Yaro kaha'n tak aur mohabbat nibha'o'n mai
Do mujhko badd dua k usey bhool jaoo'n mai
Sunta hoo'n abb kisi se wafa karr raha hai wo
Ai zindagi khushi se kahee'n marr na jaoo'n mai
Ik shabb bhi wasl ki na mera sath de saki
Ahd e firaq aa k tujhey aazmaoo'n mai
Dill to jala gaya hai wo shoa'la sa aadmi
Abb kiss ko chhoo k hath bhi apna jalaoo'n mai
Utra hai baam se koi ilhaam ki tarah
Jee chahta hai sari zamee'n ko sajaoo'n mai
Uss jaisa naam rakkh k agar aaye maut bhi
Hans kar usey QATEEL galey se lagaoo'n mai.
Collecting Presented By :
Kya Kya Baatein Wo Apni Tehreer Me Likhti Hai,
Ek Nayi Takdeer Meri Takdeer Me Likhti Hai,
Wo Aisi HaMdard Ke Apne Pyar Ke Saare Lafz
Mere Haathonki Lakeer Me Likhti Hai,
Koi Raaz Chhupana Shayad Pasand Nahi Use,
Wo Apna Har Khwab Khuli Tabeer Me Likhti Hai,
Main Uska Ek Man-Chaha Qaidi Hoon Isiliye
NaaM Mera Wo Zulfon Ki Zanjeer Me Likhti Hai,
Bol Uthe Ek Ek Ta'assur Us Ke Chehre Se,
Saari Kahani Wo Apni Tasveer Me Likhti Hia,
Khoob Chehekti Hai Wo Khat Ke Pehle Hisse Mein,
Lekin Dil Ki Sachhi Baat Aakhir Mein Likhti Hai,
Jis Khoobi Se Pehchana Jaye Koi Shakhs,
Qudrat Wo Khoobi Uske Khoon-E-KhaMeer Me Likhti Ha
Collecting Presented By :
Agr Mil Sakay To Wafa Chahye,
Humen Kuch Na Tere Siwa Chahye,
Buht Be Sakun Hain Hum Tere Bin,
Hamen Zindagi Ki Dua Chahiye,
Kahin B Chala Jaon Palat Aaonga Me,
Mujhe Bus Teri Ek Sada Chahiye,
Ho Takmeel Jis Se Meri Zaat Ki,
Baharon Ki Aisi Hawa Chahiye,
Mujhe Tere Dil Me Ay Jan E Wafa
Agr Mil Sake To Jagha Chahye,
Kahan Tak Bhala Me Nibhaun Wafa,
Kabi To Mujhe B Sila Chahiye,
Samandar Hai Meri Zindagi ,
Kinara Mujhe mery Ay KHUDA Chahiye
Collecting Presented By :