Akhtar Khatri

BichhaR ke tum se yeh sochuN...

Tuesday, February 05, 2013



Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


BichhaR ke tum se yeh sochuN, K dil kahaaN jaaye
Sehar udaas kare, shaam raayegaaN jaaye

ZameeN – badar jo hue ho to mere ham-safaro
Chalay chalo K jahaaN tak yeh aasmaaN jaaye

Tamaam shahr mein phailii hui hai tanhaayii
Ye dil jawaaN sahi, lekin kahaaN kahaaN jaaye

JaluN to yuN K azal jagmagaa uThe mujh se
BujhuN to yuN K abad tak mera dhuwaaN jaaye

Abhi to dil se nikal kar zabaaN tak aayi hai
Kise khabar K kahaaN tak yeh daastaaN jaaye

Qadam-qadam pe hai zandaN ravish-ravish pe salib
Koi to ho jo K jo ab bahr E imtehaaN jaaye

BichhaR chalaa hai to meri duaa bhi leta ja
WahaaN-wahaaN mujhe paye, jahaaN-jahaaN jaye

Main apne ghar ki taraf jaarahaa huN yuN ‘Muhsin’
K jaise luT ke, kisi ban mein kaarvaaN jaaye

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Dubo kar khoon meN lafzoN ko

Tuesday, February 05, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Dubo kar khoon meN lafzoN ko angaaray banaataa hooN
Phir angarooN ko daheka kar ghazal paaray banaataa hooN

ZamiN par hi rafooo ka dher sara kaam baqi hai
KhalaaoN say na kahe dena K saiyaaray banaataa hooN

Mere hathoN ke chhalay phool ban jatay haiN kaghaz par
Meri aankhooN say poocho raat bhar taaray banaataa hooN

Jidhar maati uRaa dooN aftaab E taazaa paidaa ho
Abhi bachchoN main hoon saabun ke ghubbaaray banaataa hooN

Zamaanaa mujh se barham hai mera sar is liyee kham hai
K mandir ke kalas, masjid ke meenaaray banaataa hooN

Mere bachchay khaRe haiN balti le kar qataaroN meN
KuiaiN, taalaab, nahraiN aur fawwaaray banaataa hooN

Muzaffar waaqayi be dast-O-paa hooN maiN to kya Gham hai
Yeh kya kam hai ke mansoobay bahoot saaray banaataa hooN

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Hum sunayaiN to kahaani aur hai

Tuesday, February 05, 2013

ADA JAFRI

aaKhirii Tiis aazamaane ko

Monday, February 04, 2013

Akhtar Khatri

Aaj Likhe Sher

Monday, February 04, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Maayne Zindagi Ke Jabb Sochta Hun 'Akhtar',
Tere Siva Kuchh Zehan Mein Aata Hi Nahin.
Umra Beeti Fasaane Uske Sunaate Sunaate,
Thak Gaya Hun, Abb To Wo Laute Ikkbaar.
Khub Bhaa Gayi BadHaali Muqaddar Ki 'Akhtar',
Ghumon Ko Bhi Jhelte Ho Muskurar Humesha.
Ranjh Usko Huua Hoga Yakinan Juda Hoke 'Akhtar',
Wafaa Par Meri Wo Kaseede Jo Padhta Tha.
Rukk Jana Tareeqa Nahi Hai Mera 'Akhtar',
Chalta Rahunga Koi Saath De Na De
Tok Dete Ikk Baar Meri Gustakhiyon Ko 'Akhtar',
Umrabhar Ki Sazaa Kuchh Zyada Lagti Hai Abb
Qaabil Hi Nahin The Shaayad 'Akhtar',
Chhod Ke Koi Yuun Hi Nahin Jaata Aksar.
Gaflat Kuchh Yuun Kar Di Junun Mein'Akhtar',
Muhabbat To Kho Gayi Ek Achcha Dost Bhi.
Wo Roya To Hoga Bichhadte Waqt Yakinan 'Akhtar'
Baarish Ki Boondon Ne Shayad Ashq Dho Diye Honge.
Mere Ashq Wo Na Dekh Paaya Us Din 'Akhtar'
Uski Tarah Mere Ashq Bhi Baarish Ne Chhupa Diye
Kya Lagta Tha Wo Mera ?
Kisne Bheja Tha Use ?
Kaise Itna Qareeb Ho Gaya Tha Wo ?
Kyun Rootha Fir Wo ?
Kyun Chhod Diya Mujhe ?

