloom hai gham hai koi saugaat nahi,
Tum mujeh apna kaho aise bhi haalaat nahi,
Aur agar bhool gaye ho to koi baat nahi,
Zakham to pehley bhi is dil pe laga kerte the,
Main wahi hoon jisey tum pyaar kiya kerte the
Main wahi hoon jisey tum pyaar kiya kerte the ..

Shayar :
Uknown




http://i1138.photobucket.com/albums/n526/beautifulshayari/BeautifulShayari/cooltext571735149.gif
BeautifulShayari@gmail.com

Beautiful Shayari

Tu Kisi Or Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal !

Sunday, April 24, 2016

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjoMe3uRXJy2aaDyFl2QREtnpRAsvPkVkQv_JcM5v0sgaxXSHihT1aAwmFAEv2otoR-bBrzE00yx6s-n_Mw3-AfdOjpTFop7E1Wus50JH3fXO7IDCpkY-sxAQxbUBlBueg5UHSsbHeGaak/s1600/123.jpg

Tu Kisi Or Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal !
Pehele Haq Tha Teri Chahat K Chaman Per Mera !
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-E-Badan Per Mera !
Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi !
Main Tere Gesu-O-Rukhsar Ka Haqdar Nahi !
Ab Kisi Or K Shano Pe Hai Tera Aanchal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal. !
Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basao(n) Kaise ?
Main Teri Maang Sitaro(n) Se Sajao(n) Kaise ?
Meri Qismat Mein Nahi Pyaar Ki Khushbu Shaiyad !
Mere Haatho(n) Ki Lakeeron Mein Nahi TU Shaiyad !
Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal� !
Mujh se Kehtein Hein Ye Khamosh Nigahein Teri !
Meri Parvaaz Se Oonchi Hein Pnaahein Teri !
Or Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hun !
Ab Kisi Or Ki Baho(n) Mein Hein Bahein Teri !
Ab Kahaan Mera Thikana Hai Kahaan Tera Mehal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS
Aditi Jindal

Akhtar Khatri

Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa

Monday, February 29, 2016

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa i.ntezaar kiyaa

[tamaam=whole]
ha.Nsaa ha.Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa
tasalliyaa.N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa

ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa

fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thhii
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa

ye kisane jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa
ki dil se shor uThaa, haa_e! beqaraar kiyaa

ta.Dap phir ai dil-e-naadaa.N, ki Gair kahate hai.n
aaKhir kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiyaa

[sabr=patience]
bhulaa bhulaa ke jataayaa hai unako raaz-e-nihaa.N
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa

[raaz-e-nihaa.N=hidden secret; aashakaar=reveal]
tumhe.n to vaadaa-e-diidaar ham se karanaa thaa
ye kyaa kiyaa ke jahaa.N ko ummiidavaar kiyaa

ye dil ko taab kahaa.N hai ke ho maalandesh
u.nho.ne vaadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa

na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hai.n
vo beqaraar rahe jisane beqaraar kiyaa

kuchh aage daavar-e-mahashar se hai ummiid mujhe
kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Collection Shayari

Ajab Haal hai mere dil ki khusi ka

Monday, February 22, 2016

Collection Shayari

Na Mandir Me Sanam Hote N Masjid Me Khudaa Hota

Tuesday, February 16, 2016

https://rekhta.org/Images/Shayar/naushad-ali.png Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Na Mandir Me Sanam Hote N Masjid Me Khudaa Hotaa
hamee Se Yah Tamaashaa Hai N Ham Hote To Kyaa Hotaa

n Aisee Manjile Hotee N Aisaa Raastaa Hotaa
sanbhal Kar Ham Zaraa Chalate To Aalam Zere-paa Hotaa

zere-paa: Under Feet
ghataa Chhaatee Bahaar Aatee Tumhaaraa Tazakiraa Hotaa
phir Usake Baad Gul Khilate Ki Zakhme-dil Haraa Hotaa

bulaakar Tumane Mahafil Me Hamako Gairo Se Uthavaayaa
hamee Khud Uth Gae Hote Ishaaraa Kar Diyaa Hotaa

tere Ahabaab Tujhase Mil Ke Bhee Maayoos Lawt Gaye
tujhe 'naushaad' Kaisee Chup Lagee Thee Kuchh Kahaa Hotaa

Shayar : Naasir Kaazamee

Collecting & Presented By :

   

Contact Us

Name

Email *

Message *