Maa tab bhi roti thi

Friday, May 20, 2011

Hi Dear All,
Mother is the most value able gift for us.
So this creation just goes to her.



Maa tab bhi roti thi,
Jab beta khana nahi khata tha.
Aur maa ab bhi roti hai,
Jab beta khana nahi deta hai.
Maa tab bhi kuch nahi kahti thi,
Jab beta usse bachpan me tang karta tha.
Aur maa ab bhi kuch nahi kahti hai,
Jab beta usse budhape me tang karta hai.
Maa tab bhi uski nadaniyon ko maf karti thi,
Jab vo bachpan me usse satata tha.
Aur maa aaj bhi uski galtiyon ko maf karti hai,
Jab vo janbujhakr usse rulata hai.
Maa tab bhi hasti thi,
Jab bachpan me vo sararat karta tha.
Aur maa ab bhi hasti hai,
Jab koi uske bete ki tareef karta hai,
Maa tab bhi fuli nahi samati thi,
Jab vo school se medal jeet lata tha.
Aur maa ab bhi fuli nahi samati hai,
Jab uska beta tarakki karta hai.
Maa tab bhi uski sararto ki shikayat nahi karti thi,
Jab vo galti karke ghar aata tha.
Aur maa ab bhi shikayat nahi karti hai,
Jab vo us par julm karta hai.

Presented By :
Aapka Love Guru




You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *