Jaane Kyu Aisa Us Din Mere Saath Hua Tha,
Unhone Kaha Tha Milaaingey Jarur Aur Hum Intzaar Karte Rahe,
Shaam Bhi Dhal Gayi, Tufaaan Bhi Aane Lage,
Mere Jasbaatoon Ki Tarha Badaal Bhi Barasney Lage,
...
Logo Ne Mujhe Dekha Aur Kaha Lagta Hai Dewani Hai,
Hontho Pe Hasi Hai Iske Aur Aankho Me Kaisa Pani Hai
Vadaa Nibhana Tha Hum Vahi Khade Rahe,
Vo Na Aaye Par Hum Kuch Soch Kar Vahi Bas Khade Rahe,
Juthey Se Ho Gaye They Hum Apne Aap Se Us Din,
Par Bas Hum Bin Soche Samajhe Kuch Unka Intzaar Karte Rahe
Hawa ke haathon par ik salam likha hai
Phir naam tere wafa ka payam likha hai
Dhadkane raat-din tasbeeh-e-yaar karti hain
Ke meri har sanson pe tera hi naam likha hai
Khayal-e-yaar main khud se bhi bekhabar yun hi
Ke aaj subha ko bhi maine shaam likha hai
Wo khushboo ban kar mere saath saath rahta hai
Ke uss ke naam hi ye maine kalaam likha hai
Wo meri zeest ka hashil hai mera dilbar
Ke jis ke naam ke saath apna likha hai
Collecting & Presented By :
Seeney se Lipat Ja Mere Khwabon se nikal Kar By Mohsin Naqvi
Tuesday, February 23, 2016Seeney se Lipat Ja Mere Khwabon se nikal Kar
Ik baar milein Hum bhi hijaabon se nikal Kar
Kirnon ki tarha baant zamaney mein Ujaala
Khushbu ki tarha Phael Gulabon se nikal Kar
Mai-Khanon Ki Soorat hain Teri Jheel si Aankhein
Doobey hain Jahan loog Shrabon se Nikal Kar
Mujh ko bhi gawara Nahin ab tujh se Bicharna
Dil bhi hai Pareshan Saraabon se nikal Kar
Rehney do abhi gardish-e-doraan mein he MohsiN
Behley gi tabiyat na Azaabon se nikal Kar...........!!
** Mohsin Naqvi **
Collecting & Presented By :