Akhtar Khatri

EK BOOND

Thursday, February 28, 2013



Jyon Nikalkar Badalon Ki God Se

Thee Abhi Ek Bund Kuch Aage Badhi
Sochne Phir-Phir Yahi Jee Main Lagi

Aah! Kyon Ghar ChodKar Main Yun Badhi
Hai Mere Bhagya Main Hai Kya Pata?

Main Bachungi Ya Milungi Dhul Main
Ya Jalungi Gir Angare Par Kisi

Chu Padungi Ya Kamal Ke Phul Main
Bah Gayi Us Kal Ek Aisi Hawa

Wah Samundar Or Ayi Anmani
Ek Sundar Seep Ka Munh Tha Khula

Wah Usi Main Ja Padi Moti Bani

Ahmed Nadeem Qasmi

Ret Se But Na Banaa ai mere achchhe fankaar

Thursday, February 28, 2013


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar
(fankaar : artist)

ek lamhe ko Thahar, maiN tujhe patthar laa duuN
maiN tere saamane ambaar lagaa duuN lekin
kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
yaa vo patthraa’ii hu’ii aaNkh kaa niilaa patthar
jis meN sadiiyoN ke tahayyur ke paRe hoN Dore
(tahayyur : astonishment)

kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii hai
ik vo patthar hai jise kahte haiN tahziib-e-safed
us ke mar-mar meN siyah Khuun jhalak jaataa hai
ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath meN teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai
(tahziib-e-safed : culture of the elite class; teshaa-e-zar : power of money)

jitne mayyaar haiN is daur ke sab patthar haiN
sher bhii raqs bhii tasviir-o-Ghinaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahn-e-rasaa bhii patthar
is zamaane meN har fan kaa nishaaN patthar hai
haath patthar haiN tere merii zubaaN patthar hai
ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar
(mayyaar : paradigms; ilhaam : inspiration)

Ahmed Nadeem Qasmi

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****

Akhtar Khatri

Bol Ke Lab Aazaad Hai tere

Thursday, February 28, 2013

Akhtar Khatri

Jo bhii ghar se jaataa hai

Thursday, February 28, 2013

Dard Shayari

Kuch Hasil Na Hoga

Thursday, February 28, 2013


Dulhan Banana Chahoge Kisi Ko Apni Ashiqe
Siway Uski Yaado Ke Kuch Hasil Na Hoga
Written By :
Sagar Shayar 

Dard Shayari

Humne Apne Dil Ka Haal

Thursday, February 28, 2013

Humne Apne Dil Ka Haal
Sabse Chupa Rakha Hai
Babasta hai Tumse Har Raasta Mera
Dard-E-Tanhai Ko
Dil Me Chupa Rakha Hai

Written By :
Sagar Shayar 

Woh Rehta Hai Mere Dil Me...

Thursday, February 28, 2013

Woh Rehta Hai Mere Dil Me Dhadkane Bankar
Woh De Raha Hai Mujhe Zindgi
Meri Sanse Banakar
Woh Karta Hai Mohabbat Mujhse
Kabi Ek Saya Kabi Ek Hawa Bankar
Sagar Shayar

Dard Shayari

Kaha Tha Usne

Thursday, February 28, 2013


Kaha Tha Usne Ashiqe
Thehro Tum, Hum Abhi Aate Hai
Ek Arsa Gujar Gaya, UnKe Intezar Me
Ab Rato Ko Na Woh Aate Hai
Na Unki Yaade

Sagar Shayar

Collection Shayari

Ehsaan Tera

Thursday, February 28, 2013

Collection Shayari

Har Kisi Ki Yaad Ne...

Thursday, February 28, 2013

Collection Shayari

Hui hain mohtaaj khuwaahishein kaisi

Thursday, February 28, 2013

Collection Shayari

Kasey Kasey Na Muhabat Main Zamane Aye

Monday, February 25, 2013

Collection Shayari

Why Did You Say You Loved Me ?

Monday, February 25, 2013

Contact Us

Name

Email *

Message *