Aaj Likhe Sher
Thursday, January 17, 2013Zidd Meri Ki Unhe Paaun,
Wo Kahe Main Na Aaun,
Wo Roothe, Jag Rootha,
Ab Main Kahan Jaaun
Raasta Koi Dikhta Nahin,
Ummeed Koi Baaki Nahin,
Zidd Fir Bhi Hai Yahi Meri,
Allah Se Duua Maangun.
Sune Malik Meri Fariyaad,
Ya Karde Mujhe Barbaad,
Bas Ek Minnat Hai Meri,
Usko Har Pal Yaad Aaun
Jazba Uska Kuchh Alag Tha 'Akhtar',
Roothey To Aur Pyar Aata Tha Hume.
Juda Kar Gaya Wo Har Khushii Mujhse 'Akhtar',
Kasam Khaane Ko Ek Yaad Sirf Chhod Dee.
Tootey Dil Ke Kaee Tukdon Mein Se Ek Ne Puchha,
"Kitni Baar Moti hume Banakar Ghazal Banaaoge ?"
Maine Kaha "Jaao Uske Paas Jisne Tumhe Toda Hai,
Is Savaal Ka Javaab Tum Usise Wahin Par Paaoge"
Duur Kahin Se Koi Pukarta Ho Mujhe Jaise 'Akhtar',
Jitna Daudta Hun Us Or Duur Hota Jaata Hai Aur Bhi.
Jaise Koi Afsana Ho Wo Gujhri huee Muhabbat 'Akhtar',
Roz Wo Aake Sunaakar Pareshaan Kar Jaaten Hai.
Chura Liye Unhone Kuchh Alfaaz Meri Ghazlon Se,
Khushiyan, Muskurahat, Chain, Neend Aur Pyaar.
Subah Se Noor Kuchh Alag Hai Chehre Par Unke 'Akhtar',
Khwabon Me Bhi Abb Wo Mujhe Bhula Chuke Hai Shaayad
Aye Dard Mere
Chhod Mujhe
Kahin Aur Ja,
Abb Bardasht
Na Kar Sakunga
Main Aur,
Jaa Kar
Us Se Mil
Jahan Se Tu Aaya Tha,
Ho Sake To
Unke Paas Bhi Rehja
Kuchh Din
Wafawalon Ki Mehfil Jamegi Aaj Yahan 'Akhtar',
Main, Tanhayi Aur Unki Yaad Baithenge Saath.
Khamoshi Uski Khatm Kar Degi Mujhe Ikk Din 'Akhtar',
Sirf Yeh Kehden Wo Ab Mera Nahin Hoga Kabhi
Karvaan Unki Yadon Aa Gaya Hai Darvaaze Par'Akhtar',
Aaj Raat Bhi Neend Na Hogi Muqaddar Mein Apne
Aaya Na Hume Muhabbat Ka Saleeka 'Akhtar'
Shiddat Se Somp Diya Gair Ki Baahon Mein Tabhi.
Ishq Mein Kaamyaab Kaun Hua Hai Yahan 'Akhtar'
Dhokha Paanewalon Ka Hujum Milega Har Jagah.
Rooh Na Nikle Marte Waqt To Unhe Bula Lena 'Akhtar',
Koi Chaah Adhoori Ho To Taqleef Zyada Hoti Hai.
Kyun Achcha Lagta Hai Uske Ghum Ginana, Likhna "akhtar"
Jeene Ki Vajah Hi Maar Daale To Yuun Hi Hota Hoga Shaayad.
Badan Ko Jala Roshni Baantna,Shamaa Ki Hai Yeh Haqeeqat 'Akhtar',
Roshni Khatm Kissa Bhi Khatm, Kaun Puchhta Hai Anderon Ke Siva.
Badan Ko Jala Roshni Baantna,Shamaa Ki Hai Yeh Haqeeqat 'Akhtar',
Roshni Khatm Kissa Bhi Khatm, Kaun Puchhta Hai Anderon Ke Siva.
Zubaan Bole Na Bole Aankhen Keh Degi Yakinan 'Akhtar',
Wo Lautenge To Ikk Savaal Na Karunga Unse Kabhi.
Sukoon Se Din Jaaye Aisi Ummeed Thi Subah Mein 'Akhtar'
Abb Raat Bhi Uske Bina Katna Mushkil Lag Raha Hai.
Tanhayii, Ruswaii, Bewafaii Kuchh Alfaaz,
Paybandnuman Hai Mere Daaman Mein
Shaam, Yaad, Raat Aur Khwab Kuchh Alfaaz,
Nastarnuman Hai Mera Din Khatm Hone Par
Saaye Si Lipti Rehtin Hai Yaad Uski Mujhse 'Akhtar',
Andhera Hone Par Seham Kar Kas Leti Hai Magar
Uski Tasalli Ke Liye Muskura Leta Hun "Akhtar',
Jaan Lo Taqleef Bahot Hoti Hai Magar Us Waqt.
Sochta Hun Baat Karu Allah Se, Unke Baare Mein 'Akhtar'
Sajden Me Khayal Aata Hai, Allah Ghalat Nahin Ho Sakta Kabhi
Waqt Yuun Beh Raha Paani Jaise Uske Saath 'Akhtar',
Uske Bina Abb Barf Si Jum Si Gayi Hai Yeh Zindagi.
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
0 blogger-facebook