Maa ke aanchal me har koi jannat payega..

Wednesday, August 28, 2013


Doston Maa wo hai jiske liye jitna likha jaaye utna kam,
Maa ki mamta ko hum lafzo me bayan nahi kar skte hai.
Maa to hum sabke liye duniya ki ek anmol Niyemat hai.
Yeh puri duniya Maa ke aanchal ke bina adhuri hai.
Humko Maa ke aanchal me Zannat ka ahesas hota hai.
Maa ke kadmo me khushiyon ka khajana hota hai.

Maa se bada duniya me koi ho na payega
Maa ki mamta ka koi kya karz chukayega

Anmol ratan humko maa duniya se pyari hai
Devi ke jaise humko maa yeh humar hai

Maa ke aanchal me har koi jannat payega
Maa ki mamta ka koi kya karz chukayega

Har koi beta beti maa ke sath rahe...
Maa ki baaton ka kabhi shikva na kare

Julm karega maa pe jo woh dojag jayega
Maa ki mamta ka koi kya karz chukayega

Jaane kitne dukh sahkar maa humko paalti
Maa ki hi mamta har dukh ko hai taalti

Maa ko chodke beta kuch na kar payega
Maa ki mamta ka koi kya karz chukayega

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Thanks & Best Regards
Sanjeev
# 09210259018
(¨`·.·´¨) Always
   `·.¸(¨`·.·´¨) Keep
     (¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
    `·.¸.·´                   



You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *