Akhtar Khatri

Mere Gham Se Mere Janoon Tak

Thursday, May 22, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Mere Qurb Se Mere Wajood Tk
Use Ikhtilaf To Sada Ka Tha......

Mere Gham Se Mere Janoon Tk
Ye Fassla Bs Ana Ka Tha....

Meri Zindgi Se Meri Sanns Tk
Wo Falsafa Bs Dua Ka Tha.....

Meri Bat Se Tere Zikar Tk
Koi Silsila Jo Hawa Ka Tha....

. Meri Haqeekat Se Mere Khawab Tk
Wo Bekhabar Intiha Ka Tha.....

Mere Weham Se Mere Guman Tk
Ye Merhala Wafa Ka Tha......

Meri Talab Se Mere Naseeb Tk
Ye Mamla KHUDA Ka Tha.....

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

dheemi dheemi......Nazm

Thursday, May 22, 2014

B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
Na Fikr E Farda...
Na Yaad E Maazi..
Na Chain Dil Ko..
Na Bay Qarari..
Na Had Say Guzra Hua Junoon Woh...
Na Bay Kali Wo Pehlay Jesi..
Bas Ik Udasi Hai..
Dheemi Dheemi..

Bas Ik Khamoshi Hay Bay Karan SI...
Bas Ik Bay Naam Si Jalan HaI...
Bas Ik Bay Dard Si Thakan HaI..
Jo Zindagi Ke ADHOORAYPAN KO
HADOON SAY AGAY BERHA RAHI HAi.....

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Arzoo

Bhanwar Main Her Ghari Rehna...

Thursday, May 22, 2014


B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
Bhanwar Main Her Ghari Rehna Mohobat Rog Hay Dil Ka
Tumhain Thha Bas Yehi Kehna Mohobat Rog Hay Dil Ka

Zamanay Bhar Main Bikhray Hain Mazar-E-Ishq K Manzar
Unhi Kutbon Ko Pardh Laina Mohobat Rog Hay Dil Ka

Tumhara Saath Chaha Tau Milay Aanso Umer Bhar K
Yunhe Aankhon Ka Num Rehna Mohobat Rog Hay Dil Ka

Sobha Ke Arzoo Karna Bina Sooruj Ke Kirnon K
Phir Soochon Main Gumm Rehna Mohobat Rog Hay Dil Ka

Kabhi Tootain Tumhari Aas-O-Umeedon K Bandhan Jab
Mujhay Tum Khud He Likh Daina Mohobat Rog Hay Dil Ka

Nehi Rakhna Qadam Apna Kabhi Hasar-E-Ulfut Main
Meray Lafzon Ko Pardh Laina Mohobat Rog Hay Dil Ka

Tumhari Jaan Ka Sadqa Lahoo Say Main Chukaaon Tau
Subhe Say Tum Yehi Kehna Mohobat Rog Hay Dil Ka

Shaukat Rukk Nehi Sakta Bahaao Chaltay Pani Ka
Hazaron Ghum Parain Sehna Mohobat Rog Hay Dil Ka

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Written By :
FAHEEM SAHAB
*****Shared By = Banto5@Yahoo.Com***** 

Akhtar Khatri

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा

Thursday, May 22, 2014



चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही 

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही 

दिल में यादों के नश्तर से टूटा किये
एक तमन्ना कलेजा मसलती रही
चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही 

बदनसीबी शराफत की दुश्मन बनी
सज संवार्के भी दुल्हन न दुल्हन बनी
टीका माथे पे एक दाग बनता गया
मेंहदी हाथों से शोले उगलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

ख्वाब पलकों से गिर कर फनाह हो गए
दो क़दम चल के तुम भी जुदा हो गए
मेरी हारी थकी आँख से रात दिन
एक नदी आंसुओं की उबलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

सुबह मांगी तोह ग़म का अँधेरा मिला
मुझको रोता सिसकता सवेरा मिला
मैं उजालों की नाकाम हसरत लिए
उम्र भर मोम बन कर पिघलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

चाँद यादों की पर्च्चैयों के सिवा
कुच्छ भी पाया न तनहाइयों के सिवा
वक़्त मेरी तबाही पे हँसता रहा
रंग तकदीर क्या क्या बदलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा
शमा जलती रही रात ढलती रही

दिल में यादों के नश्तर से टूटा किये
एक तमन्ना कलेजा मसलती रही

चाँद अपना सफ़र ख़त्म करता रहा 
शमा जलती रही रात ढलती रही

Akhtar Khatri

Faraq.....Nazm

Thursday, May 22, 2014

B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
B~E~A~U~T~I~F~U~L  S~H~A~Y~A~R~I~
Sabhi Insan Hain Mager
Faraq Sirf Itna Hay
Kuch Zakham Dety Hain
Kuch Zakham Bharty Hain

Humsafar
Boht Hain
Mager
Farq Sirf Itna Hay
Kuch Sath Dety Hain
Kuch Chor Dety Hain

Piyar
Sabhi Kerty Hain
Mager
Farq Sirf Itna Hay
Kuch Jaan Dety Hain
Kuch Jaan Lety Hain

Dosti
Sabhi Kerty Hain
Mager
Farq Sirf Itna Hay
Kuch Loog Nibhatay Hain
Kuch Loog Aazmatay Hain

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho

Wednesday, May 21, 2014




Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekh

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekh

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare

Saturday, February 09, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Apni tanhaayii mere naam pe aabaad kare
Kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare

Dil ajab shahr K jis par bhi khula dar iska
Woh musaafir ise har samt se barbaad kare

Apne qaatil ki zahanat se preshan hun main
Roz ek maut naye tarz ki eejaad kare

Itnaa hairaaN ho meri be-talabi ke aage
Wa qafas mein koi dar khud mera saiyyad kare

Salb E beenaayii ke ahkaam mile hain jo kabhi
Raushni chhune ki khashish koi shabzaad kare

Soch rakhna bhi jaraayem mein hai shamil ab to
Wohi maasoom hai har baat pe jo saad kare

Jab lahoo bol paRe uske gawaahoN ke khilaf
Qaazii-E-shahr kuchh is baab mein irshaad kare

Uski muTThi mein bahut roz raha mera wajood
Mere saahir se kaho ab mujhe aazaad kare

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Collection Shayari

Dekh tere baghair jeene ki aadat nahi hume

Friday, November 23, 2012

Collection Shayari

Mujhe Gale Se Laga Lo..

Wednesday, November 21, 2012

Contact Us

Name

Email *

Message *