Apna dukh tumhe batakar Mein kyon rulaun tumhe

Thursday, June 09, 2011

Sab puchhte meri mohbbat ki kahani,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Pyar to ek jariya hai pas aane ka,
Apni hi jaan ko jaan se marne ka.
Sab dhokha dete hai pyar karke,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Kitna maja aata hai ishq me tadphane ka,
Gahre jakhmon par namak lagane ka.
Har cheej ke tutne ki awaj hoti h pr dil ki nahi,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Uska inkar sunkar waqt jese ruth gaya,
Aanshuon ka bandh sabr se tut gaya.
Uska masoom chehre bhi katil najar aane laga,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Julm yun karke vo muskurayi ese,
Kisi khel ki baji jeet li ho unhone jese.
Unke chehre par darindagi ka esa saya,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Ek chehra jo pahle haseen kitna tha,
Aaj vo lagta jaleem utna tha.
Kya kahun usse bas dekhta raha ek tak,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Vo hath hilakar chal diye kese,
Hamare bina koi fark na padega jese.
Hamari to sanson ne hi sath chhod diya,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Dekhta raha usko k mudkar vo aayegi,
Mere pyar ko thukra kar vo kahan jayegi.
Usse to jana hi tha tabhi thukraya mere pyar ko,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Chah nahi thi kisi aur ko dekhne ki,
Uske alawa kisi aur k bare me sochne ki.
Jameen nigal le ya aasma kha jaye dilse hamne dua ki,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Dil jalta hai tumhe dil ke dag kese dikhaye,
Uske bina rah nahi sakte usko kese samjhaye.
Koi ladki (mumtaj) wafa nahi karti mere dil se ab to,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Ab nahi intejaar tutte dil ko sambhalane ka,
Ek mumtaj bewafa thi aur dusri bewafa pane ka.
Jindagi maut ban chuki hai ab to hamare liye,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Ab to har ladki mujhe mumtaj najar aati hai,
Aur har mumtaj hame bewafa najar aati hai.
Ishq-mohbbat-pyar se to dil ko jese nafrat ho gayi,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Nahi chahiye mumtaj ki hamdardi ek bar fir,
Shayad mumtaj bewafa ho jaye ek bar fir.
Kitne hai dard dil me chhupe ab mere,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Kya haqq hai mera tumhe rulane ka,
Fir apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Mein kyon rulaun tumhe.
Mein kyon rulaun tumhe.




Aapka Love Guru



Click here to join Beautiful Shayari
Click Here to join Beautiful Shayari Group
To get Daily Beautiful Love Shayari,
Sad Heart Touching Shayari,
Hindi Poem, Gazals, Bitter Discourse &
Beautiful Mails In Your Inbox

Thursday, June 09, 2011

Ek Taj Mahal aur bana dete


Uske haseen chahre ko kanwal bana dete,
Uske har shabd par ek gazal bana dete.
Kambkhat marta nahi hai hum par koi,
Varna Ahmedabad me bhi ek Taj Mahal bana dete.
Sab kuch vaar dete ham chaht me uski
Meri aankhon me surat ho bas uski.
Is kadar mehrbaan hota nahi hai hum par koi,
Varna Ahmedabad me bhi ek Taj Mahal bana dete.
Apne aagosh me simet kar rakhe vo hame,
Apni julfon ki chhanv me sulaye vo hame.
Is kadar mohbbat lutata nahi hai hum par koi,
Varna Ahmedabad me bhi ek Taj Mahal bana dete.
Ek bar mar k to dekhe hum par koi,
Ishq k itihaas ko mein dohraunga.
Ek dharti par aur ek chand par,
Uske naam ka taj banaunga.
Is kadar marta bhi to nahi hai hum par koi,
Varna Ahmedabad me bhi ek Taj Mahal bana dete.

Presented By :
Aapka Love Guru


Fir rah-rah kar kyon mujhe mohbbat yad dilata hai koi

Thursday, June 09, 2011



http://i53.tinypic.com/11m5e6w.jpg

Tanha-tanha kyon rulata hai koi,
Soye hue khwab kyon jagata hai koi.
Jakhm bahut khaye hai ishaq ki baji me,
Fir rah-rah kar kyon jakhm taja karta hai koi.
Shirf mohbbat hi to ki thi hamne koi khata nahi,
Fir rah-rah kar kyon ye jatata hai koi.
Ab chale hai vo fir mujhse mohbbat karne,
Ek bar fir mujhe tabah karne.
Hume nafrat si ho gayi hai mohbbat se ab,
Fir rah-rah kar kyon izhar karta hai koi.
Ab to har shakhs hame bewafa,
Aur mohbbat ek khel sa lagta hai.
Jisne jab chaha kar liya, jab chaha tod diya,
Ab to har ehsas ek dhokha sa lagta hai.
Na aao karib mere kahin mohbbat na ho jaye,
Fir rah-rah kar kyon mere karib aata hai koi.
Jab bhi galiyon se gujarata hun,
Log hansate hai meri mohbbat par.
Bewafa to wo thi mene to wafa ki usse,
Fir rah-rah kar kyon ye ehsas dilata hai koi.
Ab to dar lagta hai koi pathar na mare mujhe,
Mohbbat ka parwana samjhkar sama me na dale mujhe.
Ab to uski galiyon se bhi rukhsat kar diye gaye hum,
Fir rah-rah kar kyon mujhe majnu banata hai koi.
Meri mohbbat ko to duniya janti hai,
Meri wafa ko to duniya manti hai.
Tum kya bethe ho meri mohbbat puchhne,
Fir rah-rah kar kyon mujhe mohbbat yad dilata hai koi.
Mein bhool chukka hun mohbbat ko apni,
Fir rah-rah kar kyon mujhe mohbbat yad dilata hai koi.
Fir rah-rah kar kyon mujhe mohbbat yad dilata hai koi.



