Apna dukh tumhe batakar Mein kyon rulaun tumhe

Thursday, June 09, 2011

Sab puchhte meri mohbbat ki kahani,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Pyar to ek jariya hai pas aane ka,
Apni hi jaan ko jaan se marne ka.
Sab dhokha dete hai pyar karke,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Kitna maja aata hai ishq me tadphane ka,
Gahre jakhmon par namak lagane ka.
Har cheej ke tutne ki awaj hoti h pr dil ki nahi,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Uska inkar sunkar waqt jese ruth gaya,
Aanshuon ka bandh sabr se tut gaya.
Uska masoom chehre bhi katil najar aane laga,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Julm yun karke vo muskurayi ese,
Kisi khel ki baji jeet li ho unhone jese.
Unke chehre par darindagi ka esa saya,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Ek chehra jo pahle haseen kitna tha,
Aaj vo lagta jaleem utna tha.
Kya kahun usse bas dekhta raha ek tak,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Vo hath hilakar chal diye kese,
Hamare bina koi fark na padega jese.
Hamari to sanson ne hi sath chhod diya,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Dekhta raha usko k mudkar vo aayegi,
Mere pyar ko thukra kar vo kahan jayegi.
Usse to jana hi tha tabhi thukraya mere pyar ko,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Chah nahi thi kisi aur ko dekhne ki,
Uske alawa kisi aur k bare me sochne ki.
Jameen nigal le ya aasma kha jaye dilse hamne dua ki,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Dil jalta hai tumhe dil ke dag kese dikhaye,
Uske bina rah nahi sakte usko kese samjhaye.
Koi ladki (mumtaj) wafa nahi karti mere dil se ab to,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Ab nahi intejaar tutte dil ko sambhalane ka,
Ek mumtaj bewafa thi aur dusri bewafa pane ka.
Jindagi maut ban chuki hai ab to hamare liye,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Ab to har ladki mujhe mumtaj najar aati hai,
Aur har mumtaj hame bewafa najar aati hai.
Ishq-mohbbat-pyar se to dil ko jese nafrat ho gayi,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Nahi chahiye mumtaj ki hamdardi ek bar fir,
Shayad mumtaj bewafa ho jaye ek bar fir.
Kitne hai dard dil me chhupe ab mere,
Lekin mein ye kyon bataun tumhe.
Apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Kya haqq hai mera tumhe rulane ka,
Fir apna dukh tumhe batakar,
Mein kyon rulaun tumhe.
Mein kyon rulaun tumhe.
Mein kyon rulaun tumhe.




Aapka Love Guru



Click here to join Beautiful Shayari
Click Here to join Beautiful Shayari Group
To get Daily Beautiful Love Shayari,
Sad Heart Touching Shayari,
Hindi Poem, Gazals, Bitter Discourse &
Beautiful Mails In Your Inbox

You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *