Bichhad'ke Tujhse Zindagii WahiN Jaise Thamii Reh Gayi,
Muhabbat Ke JazbaatoN Par Waqt Ki Dhool Jamii Reh Gayi.
Har Ikk Rishte Ko Nibhaa'ya Achche Tareeqe Se Maine,
Phir Bhi Unki AaNkh'oN Ke KonoN MeiN Namii Reh Gayi.
Sahii-Ghalat Ki Kashmkash MeiN Nikaaal Di Zindagii,
Abb Bhi Sochta HuN Jo Beetaa Usme Kamii Reh Gayii KahiN.
Zar-o-ZamiN Ki KhwaahisheN Badh'ti Rahi Humesha,
Kya Milega Aakhiir MeiN Mere Liye Do Ghaz ZamiN Reh Gayi.
Muqaddar Ka Faisla Qubool Kar Na Paaya Kabhi "Akhtar"
Ikk Usi Shaks Ko Le'kar Khuda Se Humesha Thanii Reh Gayii.
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Ek Haseen Kashm'kash me hu...
Ek haseen kashm'kash me hu,
Zindagi meri kahaN se chunu..
Us kapkapaate hue hothoN se kahi,
Ya ki larajti hui baatoN se chunu..
Aagosh me mere the jab wo,
Kaano me gunjti unko saasoN se chunu...
Jab chhua tha haule se unhe,
Unke dhadakate jazbaatoN se chunu..
Kaandhe pe rakh ke sar baithe the jab,
Un sukun bhare lamhaatoN se chunu..
Deedar khuda ke bhi kya honge,
sang beeti unki mulaakatoN se chunu..
Bichadne ke waqt par wo darr unka,
Ya chehre k fikramand halaatoN se chunu..
Bikhar sa jaata hu bagair unke..
zindagi kaise in tadap bhari raatoN se chunu..
Ek haseen kashm'kash me hu...
( Amit Varma )
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
meri khamoshiyon mein bhi fasana dhoondh leti hai
badi shatir hai ye duniya bahana dhoondh leti hai
hakeekat zid kiye baithi hai chaknachur karne ko
magar har aankh phir sapna suhana dhoondh leti hai
uthati hai jo khatra har kadam par doob jaane ka
wahi koshish samundar mein khajana dhoondh leti hai
na chidiya ki kamai hai na karobar hai koi
wo keval haunsle se aabodana dhoondh leti hai
junoon manjil ka rahon mein bachata hai bhatakne se
meri deewangi apna thikana dhoondh leti hai
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
is jagar thehroon ya wahan se sunoo
main tere jism ko kahan se sunoo
mujhko aagaje-dastan hai azeez
teri zid hai ki darmiyan se sunoo
teer ne aaj kya shikar kiya
is ki tafseel main kahan se sunoo
raat kya kuch zameen par beeti
pehle tujhse phir aasman se sunoo
kitni masoom si tammanna hai
naam apna teri zaban se sunoo
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
dard kis ko dhekaye koi darad dhekta bhi nehi
payar kis se kare koi payar karta bhi to nehi?
ab to haste howe bhi dar lagta hain
kahe yah khushi chale na jaye
har khushi ka saath 1000 ghum hote hain
jaha hasi hain wahe matham hain
jaha payar hain wahe nafarat hain
hum jase chahte hain use pa nehi sakta
jo khuwab dhekte hain wo kabhi pura nehi hota
har kisi ko payar ki nazar se dhekte hain
kahe yah wahi to nehi jo majhe se payar kartee ho
per ab hum na dheka hum jaso ko naseeb main payar nehi hain
kiun k payar un k naseeb main hota hain jo paisay wale hote hain
payar un k naseeb main hota hain jo kismat wale hote hain
payar un k naseeb main hota jo jhooth bolne wale hote hain
per hum jase k naseeb main yah sab nehi hain
hum sirf khuwab dhek sakte hain
har kase ko hasata rehta ho jase joker ho main
kase ko lagne nehi deta mera bhi dil hain
as dil main darad hain
as hasi main kitna ghum hain yah dhekta nahi koi
har koi pagal kah kar chala jata hain
ek ne kaha tha mujhe se jo payar kare tum se us se karoo
per maine kaha hum jase ko dhek kar kon payar karta hain
sab phley haste hain phir rola kar chale jate hain...
WARM REGARDS
Kabhi Phul Kbhi Khooshboo Kabhi Bahaar Likhun
Bata Teri Kis Kis Ada Ko Aakhir Aey Yaar Likhun.
Teri Aankhon Ko Jheel Kahun Ya Zulfon Ko Badal
Yaan Phir Tere Gulabi Gulabi Se Rukhsaar Likhun.
Abhi Tak To Bhaagh Men Koi B Phul Khila Na Tha
Dil Ko Jo Mehka Gaya,Kya Woh Tera Pyar Likhun.
Apni Aukaat Se To Waqif Hun Men-e-Dilbar Mere
Magar Tu Jo Mil Jaaye To,Khudko Iftikhaar Likhun.
