Zindagi Ke Khubsoorat Lamhe

Friday, July 05, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Zindagi ke woh khubsoorat lamhe kahin khote jaa rahe hai,
Jo kal apne the woh aaj paraye hote jaa rahe hai,
Kabhi maa ke haath ki roti sabse swadisht lagti thi,
Aaj toh bas Mcdonalds ko hi chunte jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai…
Ek waqt tha jab beta baap ki godd main soya karta tha,
Baap ki dant sunkar root jaya karta tha,
Phir baap bhi usse mohobat se manaya karta tha,
Aaj toh hum maa-baap ko hadkate jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai…
Ek waqt tha jab hum Khuda ko yaad kiya karte the,
Sahi waqt par namazein adda kiya karte the,
Khud ke liye hi nahin balke sabke liye duaein manga karte the,
Aaj toh bas paison ko aehmiat dekar hum uss parvardigar ko bhulte jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai…

Ek waqt tha jab sab dost yaar sham ki chai saath peeya karte the,
Chai ke saath dilchasp baatein bhi kiya karte the,
Hum saab rais hone ki tamanaein kiya karte the,
Alam ab yeh raha ke sab yahan Rahim ko chorr agey badte jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai…
Apni tanhai ko dekh aaj ghazlein likte jaa rahe hai,
Jo chorr gaye hume unpar ilzam lagate jaa rahe hai,
Duniya se mile ghumon se jane anjane toot’te jaa rahe hai,
Waqt ke iss tez raftar se hum apnon se pichadte jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai…
Duniya main gul kar akhrat ko bhulte jaa rahe hai,
Hum hi apne aap ko badalte jaa rahe hai,
Khuda ki qayanat se khilwad karte jaa rahe hai,
Apni safed rooh par kalik pot’te jaa rahe hai,
Shayad log badalte jaa rahe hai…
Koi hume chorre toh gawara nahin toh phir Khuda ko kyun chorrte jaa rahe hai?
Yeh saab dekh kar ek rote hue kalam se likta hai Rahim,
Shayad log badalte jaa rahe hai

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS
Aditi Jindal

You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *