Ek lafz Mohabbat hai, jissay kar k daikho tum..
Barbaad na ho jao to mera naam badal daina..
Ek lafz Muqaddar hai, jiss say larr k daikho tum..
Haar na jao to mera naam badal daina..
Ek lafz Wafaa ka hai, zamanay mein nahi milti..
Kaheen say dhoond kar lao to mera naam badal daina..
Ek lafz Aansoo hai, issay dil mein chhupa kar daikho tum..
Aankhon say na beh jaye to mera naam badal daina..
Ek lafz Judai hai, issay seh kar daikho tum..
Toot kar na bikhar jao to mera naam badal daina.
Teri Chah mai hadd se guzar jaoon ga Ek Din
Pyar hota hai kya ye dikhlaoon ga Ek Din
Teri Sangdili ko sehtey sehtey
Mai apni Jaan se guzar jaoon ga Ek Din
Apni chahtain sari Tujh per Waar k ..
Pyar karna Tujhe b sikhaoon ga Ek Din
Gee na payega Tuu b ho k Juda Mujh se
Aisa Pyar Tujh se ker jaoonga Ek Din
Andheron mai dhondta reh jayega Mujh ko
Aisi Be-Rukhi dikhlaoon ga Ek Din
Kho ker Mujh ko boht pachtayega Sanam Tuu
Wafa aisi Tujh se ker jaoonga Ek Din
Aisi Deewangi se Chahoon ga Tujh ko
Bhool jaoge Tum b sara Jahan Ek Din
Jaan Teri b Labon per ajayegi
Ban k Khaak jab mai Mitti mai mil joonga Ek Din
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
kartey hei.n baland apney liye dast-e-dua hum
aur maangtey rehtey hei.n jaha.n bhar ka bhala hum
kya kijiye hei.n dono.n hi paaband-e-qaza hum
maamoor-e-jafa aap hei.n, majboor-e-wafa hum
is dil ka kahin aur thikaana hi nahi.n hai
jaayei.n to kaha.n jaayei.n tere dar ke siwa hum
ik goonj si lot aati hai apni hi sada ki
detey hei.n jo apno.n ko museebat mei.n sada hum
taa-umr ko detey woh hamei.n qaid-e-mashaqat
ae kash k ker laitey koi aisi khata hum
tum apni jafao.n pe pashemaan na hona
maanga hai na maangei.n gay wafao.n ka sila hum
hum log k kehlatey hein ab rooh-e-zamana
hairat hai k ho jayei.n gay ik roz fana hum
zeeshan kahi.n apna bharam toot na jaaye
karney ko chaley hei.n kisi apney se gila hum
Collecting Presented By :
Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Ho
Mare Khaloos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay
Woh Koi Bhi Ho Kahin Bhi Ho Kaisa Bhi Ho
Jo Khuwab Denay Ko QaDir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To
Muskra K Manaye Woh Aisa Ho
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sake
Iradon Mein Woh Apne Chahtaoon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ki Tarha Gehrah Ho
Us K Pyar Ki Thandak Ho Mare Liyae Aisi
K Woh To Bilkul Aasman K Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaon Main Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Sath Chale Woh Aisa Ho
Mujhe Talash Hay Us Ke Jo Mare Jaisa Ho
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****