Har Dar Pe Jhuke Sar Yeh Meri Shaan Nahi Hai
Monday, July 01, 2013Samaan-E-Tijarat Mera Iman Nahi Hai.
Har Dar Pe Jhuke Sar Yeh Meri Shaan Nahi Hai.
.
Har Lafz Ko Seene Mein Basa Lo To Bane Baat.
Taaqon Mein Sajane Ko Yeh Quraan Nahi Hai.
.
Allah! Mere rizq ki barkat na chali jaaye.
Do Roz Se Ghar Mein Koi Mehman Nahi Hai.
.
Ham Ne Banaye To Hai Samandar Mein Bhi Raaste.
Yun Haam Ko Mitaana Koi Asaan Nahi Hai.
.
Voh Jis Ko Buzurgon Ki Rivayat Na Rahe Yaad.
Us Shakhs Ki Logo Koi Pehchaan Nahi Hai.
.
Do Char Umeedon Ke Diye Ab Bhi Hai Roshan.
Maazi Ki Haveli Abhi Veeran Nahi Hai.
.
Main Teri Mohabbat Mein Giraftar Hoon Lekin.
Tujh Ko Main Khuda Samjhun Yeh Imkaan Nahi Hai.
.
Phoolon Ki Jagah Jalte Huye Lafz Saje Hain.
Ab Mez Pe Akhbaar Hai Guldaan Nahi Hai.
.
‘Majid’ Yeh Mera Sher Mere Ahd Ki Tasveer.
‘Ghalib’ Ki Ghazal ‘Mir’ Ka Divan Nahi Hai.
Collecting Presented By :
0 blogger-facebook