Aapka Love Guru



Click here to join Beautiful Shayari
Click Here to join Beautiful Shayari Group
To get Daily Beautiful Love Shayari,
Sad Heart Touching Shayari,
Hindi Poem, Gazals, Bitter Discourse &
Beautiful Mails In Your Inbox

Dekhe kab tak hame bhulata hai koi

Saturday, June 04, 2011

Jo hua uska kabhi gam na kar............

Saturday, June 04, 2011

Mein taaj banayun kiske liye....

Saturday, June 04, 2011

http://i56.tinypic.com/nl4hfs.jpg



Jisko dil me basaya tha,
Ek pal na kabhi bhulaya tha.
Logo se bahut chhupaya jo,
Vo raaj bewafa hai.
Mein taaj banayun kiske liye,
Meri mumtaaj bewafa hai.
Mene socha k ishq k,
Itihaas ko ek baar fir dohraunga,
Ek dharti par aur dooja chand par.
Uske naam ka mahal banaunga,
Par karun kya meri soch me,
Vo parvaaj bewafa hai.
Mein taaj banayun kiske liye,
Meri mumtaaj bewafa hai.
Raanjhe ki tarah me to sari,
Umar us par vaar deta.
Vo agar ban jati meri to,
Har khushi us par vaar deta.
Is swarthi duniya me,
Har lihaaj bewafa hai,
Mein taaj banayun kiske liye,
Meri mumtaaj bewafa hai.
Mein chahta tha k mere sath,
Vo maut ki tarah wafa kare.
Par vo bhi jeene ki khwahish gayi,
Jese hadson se maut dare.
Par ulta log to kahte hai,
Bannu hi bewafa hai.
Mein taaj banayaun kiske liye,
Meri mumtaaj bewafa hai.
Mein taaj banayaun kiske liye,
Meri mumtaaj bewafa hai.



Aapka Love Guru



Click here to join Beautiful Shayari
Click Here to join Beautiful Shayari Group
To get Daily Beautiful Love Shayari,
Sad Heart Touching Shayari,
Hindi Poem, Gazals, Bitter Discourse &
Beautiful Mails In Your Inbox

" Baad-E-Saba "

Saturday, June 04, 2011

""Achi Baat Kehna""

Saturday, June 04, 2011

"Musalmaan Ka Gham"

Saturday, June 04, 2011



Shuru Allah Ke Naam Se Jo Hai
inteha Meharban Raham Farmane Wala

Aur Agar Chahta Allah Talah Toh
Bana Deta Unn (Sab) Ko Ek Ummat
Lakin Woh Daqil Karta Hai
Jisko Chahta Hai Apni Rahmath Me
Aur Jo Zulm Karne Wale Hain
Naa Unka Ko Dost Hai
Naa Hi Madadgaar
Kya Unho Ne Bana Liye Hain
Usse Chord Kar Doosre Karsaaz
Pas Allah Hi Haqeeqi Karsaaz Hai
Aur Wo Zinda Karta Hai Murdoun Ko
Aur Woh Har Cheez Par Poori Tarah Khadir Hai
(Al Shurah.8-9)

" Hadees-E-Shareef "

Hazrat Ayesha Razi Allah Anha Se Riwayat Hai Ke
Huzoor Nabi Kareem Sallalahu Alaihe Wassalam Ne Farmaya
Musalmaanoun Me Mukkammil Tareen Imaan Uss Shaqs Ka Hai , Jo Zyada Khush Aqlaaq Ho
Aur Apne Ghar Waloun Ke Sath
Zyada Narmi Aur Meharbani Ka Maamla Karta Ho
(Tirmizi)

" Aqwal-E-Zareen "

Jisko Musalmaan Ka Gham Naa Ho

Woh Meri Ummat Me Se Nahi 
(Nabi Kareem Sallalahu Alaihe Wassalam)

************************
Aap Sabki Dua Ki Talib
Mrs Rubina Yasmeen
************************
 


Click here to join Beautiful Shayari
Click Here to join Beautiful Shayari Group
To get Daily Beautiful Love Shayari,
Sad Heart Touching Shayari,
Hindi Poem, Gazals, Bitter Discourse &
Beautiful Mails In Your Inbox

Kese basaye kisi aur ko is dil me

Saturday, June 04, 2011

Contact Us

Name

Email *

Message *