Arzoo

Main Tere Pyaar May Ye Jaan Kya Imaan Deta...

Friday, June 24, 2016

http://lh4.ggpht.com/_bqONKDsMM94/S0-VhAUEDhI/AAAAAAAAEmI/DTkhIfwGJqY/s400/veer-wallpaper-new-001.jpg
Main Tere Pyaar May Ye Jaan Kya Imaan Deta
Kaash Tu Badhke Ye Kahdeti Ke Ham Aashiq Hain

Jeet Hi Jaata Main Jung Tu Jo Sahara Deti
Do Khadam Saath Bhi Chalti To Tujhe Paa Leta

Thali Ek Haath Se Bajti Nahi Kuch Bhi Karlo
Dono Milte Hain To Ek Goonj Janam Leti Hai

Ab Teri Yaad Hai, Nam Aankh, Lab Pe Aanhen Hain
Tujhse Main Dil Ko Lagane Ki Saza Paaya Hoon

Dard Hota Hai Badan May To Dawa Karte Hain
Dard-e-Dil Dard-e-Jigar Ki To Dawa Kuch Bhi Nahi

Ishq Ka Roog Nirala Hai Lagey Jisko Rameez
Dukh Se Daman Ko Bhare Chaen Mayasser Na Kare

Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]

Collection Shayari

Har Ghadi Tujh Pe Hi Mandlaon Main...

Sunday, June 19, 2016




Har Ghadi Tujh Pe Hi Mandlaon Main
Phool Hai Tu Tera Bhanwra Hoon Main

Bich Main Jaonga Tere Khadmaon May
Tu Hai Raahi Tera Rastaa Hoon Main

Aa Lipat Jayen Ek Duje Se
Bel Hai Tu Tera Mandwa Hoon Main
(Bel = Creeper, Mandwa = Support to climb the creeper)

Tujh Se Raoshan Hai Kayenaat Meri
Chand Hai Tu Andheri Raat Hoon Main

Rah Na Payenge Ham Juda Ho Ke
Phool Hai Tu Teri Khushbo Hoon Main

Har Lamha Saath Tere Raheta Hoon
Tu Hawa Hai Tera Jhonka Hoon Main

Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]

Arzoo

Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte

Thursday, June 16, 2016


 
Same as above which is in Urdu...
Ashfaq Ahmed kahte hain!
Mera pahla bacha meri goud may tha.
Main ek baagh may baetha tha.
Aur maali kaam kar rahe they.
Ek maali mere paas aaya aur kahne laga "mashaAllah bahot pyara bacha hai-Allah is ki umar daraz kare"-main ne us se pucha "tumhare kitne bachey hain?"-wo kahne laga "mere aath (8) bachey hain"-jab is ne aath (8) bachon ka zikar kiya to main ne kaha ke "Allah un sab ko salamat rakhey-laekin main apni mohabbat ko aath bachon may taqhseem karne pe taiyar nahi hoon". ye sun kar maali muskuraya aur meri taraf cahera kar ke kahne laga.
"Sahab Ji!!
Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte... Mohabbat Ko Zarb Diya Karte Hain"
(Taqhseem means Divide, and Zarb Means Multiply)
So just multiply to make it more, don't divide it.
 
RAMEEZ BAKBAK

Collection Shayari

Gham May Bhi Main Bahaal Lagta hoon...

Friday, May 27, 2016

Collection Shayari

Ji Ye Jab Bhi Mera Udaas Jo Hota Hai Rameez...

Wednesday, May 25, 2016

Dard Shayari

Log Shayar kehte hai

Saturday, May 21, 2016


Apna Dard kehta hu to log kehte hai-
Tumhara Andaz shayarana hai
Tumne ki hogi kisi se mohabbat
Tu kisika deewana hai
Rehta hai koi dil me tere
Pyar me tu kisi ke Ashiqana hai....

Kaun Bataye In Logo ko-
Unke dil se nikle humko zamana ho gaya
Mehfil se Nikalkar, Ghar hamara Veerana ho gaya
Bhula diya usne hume guzre zamane ki tarah
Woh kehte hai
Yeh kissa ab purana ho gaya

Written By :
$agar Shayar

Written By :
http://i1138.photobucket.com/albums/n526/beautifulshayari/Sagar.gif

Dard Shayari

Phool Chadayegi To Sahi

Friday, May 20, 2016



Meri Maut Ki Khabar Sunkar
Woh Aayegi To Sahi
Jeete Ji Jisne Surat Nahi Dikhai
Baad Marne Ke Mere, Ghar Aayegi To Sahi
Jo Chal Na Sake Do Kadam Sath Mere
Baad Meri Maut Ke
Kuch Der Janaze Ke Piche Aayegi To Sahi
Sari Umar Mujhe Sirf Kaante Hi Diye Hai Usne
Baad Marne Ke Mere
Kabr Par Phool Chadayegi To Sahi

Written By :
$agar Shayar



http://i1138.photobucket.com/albums/n526/beautifulshayari/Sagar.gif

Contact Us

Name

Email *

Message *