Collection Shayari

Usko dil apna deke

Wednesday, July 03, 2013

Collection Shayari

Tu ghar se chala tha ek roz

Wednesday, July 03, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Teri budhi maa darwaze pe nigah basaye baithi hai,
Ke uska beta laut ayega uske paas,
Tera baap tooti parri kursi pe lachar lash ban parra hai,
Ke uske beta uska sahara ban’ne ke liye laut ayega,
Dono ke dil ki dhadkane bas yehi guzarish karti hai tujse,
Ae musafir laut aa
Tu ghar se chala tha ek roz kehke ke laut aunga ek dinn,
Aj toh tu khat bhijwana tak bhool gaya hai,
Kabhi tujhe maa ke peron main jannat dikhayi deti thi,
Aj toh tu maa ka haal puchna tak zaruri nahin samajta,
Maa ke behte ashk cheek cheek kar kehte hai tujse,
Ae musafir laut aa…
Baap ki zindagi main kamaye hue paison se tu bahar gaya tha,

Aj toh tu do paise ghar bhijwane se katrata hai,
Kabhi tujhe baap ki dant main zindagi ka sabak dikta tha,
Aj toh tu baap ki awaz sun’na tak gawara nahin samajta,
Ek mazhoor budhe baap ka dil tadap kar kehta hai tujse,
Ae musafir laut aa…
Aj ek sandesh dena chahta hoon,
Zulm karte bachon ki ankhein kholna chahta hoon,
Bano insaan aur do mohobat maa-baap ko,
Bano unka sahara jinhone tumhe chalna seekhaya tha,
Haath jorr kar guzarish karta hai sabhi se ‘Khamosh’,
Kehta hoon bas yehi,
Ke ae musafiron laut ao

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS
Aditi Jindal

Collection Shayari

Suna hai ishq me tez ho jati hai dil ki dhadkane

Wednesday, July 03, 2013

Collection Shayari

Aisa Filmo Mein Hota hai

Wednesday, July 03, 2013

Collection Shayari

Purani yaad se niklo

Wednesday, July 03, 2013

Collection Shayari

Zindagi Main Hai Dhoka is ke Siwa Kuch Nahi

Tuesday, July 02, 2013

Collection Shayari

Hey Tamana, na havaon

Tuesday, July 02, 2013

Collection Shayari

NA CHAHTE HUE BHI HUMKO

Tuesday, July 02, 2013

Collection Shayari

Tu nhi he to tera gham meri tanhai he

Tuesday, July 02, 2013

Collection Shayari

Aaj ham ayesa kuch kar jaye

Tuesday, July 02, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Aaj ham ayesa kuch kar jaye
Rasme dunia se chal kahi jaye
Tere kandhe pe rakh ke sar apna
Sari duni ko ham bhula jaye
Chal kahi aeyse des ham jaye
Jis jagha piyar ho mohabbat ho
Koi nafrat na shikayat ho jhan
Har taraf phool ho bharei hon
Door tak ham jhan nazar dale
Piyar palta ho piyar basra ho
Na koi gerr na koi praya ho
Har taraf insaniyat ka pehra ho
Koi na jhut na koi dehshat
Piyar hi piyar ki wo dunia ho
Ik duj je ko sab lgayen galle
Na kisi ko kisi se dehshat ho
Har zaban par sirf allah ho
Har zaban par phla kalma ho
Jo khuda ne kha sabhi se he
Pehle insaniyat ka chehra ho
Har labbon par khi lee tabbassum ho
Har kisi dil me quran basta ho
Ik ho kar rhei sabbi bhai
Chahe hinndu ho ya musalma ho
Piyar ki har taraf sune boli
Beti babbul ki hon sabbhi bholli
Biwi hon nek dil sabhi ki jhan
Maa bhi sab ko piyar deti ho
Bhai bhnon pe jan dete ho
Bhne sirf bhai ko piyar karti ho
Mal dolat ki na rahe chahat
Sirf insanniyat ki qimat ho
Ya khuda tu bnade aesa jahan
Jis me bas piyar.piyar palta ho
Karle .bibbo. kidua ye qabool
Har taraf fir to jannate nazaara ho...

