Phool ke rukh pe thehar jane ko jee chahta hai
Aainon ka bhi sanwar jane ka jee chahta hai
Raastay us ki taraf jane ke sab band hue
Ja nahin sakte magar jane ko jee chahta hai
Hum ne chaha tha usay dil-o-jaan ki tarhan
Is haqeeqat se mukar jane ko jee chahta hai
Jis bulandi se zameen choti nazar aati hai
Us bulandi se utar jane ko jee chahta hai
Zindagi tu ne kahan laa ke mujhe chor dia
Saans leta hon to mar jane ko jee chahta hai
Apni kirchiyon ko sambhale rahon aakhir kab tak
Koi chuu le to bikhar jane ko jee chahta hai
Shor dunya ka bohat goonj raha hai mujhe main
Itna khaali hon ke bhar jane ko jee chahta hai
Kar dia itna akela meri ghairat ne mujhe
Jis taraf sab hain,udhar jane ko jee chahta hai
Jab kahin koi thikana hi nahi hai apna
Hum kahen kise ke ghar jane ko jee chahta hai
Ache lafzon se hamen yaad karen log
Kaam aisa koi kar jane ko jee chahta hai
Collecting Presented By :