kartey hei.n baland apney liye dast-e-dua hum
Sunday, August 04, 2013kartey hei.n baland apney liye dast-e-dua hum
aur maangtey rehtey hei.n jaha.n bhar ka bhala hum
kya kijiye hei.n dono.n hi paaband-e-qaza hum
maamoor-e-jafa aap hei.n, majboor-e-wafa hum
is dil ka kahin aur thikaana hi nahi.n hai
jaayei.n to kaha.n jaayei.n tere dar ke siwa hum
ik goonj si lot aati hai apni hi sada ki
detey hei.n jo apno.n ko museebat mei.n sada hum
taa-umr ko detey woh hamei.n qaid-e-mashaqat
ae kash k ker laitey koi aisi khata hum
tum apni jafao.n pe pashemaan na hona
maanga hai na maangei.n gay wafao.n ka sila hum
hum log k kehlatey hein ab rooh-e-zamana
hairat hai k ho jayei.n gay ik roz fana hum
zeeshan kahi.n apna bharam toot na jaaye
karney ko chaley hei.n kisi apney se gila hum
Collecting Presented By :
0 blogger-facebook