Bewafa

Wo jo mehv thay sr-e-aina, Ps-e-aina b to dekhty,

Thursday, January 17, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Wo jo mehv thay sr-e-aina, Ps-e-aina b to dekhty,
Kbhi roshni me wo teergi ko chupa hua b to dekhty,
Sr-e-aab jo raha tashna Lab, to ye zbt-e-ghm ki hai inteha,
Mery haal pe thy jo nuqta cheen, mera hosla b to dekhty,
Wo utr gaey thy jo paar khud, mujhy beech behar me chor kr,
Tha jo un me itna hosla mujy doobta b to dekhty,
Jinhen mujse hai ye gila k main raha be-nyaz-e-khaloos-o-rbt,
Mery gird rsm-o-riwaj ka kbhi daayera b to dekhty,
Wo meri hansi se hain khush gumaa’n, k nishat-e-zeest hai mudd’aa,
Mery ashk-e-gham ka ruka hua kbhi qafila b to dekhty.maan.

Collecting Presented By :

   


Bewafa

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do

Thursday, January 17, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group
Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do

Collecting Presented By :

   


Akhtar Khatri

Aaj Likhe Sher

Thursday, January 17, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Zidd Meri Ki Unhe Paaun,
Wo Kahe Main Na Aaun,
Wo Roothe, Jag Rootha,
Ab Main Kahan Jaaun

Raasta Koi Dikhta Nahin,
Ummeed Koi Baaki Nahin,
Zidd Fir Bhi Hai Yahi Meri,
Allah Se Duua Maangun.

Sune Malik Meri Fariyaad,
Ya Karde Mujhe Barbaad,
Bas Ek Minnat Hai Meri,
Usko Har Pal Yaad Aaun

Jazba Uska Kuchh Alag Tha 'Akhtar',
Roothey To Aur Pyar Aata Tha Hume.
Juda Kar Gaya Wo Har Khushii Mujhse 'Akhtar',
Kasam Khaane Ko Ek Yaad Sirf Chhod Dee.

Tootey Dil Ke Kaee Tukdon Mein Se Ek Ne Puchha,
"Kitni Baar Moti hume Banakar Ghazal Banaaoge ?"
Maine Kaha "Jaao Uske Paas Jisne Tumhe Toda Hai,
Is Savaal Ka Javaab Tum Usise Wahin Par Paaoge"

Duur Kahin Se Koi Pukarta Ho Mujhe Jaise 'Akhtar',
Jitna Daudta Hun Us Or Duur Hota Jaata Hai Aur Bhi.
Jaise Koi Afsana Ho Wo Gujhri huee Muhabbat 'Akhtar',
Roz Wo Aake Sunaakar Pareshaan Kar Jaaten Hai.

Chura Liye Unhone Kuchh Alfaaz Meri Ghazlon Se,
Khushiyan, Muskurahat, Chain, Neend Aur Pyaar.
Subah Se Noor Kuchh Alag Hai Chehre Par Unke 'Akhtar',
Khwabon Me Bhi Abb Wo Mujhe Bhula Chuke Hai Shaayad

Aye Dard Mere
Chhod Mujhe
Kahin Aur Ja,
Abb Bardasht
Na Kar Sakunga
Main Aur,
Jaa Kar
Us Se Mil
Jahan Se Tu Aaya Tha,
Ho Sake To
Unke Paas Bhi Rehja
Kuchh Din
Wafawalon Ki Mehfil Jamegi Aaj Yahan 'Akhtar',
Main, Tanhayi Aur Unki Yaad Baithenge Saath.
Khamoshi Uski Khatm Kar Degi Mujhe Ikk Din 'Akhtar',
Sirf Yeh Kehden Wo Ab Mera Nahin Hoga Kabhi
Karvaan Unki Yadon Aa Gaya Hai Darvaaze Par'Akhtar',
Aaj Raat Bhi Neend Na Hogi Muqaddar Mein Apne
Aaya Na Hume Muhabbat Ka Saleeka 'Akhtar'
Shiddat Se Somp Diya Gair Ki Baahon Mein Tabhi.
Ishq Mein Kaamyaab Kaun Hua Hai Yahan 'Akhtar'
Dhokha Paanewalon Ka Hujum Milega Har Jagah.
Rooh Na Nikle Marte Waqt To Unhe Bula Lena 'Akhtar',
Koi Chaah Adhoori Ho To Taqleef Zyada Hoti Hai.
Kyun Achcha Lagta Hai Uske Ghum Ginana, Likhna "akhtar"
Jeene Ki Vajah Hi Maar Daale To Yuun Hi Hota Hoga Shaayad.
Badan Ko Jala Roshni Baantna,Shamaa Ki Hai Yeh Haqeeqat 'Akhtar',
Roshni Khatm Kissa Bhi Khatm, Kaun Puchhta Hai Anderon Ke Siva.
Badan Ko Jala Roshni Baantna,Shamaa Ki Hai Yeh Haqeeqat 'Akhtar',
Roshni Khatm Kissa Bhi Khatm, Kaun Puchhta Hai Anderon Ke Siva.
Zubaan Bole Na Bole Aankhen Keh Degi Yakinan 'Akhtar',
Wo Lautenge To Ikk Savaal Na Karunga Unse Kabhi.
Sukoon Se Din Jaaye Aisi Ummeed Thi Subah Mein 'Akhtar'
Abb Raat Bhi Uske Bina Katna Mushkil Lag Raha Hai.
Tanhayii, Ruswaii, Bewafaii Kuchh Alfaaz,
Paybandnuman Hai Mere Daaman Mein
Shaam, Yaad, Raat Aur Khwab Kuchh Alfaaz,
Nastarnuman Hai Mera Din Khatm Hone Par
Saaye Si Lipti Rehtin Hai Yaad Uski Mujhse 'Akhtar',
Andhera Hone Par Seham Kar Kas Leti Hai Magar
Uski Tasalli Ke Liye Muskura Leta Hun "Akhtar',
Jaan Lo Taqleef Bahot Hoti Hai Magar Us Waqt.
Sochta Hun Baat Karu Allah Se, Unke Baare Mein 'Akhtar'
Sajden Me Khayal Aata Hai, Allah Ghalat Nahin Ho Sakta Kabhi
Waqt Yuun Beh Raha Paani Jaise Uske Saath 'Akhtar',
Uske Bina Abb Barf Si Jum Si Gayi Hai Yeh Zindagi.

