Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang
Saturday, July 13, 2013Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang
Maine samjha tha ke tu hai to darakhshaan hai hayyaat
Tera gham hai to sham-e-dahar ka jhagra kya hai
Teri soorat se hai aalam mein baharon ko sabaat
Teri aankhon ke siwa dunya mein rakha kya hai
To jo mil jaye to taqdeer nigoon ho jaye
Yun na tha maine faqat chaha tha yun ho jaye
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa
Mujhe pehli si mohabbat mere mehboob na maang
Angeenat sadiyon ke taariq bahimanaa talism
Resham-o-atlas-o-kamKhwaab mein bunwaye hue
Jaa-ba-jaa biktey hue koochaa-o-bazaar mein jism
Khaak mein litharey hue, khoon mein nehlaaye hue
Jism nikaley hue amraaz ke tannuuron se
Peep behti hui jaltey hue naasuuron se
Laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya ki jiye
Ab bhi dilkash hai tera husn mager kya ki jiye
Aur bhi dukh hain mohabbat ke dukh ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa
Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
0 blogger-facebook