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS
Aditi Jindal

Collection Shayari

How To Be A Friend..!!!

Monday, July 01, 2013

01. Don't worry about knowing people just make yourself worth knowing.

02. Friends are those rare people who ask how we are and then wait to hear the answer.

03. If you can buy a person's friendship, it is not worth it.

04. True friends have hearts that beat as one.

05. If you cannot think of any nice things to say about your friends, then you have the wrong friends.

06. Make friends before you need them.

07. If you were another person, would you like to be a friend of yours?

08. A good friend is one who neither looks down on you nor keeps up with you.

09. Be friendly with the folks you know if it weren't for them you would be a total stranger. 

10. A friend is never known till he is needed.

11. Friendship is a responsibility. ..not an opportunity.

12. Friendship is the cement that holds the world together.


13. Friends are those who speak to you after others don't.

14. The reason a dog has so many friends is that he wags his tail and not his tongue.

15. Pick your friends, but not to pieces.

16. A friend is one who puts his finger on a fault without rubbing it in.

17. The way to have friends is to be willing to lose some arguments.

18. If a friend makes a mistake, don't rub it in... Rub it out.

19. Deal with other's faults as gently as if they were your own.

20. People are judged by the company they keep and the company they keep away from.

21. A friend is a person who can step on your toes without messing up your shine. 

22. The best mirror is an old friend.

23. The best possession one may have is a true friend.

24. Make friendship a habit and you will always have friends.

25. You will never have a friend if you must have one without faults.

26. Doing nothing for your friends results in having no friends to do for.

27. Anyone can give advice, but a real friend will lend a helping hand.


28. You can make more friends by being interested in them than trying to have them be interested in you.

29. A real friend is a person who, when you've made a fool of yourself, lets you forget it.

30. A friend is a person who listens attentively while you say nothing.

31. You can buy friendship with friendship, but never with dollars.

32. True friends are like diamonds, precious but rare; false friends are like autumn leaves, found everywhere.

33. A friend is someone who thinks you're a good egg even though you're slightly cracked.

Collection Shayari

Har Dar Pe Jhuke Sar Yeh Meri Shaan Nahi Hai

Monday, July 01, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Samaan-E-Tijarat Mera Iman Nahi Hai.
Har Dar Pe Jhuke Sar Yeh Meri Shaan Nahi Hai.
.
Har Lafz Ko Seene Mein Basa Lo To Bane Baat.
Taaqon Mein Sajane Ko Yeh Quraan Nahi Hai.
.
Allah! Mere rizq ki barkat na chali jaaye.
Do Roz Se Ghar Mein Koi Mehman Nahi Hai.
.
Ham Ne Banaye To Hai Samandar Mein Bhi Raaste.
Yun Haam Ko Mitaana Koi Asaan Nahi Hai.
.
Voh Jis Ko Buzurgon Ki Rivayat Na Rahe Yaad.
Us Shakhs Ki Logo Koi Pehchaan Nahi Hai.
.
Do Char Umeedon Ke Diye Ab Bhi Hai Roshan.
Maazi Ki Haveli Abhi Veeran Nahi Hai.
.
Main Teri Mohabbat Mein Giraftar Hoon Lekin.
Tujh Ko Main Khuda Samjhun Yeh Imkaan Nahi Hai.
.
Phoolon Ki Jagah Jalte Huye Lafz Saje Hain.
Ab Mez Pe Akhbaar Hai Guldaan Nahi Hai.
.
‘Majid’ Yeh Mera Sher Mere Ahd Ki Tasveer.
‘Ghalib’ Ki Ghazal ‘Mir’ Ka Divan Nahi Hai.

Collecting Presented By :
Smart Boy
   

Contact Us

Name

Email *

Message *