Akhtar Khatri

kabhii yuun bhii aa

Wednesday, July 17, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


kabhii yuun bhii aa merii aankh mein ke merii nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat navaaz de magar uske baad sahar na ho [navaaz - to grant]

vo badaa rahiim-o-kariim hai mujhe ye sifat bhii ataa kare
tujhe bhuulne kii duaa karuun to duaa men merii asar na ho
[rahiim-o-kariim - kind generous; sifat - talent]

mere baazuon mein thakii thakii, abhii mahav-e-Khvaab hai chaandnii
na uthe sitaaron kii paalakii, abhii aahaton kaa guzar na ho

ye gazal ki jaise hiran kii aankhon mein pichhalii raat kii chaandnii
na bujhe Kharaabe kii roshanii, kabhii becharaag ye ghar na ho

vo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa, jo chiraag ban ke jalaa na ho

kabhii dhuup de, kabhii badaliyaan, dil-o-jaan se dono qubuul hain
magar us nagar mein na qaid kar jahaan zindagii kii havaa na ho

kabhii din kii dhuup mein jhuum ke kabhii shab ke phuul ko chuum ke
yuun hii saath saath chalein sadaa kabhii khatm apanaa safar na ho
[shab - night]

mere paas mere habiib aa zaraa aur dil ke qariib aa
tujhe dhadkanon mein basaa luun
main ke bichhadane kaa kabhii dar na ho
[habiib - beloved]


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Mera khamosh rehkar

Friday, March 01, 2013



 mera khamosh rehkar bhi unhen sab kuch suna dena
zabaan se kuch na kehna dekh kar aansu baha dena

nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thehra
ki do tinke jahaan par dekhna bijli gira dena

ijaazat ho to keh duun qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
mujhe kuch to fasaana yaad hai kuch tum suna dena

main mujrim huun mujhe iqraar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pehle khata par ghaur kar lo phir saza dena

main is haalat mein pahuncha hasharwale pukaar uthe
koi faryaad karne aa raha hai raasta dena

Akhtar Khatri

Maana teri nazar mein tera pyaar ham nahi

Friday, March 01, 2013




maana teri nazar mein tera pyaar ham nahi
kaise kahein ke tere talabagaar ham nahi

tan ko jalake raakh banaya, bichha diyaa
lo ab tumhaarii raah mein deewar ham nahi

seenchaa thaa jisako hamane tamanna ke khoon se
chaman mein us bahaar ke haqadaar ham nahi

dhokha diyaa hai khud ko mohabbat ke naam par
ye kis tarah kahein ke gunehagaar ham nahin

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Mujhe tum nazar se giraa to rahe ho

Friday, March 01, 2013

Akhtar Khatri

EK BOOND

Thursday, February 28, 2013



Jyon Nikalkar Badalon Ki God Se

Thee Abhi Ek Bund Kuch Aage Badhi
Sochne Phir-Phir Yahi Jee Main Lagi

Aah! Kyon Ghar ChodKar Main Yun Badhi
Hai Mere Bhagya Main Hai Kya Pata?

Main Bachungi Ya Milungi Dhul Main
Ya Jalungi Gir Angare Par Kisi

Chu Padungi Ya Kamal Ke Phul Main
Bah Gayi Us Kal Ek Aisi Hawa

Wah Samundar Or Ayi Anmani
Ek Sundar Seep Ka Munh Tha Khula

Wah Usi Main Ja Padi Moti Bani

Ahmed Nadeem Qasmi

Ret Se But Na Banaa ai mere achchhe fankaar

Thursday, February 28, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar
(fankaar : artist)

ek lamhe ko Thahar, maiN tujhe patthar laa duuN
maiN tere saamane ambaar lagaa duuN lekin
kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
yaa vo patthraa’ii hu’ii aaNkh kaa niilaa patthar
jis meN sadiiyoN ke tahayyur ke paRe hoN Dore
(tahayyur : astonishment)

kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii hai
ik vo patthar hai jise kahte haiN tahziib-e-safed
us ke mar-mar meN siyah Khuun jhalak jaataa hai
ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath meN teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai
(tahziib-e-safed : culture of the elite class; teshaa-e-zar : power of money)

jitne mayyaar haiN is daur ke sab patthar haiN
sher bhii raqs bhii tasviir-o-Ghinaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahn-e-rasaa bhii patthar
is zamaane meN har fan kaa nishaaN patthar hai
haath patthar haiN tere merii zubaaN patthar hai
ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar
(mayyaar : paradigms; ilhaam : inspiration)

Ahmed Nadeem Qasmi

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Contact Us

Name

Email *

Message *