dil ko ye zid thii k tuu aaye tassalli dene
Wednesday, January 02, 2013


raat sunsaan thi, bojhal thiiN fazaa kii saanseiN
rooh par chhaye the benaam GhamoN ke saaye
dil ko ye zid thii k tuu aaye tassalli dene
merii koshish thii k kambaKht ko neeNd aa jaaye

der tak aaNkhoN meiN chubhtii rahii taaroN ki chamak
der tak zahn sulagtaa rahaa tanhaaii meiN
apne Thukraaye hue dost kii pursish ke liye
tu na aayii magar is raat kii pahnaaii meiN

yuuN achaanak tirii aavaaz kahiiN se aayii
jaise parbat ka jigar cheer ke jharnaa phooTe
yaa zameenoN kii muhabbat meiN taRap kar naagaah
aasmaanoN se koi shauKh sitaaraa TooTe

shahd saa ghul gayaa talKhaabaa-e-tanhaaii meiN
rang saa phail gayaa dil ke siyaah Khaane meiN
der tak yuuN tirii mastaanaa sadaayeiN goonjeiN
jis taraH phool chaTakne lageiN veeraane meiN

tuu bahut door kisii anjuman-e-naaz meiN thii
phir bhi mahsoos kiyaa maiN ne k tuu aayii hai
aur naGhmoN meiN chhupaa kar mire khoye hue Khwaab
merii rooThii huii neendoN ko manaa laayii hai

raat kii satH par ubhre tire chahre ke naqoosh
vahii chup chaap sii aaNkheiN vahii saadaa si nazar
vahii Dhalkaa huaa aaNchal vahii raftaar ka Kham
vahii rah rah ke lachaktaa huaa naazuk paikar

tuu mire paas na thii phir bhi sahar hone tak
teraa har saaNs mire jism ko chhooo kar guzraa
qatra qatra tire deedaar kii shabnam Tapkii
lamha lamha tirii Khusbuu se muattar guzraa

ab yahii hai tujhe manzoor to ai jaan-e-qaraar
maiN tirii raah na dekhouNgaa siyah raatoN meiN
DhooND leiNgi mirii tarsii huii nazreiN tujh ko
naGhma-o-sh’er kii umRii huii barsaatoN meiN

ab tiraa pyaar sataayegaa to merii hastii
tirii mastii bharii aavaaz meiN Dhal jaayegii
aur ye rooH jo tere liye bechain sii hai
geet ban kar tire hoNToN pe machal jaayegii

tire naGhmaat tire husn kii ThanDak lekar
mere tapte hue maahaul meiN aa jaayeiNge
chand ghaRiyoN ke liye hoN k hamesha ke liye
merii jaagii huii raatoN ko sulaa jaayeiNge

WARM REGARDS Collecting By,
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
0 blogger-facebook