Masoom Mohabbat adna Sa Fasana Hai,
Kagaz Ki Haweli Hai,
Baarish Ka Zamaana Hai,
Kya Shart-E-Mohabbat Hai,
Kya Shart-E-Zamana Hai,
Aawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Geet Bhi Gana Hai,
Uss Paar Uterne Ki Umeed Bohut Kam Hai,
Kashti Bhi Puraani Hai,
Toofaan ko Bhi Aana Hai,
Samajhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz-E-Mohabbat Ko,
Ek Shaqs Ko Aankhon Se kuch Sher Sunaana Hai,
Masuum ada koi phir Ishq ki zid par hai
Phir aag ka dariya hai aur doob ke jaana ha
WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Usey Kehna
Mukammal Kuch Nahi Hota
Milan bhi na mukkamal hai
Judai bhi adhori hai
Yahan ek mout pori hai!
...
Usey kehna
Udaasi jab ragoon main
khoon ki manind utarti hai
Bohat nuksaan kerti hai!
Usey Kehna
Bisaat-e-Ishq pe jab mout hoti hai
Dhukoon k sheher main jab raat hoti hai
Mukkamal bas KHUDA ki Zaat hoti hai
WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
ankhon main koi khawab utarne nahi deta By Mohsin Naqvi
Thursday, February 25, 2016ankhon main koi khawab utarne nahi deta
ye dil ke mujhe chain se marne nahi deta
bichare tu ajab pyaar jatata hai khatoon main
mil jaye tu phir had se guzarne nahi deta
woh shakhs khazan rut main bhi mohtaat hai kitna
sookhe huye phoolon ko bikharne nahi deta
woh dil main tabassum ki kiran gaholne wala
roothe tu ruton ko bhi sanwarne nahi deta
main uss ko manaon ke gham-e-deher se uljhon?
mohsin woh koi kaam bhi karne nahi deta
** By Mohsin Naqvi **
Collecting & Presented By :
Jaane Kyu Aisa Us Din Mere Saath Hua Tha,
Unhone Kaha Tha Milaaingey Jarur Aur Hum Intzaar Karte Rahe,
Shaam Bhi Dhal Gayi, Tufaaan Bhi Aane Lage,
Mere Jasbaatoon Ki Tarha Badaal Bhi Barasney Lage,
...
Logo Ne Mujhe Dekha Aur Kaha Lagta Hai Dewani Hai,
Hontho Pe Hasi Hai Iske Aur Aankho Me Kaisa Pani Hai
Vadaa Nibhana Tha Hum Vahi Khade Rahe,
Vo Na Aaye Par Hum Kuch Soch Kar Vahi Bas Khade Rahe,
Juthey Se Ho Gaye They Hum Apne Aap Se Us Din,
Par Bas Hum Bin Soche Samajhe Kuch Unka Intzaar Karte Rahe
Hawa ke haathon par ik salam likha hai
Phir naam tere wafa ka payam likha hai
Dhadkane raat-din tasbeeh-e-yaar karti hain
Ke meri har sanson pe tera hi naam likha hai
Khayal-e-yaar main khud se bhi bekhabar yun hi
Ke aaj subha ko bhi maine shaam likha hai
Wo khushboo ban kar mere saath saath rahta hai
Ke uss ke naam hi ye maine kalaam likha hai
Wo meri zeest ka hashil hai mera dilbar
Ke jis ke naam ke saath apna likha hai
Collecting & Presented By :