Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,
Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se,
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,
Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai,
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,
Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota,
Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,
Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne,
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota.
WARM REGARDS
Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,
Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,
Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte,
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte.
WARM REGARDS
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.
WARM REGARDS
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne.
WARM REGARDS
Seeney se Lipat Ja Mere Khwabon se nikal Kar
Ik baar milein Hum bhi hijaabon se nikal Kar
Kirnon ki tarha baant zamaney mein Ujaala
Khushbu ki tarha Phael Gulabon se nikal Kar
Mai-Khanon Ki Soorat hain Teri Jheel si Aankhein
Doobey hain Jahan loog Shrabon se Nikal Kar
Mujh ko bhi gawara Nahin ab tujh se Bicharna
Dil bhi hai Pareshan Saraabon se nikal Kar
Rehney do abhi gardish-e-doraan mein he MohsiN
Behley gi tabiyat na Azaabon se nikal Kar...........!!
** Mohsin Naqvi **
Collecting Presented By :
न चाहूं मान दुनिया में, न चाहूं स्वर्ग को जाना ।
मुझे वर दे यही माता रहूं भारत पे दीवाना ।
करुं मैं कौम की सेवा पडे चाहे करोडों दुख ।
अगर फ़िर जन्म लूं आकर तो भारत में ही हो आना ।
लगा रहे प्रेम हिन्दी में, पढूं हिन्दी लिखूं हिन्दी ।
चलन हिन्दी चलूं, हिन्दी पहरना, ओढना खाना ।
भवन में रोशनी मेरे रहे हिन्दी चिरागों की ।
स्वदेशी ही रहे बाजा, बजाना, राग का गाना ।
लगें इस देश के ही अर्थ मेरे धर्म, विद्या, धन ।
करुं में प्राण तक अर्पण यही प्रण सत्य है ठाना ।
नहीं कुछ गैर-मुमकिन है जो चाहो दिल से "बिस्मिल" तुम
उठा लो देश हाथों पर न समझो अपना बेगाना ।।
|
Jaane Kyu Aisa Us Din Mere Saath Hua Tha,
Unhone Kaha Tha Milaaingey Jarur Aur Hum Intzaar Karte Rahe,
Shaam Bhi Dhal Gayi, Tufaaan Bhi Aane Lage,
Mere Jasbaatoon Ki Tarha Badaal Bhi Barasney Lage,
... Logo Ne Mujhe Dekha Aur Kaha Lagta Hai Dewani Hai,
Hontho Pe Hasi Hai Iske Aur Aankho Me Kaisa Pani Hai
Vadaa Nibhana Tha Hum Vahi Khade Rahe,
Vo Na Aaye Par Hum Kuch Soch Kar Vahi Bas Khade Rahe,
Juthey Se Ho Gaye They Hum Apne Aap Se Us Din,
Par Bas Hum Bin Soche Samajhe Kuch Unka Intzaar Karte Rahe
Sochoon Tu Wo Saath Chal Rahi Hai
Dekhoon Tu Nazer Badal Rahi Hai
Kyun Baat Zabaan Se Keh Kar
Koi DIL Aaj Bhi Haath Mal Rahi Hai
Raaton Ke Safar Me Waham Sa Hai
Ye Me Hoon Ke Chaandni Chal Rahi Hai
Hum Bhi Tere Baad Jee Rahe Hai
Aur Tu Bhi Kahi Behal Rahi Hai
Samjha Ke Abhi Gaye Hai Yaaro
Aur DIL Hai Ke Phir Machal Raha Hai
Pehle Si Wo Roshni Nahi
Ab Kia DARD ka Chaand Dhal Raha Hai
Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai
Mene kaha Sitaron ka koi Shumaar hai
Usne kaha kaun Tumhe hai bahut Aziz
Mene kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai
Usne kaha kaun sa Tohfa hai pasand?
Mene kaha Wo Shaama jo ab tak Udhaar hai
Usne kaha saath kaha tak Nibhaoge?
Mene kaha jitni ye Saanson ki Taar hai
Usne kaha Mujhko Yaqeen aaye kis tarah?
Mene kaha Mera Naam hi Aitbaar hai..
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
एक चादर में लिपटे दो बदन *
तेरी चांदनी में नहाऊं मैं और हर तरफ बस अंधेरा हो,
एक चादर में लिपटे दो बदन, एक तेरा हो और एक मेरा हो
तेरे मखमली बदन में,खुशबुऒं के चमन में
सदियों तक वो रात चले,सदियों दूर सवेरा हो
एक चादर में लिपटे दो बदन , एक तेरा हो एक मेरा हो
तेरे होठों को सिल दूं मैं अपने होठों के धागे से
एक सन्नाटे में खामोशी से, तेरी बाहों ने मुझको घेरा हो
एक चादर में लिपटे दो बदन, क तेरा हो और एक मेरा हो
दोनों लिपटें एक दूजे से, गांठ सी लग जाए बदनों में
मेरे जिस्म में घर मिल जाए तुझे, तेरे जिस्म में मेरा बसेरा हो
एक चादर में लिपटे दो बदन, एक तेरा हो और एक मेरा हो
आज मन कहता है कि कुछ ऐसा हो, तू बन जाए मैं , मैं बन जाऊं तू
बिस्तर पे तेरे मेरे सिवा,सिर्फ ज़ुनून और खामोशी का डेरा हो
एक चादर में लिपटे दो बदन, एक तेरा हो और एक मेरा हो
Jab Log Juda Ho Jate Hai,
Sab Ehed Hawa Ho Jate Hai
Jab Niyt Me Fatoor Sa Ho,
Sab Amal Gunah Ho Jate Ha
Jab Tere Bary Me Sochtay Ha
Sab Lafz Dua Ho Jate Ha
Jab Ghurbat Dar Pe Dastak De,
Sab Yaar khafa Ho Jatay Hain,
Jab Waqt Dikhata Hai Ankhain,
Sultan Gada Ho Jatay Hain,
Tu Jab Bhe Mere Sath Na Ho
Tehwar Saza Ho Jatay Hain.
Jab Nafrat Lafzon Mein Utray,
Tab Apny Juda Ho Jatay Hain.
Ye Duniya Hai Ay Mere Dost,
Yahan Insan khuda Ho Jate Ha.
WARM REGARDS
Abhi Tum Beth Jao Na,
Buhat Si Baat Baaqi Hai
Mere Halaat Baaqi Hai,
Abhi Jazbaat Baaqi Hai Suno
Tum Kyu Sataate Ho,
Mujhe Kitna Rulaate Ho
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai,
Mujhe Kyu Aazmaate Ho?
Tumhi Ko Yaad Karte Hai,
Tumhi Ko Pyar Karte Hai
Meri To Zindagi Tum Ho,
Samajh Tum Kyu Na Paate Ho?
Meri To Har Khushi Tum Se,
Meri To Zindagi Tum Se
Meri Har Aarzu Tum Se,
Mujhe Tum Kyu Sataate Ho?
Mujhe Tum Kyu Yaad Aate Ho?
WARM REGARDS