Inhi Savaalon Ke
Javaab Dhoondhne
Mein Zindagi Jaise
Taras Gayi Milne Ko
Use Jisne Sirf Yeh Savaal Diye
Aur Javaab dhoondhne Ko
Di Sirf Aur Sirf
PYAR BHARE LAMHON KI
Yeh Ishq Ki Baatein, Fareb Ki Baatein,
Pyar ke Imtihaan, Zulm Ki Intehaa,
Khusheeyon Ke Pal, Ashqon Ke Daur,
Unns Ki Chaah, Judaaii Ka Dard,

Maana Ki Ishq Andha Hota Hai 'Akhtar',
Yeh Sab Na Dekha To Jeena Kaisa.
Dard Mein Sisakta Hoga Meri Tarah 'Akhtar',
Ilzaam Us Par Bhi Bewafaii Ka Jo Hai.
Baadlon Ke Sang Mehtaab Ki Atkheliyan Jaise,
Wo Khelta Hai Bachchon Ka Yeh Khel Mujhse.
Dil Jalakar Bhi Andhera Khtm Na Huaa 'Akhtar',
Ab Ujaalon Ko Aankhen Band Karke Dekhta Hun
Rasme ulfat Ki Baat Thi Unke Liye 'Akhtar',
Dil Todten Hai Aise Hi Yeh Ishqwale Aksar
Socha Ki
Zarra Bhar Yaadein Liye,
Pahaad Si Zindagi,
Beetegi Kaise ?

Fi Ikk Chhoti Si
Aas Ka Us Se Bhi
Chhota Motee
Allah Ne Fenka
Aur Bole ;
'Kaatle Bande Zindagi'
Kuchh Raaz Hoga Maalik Ka
Yeh Sochkar
Kat Rahi Hai
Zindagi
Us Aas Ke Motee
Ke Sahaare.
Raasta Wahi Manzil Koi Nahin Abb 'Akhtar',
Bas Chalna Hai Be-Vajah Kisi Bhi Aur.
Allah ! Kaisi Kashmkash Hai Yeh 'Akhtar'
Unhe Mera Hona Nahin, Mujhe Unhe Khona Nahin
Wafa Ko Jaanta Nahin Hoga Wo Shaayad 'Akhtar',
Bholepan, Nadaani Me Barbaad Kar Gaya Mujhe
Koi Tujhsa Banaa Hi Nahin Do Jahan Mein 'Akhtar',
Kami Teri Khalti Hai Isiliye Zyaada, Teri Bina.
Aadat Nahin Meri Zarurat Ho Tum 'Akhtar',
Aadatein Waqt Badale Badalti Hain Zarurten Nahin
Kuchh Aur Ghum De Jaa Aye Zaalim !'Akhtar',
Dekh Abhi Bhi Main Muskura Raha Hun.
Chaah Unhe Chaahne Ki Khtm Na Huee 'Akhtar',
Chhut Gayi isi Mein Raah Rooh Ki Raahat Ki.
Ehsaan Sirf Yeh Karna Jab Lauto Tab 'Akhtar',
Na Puchhna Kaise Guzaare Judaii Ke Din.
Tu Kehkar To Dekhta Ikk Baar 'Akhtar',
Zubaan Ka Pakka Kehten Hai Mujhe Dost.
Rakh Liya Tha
Palkon Mein
Wo Ashq Jo
Uski Aankh Se
Gira Tha
Jab Wo
Aakhri Baar
Mila Tha
Mujhe Aaj Bhi
Jab Wo Yaad Aata Hai
Aur Main Rota Hun
Hazaar Ashq Ban Kar
Uska Wahi Ashq
Behne Lagta Hai
Aur
Mere Saare
Ghumon Ko
Apne Saath
Ubhaar Deta Hai

Allah Kare
Meri Aankhon Se Gira
Aisa Hi Ikk Ashq
Uske Paas Bhi Ho.
Wo Chaahe Hume Yeh Na Chaaha Kabhi 'Akhtar',
Kuchh Shauk Tha Aisa Ghumon Ko Gale Se Lagaane Ka.
Wo Raasta Puchh Raha Hai Unki Khabar 'Akhtar',
Ummeed Se Jaham Main Unhe Dhundhne Nikla Hun.

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Tumhaari yaad ke jab zakhm

Monday, February 04, 2013

Bewafa

Dil Nahi Chahta Mera Hasne Ka Israar Na Kar

Sunday, February 03, 2013

Contact Us

Name

Email *

Message *