Fir kyon mohbbat ko satana reet hai duniya ki ??

Tuesday, June 21, 2011

Do dil ek sath machale,
Ek hi rah par dono ek sath chale.
Jab khuda ne bhi izazat de di unhe to,
Fir kyon zalim jamana isme jale.
Unhone to mohbbat bepanah ki thi,
Shirf mohbbat karne ki hi to khata ki thi.
Unki mohbbat ke aage to shabd bhi har gaye,
Fir kyon zalim jamane ne unki imteha li thi.
Unhe to shirf apni hi khusi me jeena tha,
Unhe to duniya ko nahi satana tha.
Vo to apni hi duniya me khush the,
Fir kyon zalim jamane ko unhe mitana tha.
Har sitam saha unhone duniya ka,
Har takleef sahi unhone duniya ki.
Shirf mohbbat hi to pani chahi zamane se,
Fir kyon mohbbat ko satana reet hai duniya ki.
Apne mehboob ki khushi ke liye kurban ho gaye vo,
Apni mohbbat me hi kahin kho gaye vo.
Dono fanah ho gaye apni mohbbat me,
Fir bhi zalim jamane ko mohbbat seekha gaye vo.
Jindagi shirf do pal ki thi unki,
Lekin ab mohbbat to sadiyon ki ho gayi unki.
Dil to unke marne ke bad bhi mil gaye the,
Fir kyon zalim jamane ne mohbbat chheen li unki.
Fir kyon zalim jamane ne mohbbat chheen li unki.




Aapka Love Guru



You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *