Shaam Ki Khidki Jab Bhi Kholi
Friday, April 05, 2013shaam ki khidki jab bhi kholi
dekha saamne ek hi chehra
aankhen uski neel gagan si
aur un me ik soch ka pehra
ek sunehri raat ki palken
us ke khwaabon ko jab chhulen
raat lage bas aur gazab ki
chaand lage kuch thehra thehra
khwaab nashe me jhoom ke gayen
raat bhi jaage soi soi
soch zehan me khoi khoi
us par badal pyar ka thehra
dhadkan sunti hai kuchh aisa
kaan jise sun ne na paate
lub jaane kyun hain muskaate
kaisa jaadoo mujh pe tera
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
0 blogger-facebook