Mera maazi,meri tanhai ka ye andha shigaf,
Meri sanson ki tarah mere saath chalta raha,
Aur meri nabz ki manind mere saath jeeya,
jisko aate hue jate hue aksar lamhein,
Apne ehsaas kishidat se tapish dete rahe,
Zakham ki aanhon se tapaka hua yeh garam lahu,
Dusre logon ki taksin ka samaan hua,
Koi aisa bhi na tha jinse ise parkha ho,
Ya achanak hi palat aaya ho, pahachana ho,
Mere maazi!
Mere Hamraaz !
Mere Jalti Udasi Ke Sarikh,
Teri aahein, tere nasoor,tere dard tamam,
Unse rishta hai mera, aaj se yeh sab mere Hai...
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****