Arzoo

Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte

Thursday, June 16, 2016


 
Same as above which is in Urdu...
Ashfaq Ahmed kahte hain!
Mera pahla bacha meri goud may tha.
Main ek baagh may baetha tha.
Aur maali kaam kar rahe they.
Ek maali mere paas aaya aur kahne laga "mashaAllah bahot pyara bacha hai-Allah is ki umar daraz kare"-main ne us se pucha "tumhare kitne bachey hain?"-wo kahne laga "mere aath (8) bachey hain"-jab is ne aath (8) bachon ka zikar kiya to main ne kaha ke "Allah un sab ko salamat rakhey-laekin main apni mohabbat ko aath bachon may taqhseem karne pe taiyar nahi hoon". ye sun kar maali muskuraya aur meri taraf cahera kar ke kahne laga.
"Sahab Ji!!
Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte... Mohabbat Ko Zarb Diya Karte Hain"
(Taqhseem means Divide, and Zarb Means Multiply)
So just multiply to make it more, don't divide it.
 
RAMEEZ BAKBAK

Arzoo

Apne Honton Se Pine Ki Ijazat De Do...

Wednesday, June 15, 2016




Apne Honton Se Pine Ki Ijazat De Do
Lamha Bhar Chaen Se Jine Ki Ijazat De Do

Badi Mushkil Se Kaati Hai Judaai Main Ne
Tumko Ab Banhon May Bharne Ki Ijazat De Do

Chaen Mil Jayega Jine Ka Maaza Aayega
Saye May Zulfon Ke Rahne Ki Ijazat De Do

Thak Gaya Hoon May Judai Ko Teri Sah Sah Ke
Palkon Ki Chaon May Rahene Ki Ijazat De Do

Mere Jiwan Ko Jannat Meri Jaan Tum Kardo
Apni Aagosh May Sone Ki Ijazat De Do

Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]

Bewafa

Apni Cahat May Kuch Aur Asar Laana Hai...

Friday, June 10, 2016



Apni Cahat May Kuch Aur Asar Laana Hai
Dhire Dhire Se Tere Dil May Utar Jaana Hai
Kahte Hain Log Sabar Ka Milega Phal Meetha
Mujhko To Intezaar Kar Ke Wohi Paana Hai
Dil Ki Taskeen Ka Samaan Muhaiya Karne
Apni Bahon May Tumhen Jaan-e-Jan Samana Hai
Teri Banhaon May Guzaronga Zindagi Apni
Duniya May Jite Ji Jannat Mujhe Jo Paana Hai
 
Written by Syed Iqtedar Hussain - Alias: Rameez Bakbak
 
RAMEEZ BAKBAK

Collection Shayari

Tu Salamat Rahe Duniya Se Sarokaar Nahi...

Saturday, June 04, 2016

Tu Salamat Rahe Duniya Se Sarokaar Nahi
Tu Hi Aaqha Meri, Mera Koi Sarkaar Nahi
Teri Banhon Ka Sahara Mile jo Gaam Ba Gaam
To Mujhe Koi Bhi Ranginiyan Darkaar Nahi
Gar Teri Zulf Ke Saey May Meri Umr Katey
To Main Samjhonga Ke Jiwan Mera Bekar Nahi
Dil Ye Bechaen Sa Raheta Hai Nigahen Haeran
Koi Bhi Lamha Nahi Jab Main Bekharaar Nahi
Dil Ki Sachai Khasam Khake Tujhse Kaheta Hoon
Ek Siwa Tere Kisi Se Bhi Mujhe Pyaar Nahi
 
Written by Syed Iqtedar Hussain
Alias:

RAMEEZ BAKBAK

Collection Shayari

Bas Yehi Dua Rab Se Subha Shaam Karta Hoon...

Thursday, June 02, 2016

Mere Saathi Tu Hamesha Mere Saath Rahe


Khinch Ke Lakhiron Ko Reit Pe Din Ginta Hoon
Saaz Pe In Laheron Ki Geet Tere Bunta Hoon
Aap Hi Diwana Main Zikr Tera Karta Hoon
Khudse Hi Main Kaheta Hoon Khudse Hi Main Sunta Hoon
Kaam Koi Mujhko Nahi Bas Tera Tasawer Hai
Raat Din Meri Jaana Fikr Teri Karta Hoon
Ab Ke Hamko Milwake Phir Juda Na Kardena
Bas Yehi Dua Rab Se Subha Shaam Karta Hoon


Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]


Collection Shayari

Gham May Bhi Main Bahaal Lagta hoon...

Friday, May 27, 2016

Contact Us

Name

Email *

Message *