Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Wednesday, January 16, 2013Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein
Guzarne paati to shadaab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shu'aon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
Tere jamal ki re'naiyon mein kho rahta
Tera gudaaz badan teri neem-baaz aankhen
Inhi haseen fasano mein maho rahta
Pukarti mujhe jab talkhiyan zamane ki
Tere labon se halawat ke ghoont pee leta
Hayat cheekti phirti barhena sar aur main
Ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee leta
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke too nahin tera gham teri justuju bhi nahin
Guzar rahi kuch is tarah zindagi jaise
Ise kisike sahare ki arzoo bhi nahin
Zamane bhar ke dhukhon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuch anjaani rahguzaron se
Muhib saaye meri simt bharte aata hai
Hayat-o-maut ke pur haul khar zaron se
Na koi jadah na manzil na roshni ka suraag
Bhatak rahi hai khyalon mein zindagi meri
Inhi khyalon mein rah jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri humnafas magar yunhi
Kabhi kabhie mere dil mein khayal aata
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
0 blogger-facebook