Shikvon ka iydehaam tha dil ki kitab mein
Saare giley tamaam huey ik jawab mein
Woh kaif woh saroor jo apni misaal tha
woh mil gaya hai aap ke husn-e-khitab mein
woh khoobian jo husn ko bakhshe dawam-e-nau
maujood hain woh khoobian saari janab mein
Aankho mein aap ke woh nasha hai janab-i-man
hasil nahin saroor woh jaam-e-sharab mein
Hooraan-i-khuld ko na mila woh jamaal-ezauq
jo zou fishan hai aap ke husn-o-shabab mein
woh ishq ka sabaq bhi mujhe yaad ho gaya
jo juzw-e-awwaleen thaa jadool-e-nisab mein
Chehre pe aik noor hai ankhon mein ik chamak
soi ho jaise hoor koi mahtaab mein
qudrat ne husn aap ko bakhsha hau bemisaal
na chand mein na chandni ki aab-0-taab mein
Laakhon naqoosh-i-rang hain aab-e-rawan ke saath
phirte hain satah-e-aab pe shakl-e-hubab mein
Almukhtasar Rashid woh husn-e-kamak hain
un ko khuda ne rakha hai dar-ul-hijaab mein
Collecting Presented By :