Mere Abbu Mujhe Rulaate Hei

Sunday, June 18, 2017




Mere Abbu Mujhe Rulaate Hei Rooz Sapnoon May Mere Ate Hei
Mujhko Kehte The Dil Jigar Apnaa Gerr Ka Aaj Kyun Banate Heyi
Apne Haathoon Mey Jhulaate The Jhullaa Khud Ko Mera Btate The
Apne Kandhe.. Mujhe Bithaate The Jan Keh Ke Mujhe Bulate They
Myei Thi Un Ke Chaman Ki Ek Daali.. Kat Kar Khud Se Door Kar Dalli
Ashq Behte Hei Khud Ke Bhi Phir Bhi Paraai Kar Dally..!
Meri..Mamta Mujhe Bulaati He.. Rooz Yaddeyn Mujhe Rulati Heyn
Aankhe Karun Meyn Jab Band Kyun Khyaaloon Main Mere Aate He..!
Kitni Pyaari Meri Maa Thee Wo Har Ghadhi Mein Yuse Satati Thi
Phir Bhi Wo Naa Mujhe Rulaati Thi.. Sara Din Wo Gale Lagati Thi..!
Mujh Ko Nehlati Wo Dhulaty Thi Naaz Nakhre Mere Yuthaty Thi
Meri Galty Sabhi Chupaati Thi ..Mere Babul Se Na Btaati Thi..!
Khana Hathoon Se Khud Khilati Thi.. Pyaar Se Good Meyi Bithati Thi
Meri Teacher Khud Ban Jati Thi ..Sare Achche Gun Sikhtti Thi..!
Aaj Wo Ammi Heyin Na Abbu Heyin Main Hyun Or Mery Tanhaai
Yaad Unki Bahut Hi He Aai Aankheyin Sawaan Ye Banai Hein .!
Deakhne Ko Unhe Taraas Thi Hyun Bhool Bhethe He Aaj Mujh Ko Jo
Deke Pardeas Mein Sabhi Mujhko ..Yad Mujh Ko Wo Sabhi Aate Hein ?
Thandi Aahein ..Wo Bhi Bharrte Hein.. Dekhne Ko Mujhe Taraste Hein
Haath Pachtaa Ke Wo Bhi Maalte Hein.. Zoor Dil Par Ab Nahi Chalta..!
Dunia Ka Jo Dastur He. Sabhi Maa ..Baap Uspe Challte Hein
Mujh Ko Wo Bhul Jaye Dil Se Khudaa ..Koshishein Wo.. Hazaar Karte Hei..!
Bhai Behne Sare Rote Hei Jab Bhi Mujh Ko Wo Phone Karte Hein
Mein Bhi Un Ke Sath Rooti Hyun .. Apne Ashqon Se ..Gham Ko Dhoti Hyun..!
Dil Ko Apne Mnaaliyaa . Mene ..Jaan Sajan Banaaliyaa Menne
Ap To Mein Bhi Sabaar Se Jiti Hyun Zindgi Apni Usko Kehti Hyun
Sarri Duniyaan Ko Bhool Bheathi Hyun Pyaar Mein Apne Ek Sajaan Ke
Bhool Jaao Tum Bhi Ab Mujh Ko Chen Se Tum Raho Rehne Do..!
Bhooli Yadei Na Sataao Tum Lot Ke.. Apne Ghar Ko Jaao Tum
Mere Baabul Or Maa Ko Yaa ..Phir Mere Paas Leke Aao Tum..! 


===##===##===##===##===##===##===##

You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *