Collection Shayari

Har Ghadi Tujh Pe Hi Mandlaon Main...

Sunday, June 19, 2016




Har Ghadi Tujh Pe Hi Mandlaon Main
Phool Hai Tu Tera Bhanwra Hoon Main

Bich Main Jaonga Tere Khadmaon May
Tu Hai Raahi Tera Rastaa Hoon Main

Aa Lipat Jayen Ek Duje Se
Bel Hai Tu Tera Mandwa Hoon Main
(Bel = Creeper, Mandwa = Support to climb the creeper)

Tujh Se Raoshan Hai Kayenaat Meri
Chand Hai Tu Andheri Raat Hoon Main

Rah Na Payenge Ham Juda Ho Ke
Phool Hai Tu Teri Khushbo Hoon Main

Har Lamha Saath Tere Raheta Hoon
Tu Hawa Hai Tera Jhonka Hoon Main

Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]

Good Morning

Good Morning

Friday, June 17, 2016


Value quotes, Special Quotes
Messages, Motivational Posters, Pictures

May Allah Bless You All
May Allah Shower His Mercies On You

Have A Great & Blessed Day

**************************
Rembr Me In Ur Prays
Mrs Rubina Yasmeen
**************************

Arzoo

Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte

Thursday, June 16, 2016


 
Same as above which is in Urdu...
Ashfaq Ahmed kahte hain!
Mera pahla bacha meri goud may tha.
Main ek baagh may baetha tha.
Aur maali kaam kar rahe they.
Ek maali mere paas aaya aur kahne laga "mashaAllah bahot pyara bacha hai-Allah is ki umar daraz kare"-main ne us se pucha "tumhare kitne bachey hain?"-wo kahne laga "mere aath (8) bachey hain"-jab is ne aath (8) bachon ka zikar kiya to main ne kaha ke "Allah un sab ko salamat rakhey-laekin main apni mohabbat ko aath bachon may taqhseem karne pe taiyar nahi hoon". ye sun kar maali muskuraya aur meri taraf cahera kar ke kahne laga.
"Sahab Ji!!
Mohabbat Taqhseem Nahi Kiya Karte... Mohabbat Ko Zarb Diya Karte Hain"
(Taqhseem means Divide, and Zarb Means Multiply)
So just multiply to make it more, don't divide it.
 
RAMEEZ BAKBAK

Arzoo

*~* Dil Mera Legaya *~*

Wednesday, June 15, 2016

Arzoo

Apne Honton Se Pine Ki Ijazat De Do...

Wednesday, June 15, 2016




Apne Honton Se Pine Ki Ijazat De Do
Lamha Bhar Chaen Se Jine Ki Ijazat De Do

Badi Mushkil Se Kaati Hai Judaai Main Ne
Tumko Ab Banhon May Bharne Ki Ijazat De Do

Chaen Mil Jayega Jine Ka Maaza Aayega
Saye May Zulfon Ke Rahne Ki Ijazat De Do

Thak Gaya Hoon May Judai Ko Teri Sah Sah Ke
Palkon Ki Chaon May Rahene Ki Ijazat De Do

Mere Jiwan Ko Jannat Meri Jaan Tum Kardo
Apni Aagosh May Sone Ki Ijazat De Do

Written By :
Syed Iqtedar Hussain


Alias :
Rameez Hussain [ Bakbak ]

Contact Us

Name

Email *

Message *