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga.....ALLAMA IQBAL

Thursday, January 17, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga, Yehi Hai Ek Harf-e-Mehrmana
Qareeb Tar Hai Namood Jis Ki Ussi Ka Mushtaq Hai Zamana

Meri Soorahi Se Qatra Qatra Naye Hawadis Tapak Rahe Hain
Main Apni Tasbeeh-e-Roz-o-Shab Ka Shumar Karta Hon Dana Dana

Har Aik Se Ashna Hun, Lekin Juda Juda Rasme-o-Rah Meri
Kisi Ka Raakab, Kisi Ka Markab, Kisi Ko Ibrat Ka Taziyana

Na Tha Agar Tu Shareek-e-Mehfil, Qasoor Mera Hai Ya Ke Tera
Mera Tareeka Nahin Ke Rakh Loon Kisi Ki Khatar Mai’ay Shabana

Mere Kham-o-Paich Ko Najoomi Ki Ankh Pehchanti Nahin Hai
Hadaf Se Baigana Teer Uss Ka, Nazar Nahin Jis Ki Arfana

Shafaq Nahin Maghrabi Ufaq Par, Ye Jooye Khoon Hai, Ye Jooye Khoon Hai!
Tulu-e-Farda Ka Muntazir Reh Ke Dosh-o-Amroz Hai Fasana

Woh Fikar-e-Ghustakh Ji Ne Uryaan Kiya Hai Fitrat Ki Taqaton Ko
Ussi Ki Betab Bijliyon Se Khatr Mein Hai Uss Ka Ashiyana

Hawaen Un Ki, Fazaen Un Ki, Sumundar Un Ke, Jahaz Un Ke
Girah Bhanwar Ki Khule To Kyunkar, Bhanwar Hai Taqeer Ka Bahana

Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer Mar Raha Hai
Jise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar Khana

Hawa Hai Go Tund-o-Taiz Lekin Charagh Apna Jala Raha Hai
Woh Mard-e-Darvesh Jis Ko Haq Ne Diye Hain Andaz-e-Khusarwana

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai

Wednesday, January 16, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein
Guzarne paati to shadaab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shu'aon mein kho bhi sakti thi

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
Tere jamal ki re'naiyon mein kho rahta
Tera gudaaz badan teri neem-baaz aankhen
Inhi haseen fasano mein maho rahta

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Pukarti mujhe jab talkhiyan zamane ki
Tere labon se halawat ke ghoont pee leta
Hayat cheekti phirti barhena sar aur main
Ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee leta

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke too nahin tera gham teri justuju bhi nahin
Guzar rahi kuch is tarah zindagi jaise
Ise kisike sahare ki arzoo bhi nahin

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Zamane bhar ke dhukhon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuch anjaani rahguzaron se
Muhib saaye meri simt bharte aata hai
Hayat-o-maut ke pur haul khar zaron se

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

Na koi jadah na manzil na roshni ka suraag
Bhatak rahi hai khyalon mein zindagi meri
Inhi khyalon mein rah jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri humnafas magar yunhi
Kabhi kabhie mere dil mein khayal aata

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

jab tak hamaray paas rahay hum nahi rahay

Wednesday, January 16, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay
jab tak hamaray paas rahay hum nahi rahay

ya-rub kise ki raaz e muhabbat ki khair ho
dast e junoon rahay na rahay aasteen rahay

dard-e-gham-e-firaq ke yeh sakht marhalay
hairaan hoon mein ke phir bhi tum itne haseen rahay

ja aur koi zabt ki dunya talaash ker
ay ishq hum to ub tere qabil nahi rahay

Allah re chashm-e-yaar ke maujiz bayanian
her ik ko hai gumaan ke mukhatib humhe rahay

is ishq ki talafi e mafaat dekhna
ronay ki hasratein hein jab aansu nahi rahay

kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay
jab tak hamaray paas rahay hum nahi rahay

kuch is adaa se aaj wo pehlo nasheen rahay...
pehlo nasheen rahay... pehlo nasheen rahay...

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Tumhare shaher ka mausam barha suhana lagge

Wednesday, January 16, 2013



Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Tumhare shaher ka mausam barha suhana lagge..
Main eik shaam chura loon agar bura na lagge..
Tumhare bas mein agar ho to bhul jao mujye..
Tumhe bhulane mein shayad mujye zamana lagge..
Humare pyaar se jalne laggi hai eik duniya..
Duwa karro kissi dushman ki bad duwa na lagge..
Main eik shaam chura loon agar burra na lagge..
Tumhare shaher ka mausam barra suhana lagge..
Jo dub na hai to itne sakoon se dubbo..
Ke ass paas ki lehroon ko bhi pata na lagge..
Kuch is aadha se mere saath bewafai kar..
Ke tere baad mujye koi bewafa na lagge.. Tumhare shehar ka mausam barra suhana lagge...
Main eik shaam chura loon agar burra na lagge..

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Contact Us

Name

Email *

Message *