Aaj Likhe Sher Monday, February 04, 2013 Maayne Zindagi Ke Jabb Sochta Hun 'Akhtar', Tere Siva Kuchh Zehan Mein Aata Hi Nahin. Umra Beeti Fasaane Uske Sunaate Sunaate, Thak Gaya Hun, Abb To Wo Laute Ikkbaar. Khub Bhaa Gayi BadHaali Muqaddar Ki 'Akhtar', Ghumon Ko Bhi Jhelte Ho Muskurar Humesha. Ranjh Usko Huua Hoga Yakinan Juda Hoke 'Akhtar', Wafaa Par Meri Wo Kaseede Jo Padhta Tha. Rukk Jana Tareeqa Nahi Hai Mera 'Akhtar', Chalta Rahunga Koi Saath De Na De Tok Dete Ikk Baar Meri Gustakhiyon Ko 'Akhtar', Umrabhar Ki Sazaa Kuchh Zyada Lagti Hai Abb Qaabil Hi Nahin The Shaayad 'Akhtar', Chhod Ke Koi Yuun Hi Nahin Jaata Aksar. Gaflat Kuchh Yuun Kar Di Junun Mein'Akhtar', Muhabbat To Kho Gayi Ek Achcha Dost Bhi. Wo Roya To Hoga Bichhadte Waqt Yakinan 'Akhtar' Baarish Ki Boondon Ne Shayad Ashq Dho Diye Honge. Mere Ashq Wo Na Dekh Paaya Us Din 'Akhtar' Uski Tarah Mere Ashq Bhi Baarish Ne Chhupa Diye Kya Lagta Tha Wo Mera ? Kisne Bheja Tha Use ? Kaise Itna Qareeb Ho Gaya Tha Wo ? Kyun Rootha Fir Wo ? Kyun Chhod Diya Mujhe ? Inhi Savaalon Ke Javaab Dhoondhne Mein Zindagi Jaise Taras Gayi Milne Ko Use Jisne Sirf Yeh Savaal Diye Aur Javaab dhoondhne Ko Di Sirf Aur Sirf PYAR BHARE LAMHON KI Yeh Ishq Ki Baatein, Fareb Ki Baatein, Pyar ke Imtihaan, Zulm Ki Intehaa, Khusheeyon Ke Pal, Ashqon Ke Daur, Unns Ki Chaah, Judaaii Ka Dard, Maana Ki Ishq Andha Hota Hai 'Akhtar', Yeh Sab Na Dekha To Jeena Kaisa. Dard Mein Sisakta Hoga Meri Tarah 'Akhtar', Ilzaam Us Par Bhi Bewafaii Ka Jo Hai. Baadlon Ke Sang Mehtaab Ki Atkheliyan Jaise, Wo Khelta Hai Bachchon Ka Yeh Khel Mujhse. Dil Jalakar Bhi Andhera Khtm Na Huaa 'Akhtar', Ab Ujaalon Ko Aankhen Band Karke Dekhta Hun Rasme ulfat Ki Baat Thi Unke Liye 'Akhtar', Dil Todten Hai Aise Hi Yeh Ishqwale Aksar Socha Ki Zarra Bhar Yaadein Liye, Pahaad Si Zindagi, Beetegi Kaise ? Fi Ikk Chhoti Si Aas Ka Us Se Bhi Chhota Motee Allah Ne Fenka Aur Bole ; 'Kaatle Bande Zindagi' Kuchh Raaz Hoga Maalik Ka Yeh Sochkar Kat Rahi Hai Zindagi Us Aas Ke Motee Ke Sahaare. Raasta Wahi Manzil Koi Nahin Abb 'Akhtar', Bas Chalna Hai Be-Vajah Kisi Bhi Aur. Allah ! Kaisi Kashmkash Hai Yeh 'Akhtar' Unhe Mera Hona Nahin, Mujhe Unhe Khona Nahin Wafa Ko Jaanta Nahin Hoga Wo Shaayad 'Akhtar', Bholepan, Nadaani Me Barbaad Kar Gaya Mujhe Koi Tujhsa Banaa Hi Nahin Do Jahan Mein 'Akhtar', Kami Teri Khalti Hai Isiliye Zyaada, Teri Bina. Aadat Nahin Meri Zarurat Ho Tum 'Akhtar', Aadatein Waqt Badale Badalti Hain Zarurten Nahin Kuchh Aur Ghum De Jaa Aye Zaalim !'Akhtar', Dekh Abhi Bhi Main Muskura Raha Hun. Chaah Unhe Chaahne Ki Khtm Na Huee 'Akhtar', Chhut Gayi isi Mein Raah Rooh Ki Raahat Ki. Ehsaan Sirf Yeh Karna Jab Lauto Tab 'Akhtar', Na Puchhna Kaise Guzaare Judaii Ke Din. Tu Kehkar To Dekhta Ikk Baar 'Akhtar', Zubaan Ka Pakka Kehten Hai Mujhe Dost. Rakh Liya Tha Palkon Mein Wo Ashq Jo Uski Aankh Se Gira Tha Jab Wo Aakhri Baar Mila Tha Mujhe Aaj Bhi Jab Wo Yaad Aata Hai Aur Main Rota Hun Hazaar Ashq Ban Kar Uska Wahi Ashq Behne Lagta Hai Aur Mere Saare Ghumon Ko Apne Saath Ubhaar Deta Hai Allah Kare Meri Aankhon Se Gira Aisa Hi Ikk Ashq Uske Paas Bhi Ho. Wo Chaahe Hume Yeh Na Chaaha Kabhi 'Akhtar', Kuchh Shauk Tha Aisa Ghumon Ko Gale Se Lagaane Ka. Wo Raasta Puchh Raha Hai Unki Khabar 'Akhtar', Ummeed Se Jaham Main Unhe Dhundhne Nikla Hun. WARM REGARDS Collecting By : Akhtar khatri *****help what we can with others in need...the world is ONE big family***** Share This Story Share on Facebook Share on Twitter Pin this Post Tags: Akhtar Khatri, Bewafa, Collection Shayari, Dard Shayari, Gazal, Intezar, Yaad Newer Post Older Post You Might Also Like 0 blogger-facebook
0 blogger-facebook