Aaja Ki Aakar Rakhde Tu Dil Pe Zara Sa Haath Mere
Ki Teri Nigah Ke Sadqe Mein Ghazlen Hazaar Likhun.!
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
-Jan Nisaar Akhtar
ash-aar mere yuun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat unako sunaane ke liye hain
ab ye bhii nahin thik ki har dard mita dein
kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain
aankhon mein jo bhar loge to kaanton se chubhenge
ye khvaab to palakon pe sajaane ke liye hain
dekhuun tere haathon ko to lagata hai tere haath
mandir mein faqat deep jalaane ke liye hain
socho to badi cheez hai tahaziib badan ki
varanaa to badan aag bujhaane ke liye hain
ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabein
ik shakhs kii yaadon ko bhulaane ke liye hain
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
saamne baitha tha mere aur wo mera na tha
wo k Khushboo ki tarah phailaa tha mere chaar suu
main use mehsoos kar sakta tha choo sakta na tha
raat bhar us ki hi aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha galee mein koi bhi aaya na tha
aks to maujood the par aks tanhaai k thay
aainaa to tha magar us mein tera chehra na tha
aaj us ne dard bhi apne alaiheda kar diye
aaj main roya to mere saath wo roya na tha
ye sabhi weeraaniyan us ke judaa hone se thin
aankh dhundlaayi hui thi shahar dhundalaya na tha
yaad kar k aur bhi takleef hoti thi "Adeem"
bhool jaane k siwa ab koi bhi chaara na tha
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Ik Baat Kahu Gar
Sunte Ho
Tum Mujhko Achhey
Lagte Ho
Kuchh Bhole se Kuchh
Chanchal Se
Kuchh Pagal Pagal
Lagte Ho
Hain Chahne Waale U Tau
Aur Bhi Bahut Lekin
Tum Mein Hai Kuchh
Baat Alag
Tum Apne Apne
Lagte Ho
Kuchh Bolte Bolte
Kho Jaana
Kuchh Kehte Kehte
Ruk Jana
Kaya Sochte Rehte
Ho Jaane
Kayu Khoye khoye
Rehte Ho
Jo Dil Mein Hai Wo
Keh Daalo
Kayu Khoye Khoye
Rehte Ho
Ik Baat Kahu Gar
Sunte Ho
Tum Mujhko Achhe
Lagte Ho
WARM REGARDS
Neelam Saini (Neelu)
Woh kabhi mil jaye to, kya kijiye,
Raat din surat ko dekha kijiye.
Chaadani raaton mein, ek ek phool ko,
Bekhudi kehte hai, sajda kijiye.
Jo tamanna bor na aye, umra bhar,
Umra bhar uski tamanna kijiye.
Isk-ki ranginio mein, dub kar,
Chaadani raaton mein roya kijiye.
Ham hi uske ishq ke kaabil na the,
Kyun kisi zaalim ka sikwa kijiye.
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
abhii is taraf na nigaah kar mai.n Gazal ke palke.n sa.Nvaar luu.N
meraa lafz lafz ho aa_iinaa tujhe aa_iine me.n utaar luu.N
mai.n tamaam din kaa thakaa huaa tuu tamaam shab kaa jagaa huaa
zaraa Thahar jaa isii mo.D par tere saath shaam guzaar luu.N
agar aasamaa.N kii numaa_isho.n me.n mujhe bhii izn-e-qayaam ho
to mai.n motiyo.n kii dukaan se terii baaliyaa.N tere haar luu.N
[izn-e-qaayam=command to stop]
ka_ii ajanabii terii raah ke mere paas se yuu.N guzar gaye
ji.nhe.N dekh kar ye ta.Dap hu_ii teraa naam leke pukaar luu.N
:arrow: ai husn-e-be-paravaah tujhe shabnam kahuu.N sholaa kahuu.N
phuulo.n me.n bhii shoKhii to hai kisako magar tujh saa kahuu.N
gesuu u.De mahakii fizaa jaduu kare.n aa.Nkhe terii
soyaa huaa ma.nzar kahuu.N yaa.N jaagataa sapanaa kahuu.N
cha.ndaa kii tuu hai chaa.Ndanii laharo.n kii tuu hai raaginii
jaan-e-tamannaa mai.n tujhe kyaa kyaa kahuu.N kyaa na kahuu.N
Shayar : Bashir Badr
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Su-E-Maikada Na Jaate To Kuch Aur Baat Hoti
Wo Nigaah Se Pilaate To Kuch Aur Baat Hoti
Go Hawa-E-Gulsitaan Ne Mere Dil Ki Laaj Rakh Li
Wo Naqaab Khud Uthate To Kuch Aur Baat Hoti
Ye Bajaa Kali Ne Khil Kar Kiya Gulsitaan Muattar
Magar Aap Muskurate To Kuch Aur Baat Hoti
Ye Khule Khule Se Gesu, Inhen Laakh Tum Sanwaaro
Mere Haath Se Sanwarte, To Kuch Aur Baat Hoti
Go Haram Ke Raste Se Vo Pahunch Gaye Khuda Tak
Teri Rahaguzar Se Jaate To Kuch Aur Baat Hoti
Shayar : Aaga Hashr
Collecting Presented By :