Akhtar Khatri

ab mere sirf merey ho kar raho

Friday, May 16, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Apni Khatir Jagay Ho Soye Ho
Apni Khatir Hansay Ho Roye Ho
Kis Liye Aaj Khoye Khoye Ho
Tum Ne Aansu Bohot Piye Apney
Tum Bohot Saal Reh Liye Apney
Ab Mere, Sirf Mere Ho Kar Raho

Husan Hi Husan Ho, Zehaanat Ho
Ishq Hon Main To Tum Mohabbat Ho
Tum Meri Bas Meri Amaanat Ho
Ji Liye Jis Qadar Jiye Apney
Tum Bohot Saal Reh Liye Apney
Ab Mere Sirf Mere Ho Kar Raho

Rehtey Ho Ranj-O-Gham K Gheron Main
Dukh K, Aasaib K Baseron Main
Kaisay ChoRon Tumhein Andheron Main
Tum Ko Day Doon Ga Sab Diye Apney
Tum Bohot Saal Reh Liye Apney
Ab Mere, Sirf Mere Ho Kar Raho

Tum Azal Se Dukhon K Derey Ho
Chaahey Khud Ko Ghamon Se Gheray Ho
Jab Se Paeda Huay Ho Mere Ho
Aaj KholeiN Gay Lab Siye Apney
Tum Bohot Saal Reh Liye Apney
Ab Mere Sirf Mere Ho Kar Raho

Ab Mujhey Apney Dard Sehney Do
Dil Ki Har Bat Dil Se Kehney Do
Meri BaNhon Main Khud Ko Behnay Do
Muddaton Zakhm Khud Siye Apney
Tum Bahut Saal Reh Liye Apney
Ab Mere Sirf Merey Ho Kar Raho
Ab Mere Sirf Merey Ho Kar Raho…!!!!

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hm ny

Friday, May 16, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Ek Shakhs Ko Dekha Tha Taroon Ki Tarha Hm Ny
Ek Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarha Hm Ny
Ek Shakhs Ko Samja Tha Phoolon Ki Tarha Hm Ny
Wo Shakhs Qyamat Tha Kia Karyn Os Ki Batian
Din Os K Liyay Paida Or Os Ki He Thi Ratain ...
Kab Milta Kisi Sy Tha Hm Sy Thin Mulakatin
Rung Os Ka Shahabi Tha Zulfoon May Thin Mayhkaryn
Ankhayn Thin K Jadu Tha Palkayn Thin K Talwaryn
Dushman B Ager Daykhen Tu Jaan Sy Dil Haryn
Kuch Tm Sy Wo Milta Tha Batoon May Shbaahat Thi
Han Tm Sa He Lagta Tha Shokhi May Sharart May
Lagta B Tum He Sa Tha Dastour E Muhabat May
Wo Shakhs Hmy Ek Din Apno Ki Tarha Bohla
Taroon Ki Tarha Doba Pholoon Ki Tarha Tota
Phir Hath Na Aya Wo Hm Ny Boht Dohnda
Tm Kis Liyay Chonky Ho Kab Zikar Tmhara Hy
Kab Tm Sy Takaza Hy Kab Tm Sy Shikayat Hy
Ek Taza Hikayat Hy Soun Loo Tu Inayaat Hy
Ek Shakhs Ko Daykha Tha Taron Ki Tarha Hm Ny
Ek Shakhs Ko Chaha Tha Apnoo Ki Tarha Hm Ny
Ek Taza Hikayat Hy Soun Loo Tu Inayat Hy . . . .

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Bichhde hue tumse, Pal bhi na guzara

Thursday, May 15, 2014




Bichhde Hue Tumse, Pal Bhi Na Guzara
Yaadon Ne Teri Phir Se, Ghaayal Kiya
Milne Bdil Me, Hui Beqarari
Mohabbat Ne Teri Paagal Kiya

Pyasi Nigahein Meri, Soorat Dikhe Kab Teri
Paas Aaye Kab Tu Mere, Baahon Me Bharloon

Palko Se Palkein Mile, Dhadkan Se Dhadkan Mile
Hasratein Sabhi Ho Poori, Seene Se Laga Loon
Dooba In Khayalon Me, Hua Main Deewana
Mohabbat Ne Teri Paagal Kiya

Hothon Ki Chuppi Teri, Aankhon Ki Masti Teri
Saansein Ye Tez Chal Ke, Chaahat Jagaye

Seene Me Agni Jale, Thandak Hai Dil Ko Lage
Chamke Badan Mein Bijali, Pyaar Barsaye
Safar Pyar Ka Hai Yeh, Bada Hi Suhana
Mohabbat Ne Teri Paagal Kiya

Bichhde Hue Tumse, Pal Bhi Na Guzara
Yaadon Ne Teri Phir Se Ghaayal Kiya
Milne Ko Dil Me, Hui Beqarari
Mohabbat Ne Teri Paagal Kiya

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain

Wednesday, May 14, 2014


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain,
Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain,

Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi,
Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain,

Kaise Mumkin Hai Ke Dhuwan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale,
Padti Hai To Patthar Bhi Sada Dete Hain,

Kaun Hota Hai Musibat Mein Kisika Aye Sanam,
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain,

Jinpe Hota Hai Bahut Dilka Bharosa Jane Kyon,
WaQt Padne Pe Wohi Log Daga Dete Hain...

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

Wednesday, May 14, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Who Can Deny This Beautiful Ghazal ???????????

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Us Ke Shahar Main Kuchh Din Thehr Ke Dekhte Hain

Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Halon Se
So Apne Aap Ko Bar-Baad Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Dard Ki Gahak Hain Chashm-E Nazuk Us Ki
So Ham Bhi Us Ki Gali Se Guzar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Us Ko Bhi Hai Shaer-O Shayari Se Shagaf
So Ham Bhi Mojazay Apnay Hunar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Bole To Baaton Se Phool Jharrtay Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Use Chand Tak-Taa Rehta Hai
Sitaray Baam-E Falak Se Utar Kar Dekhtay Hain

Suna Hai Hashar Hain Us Ki Ghazaali Si Aankhain
Suna Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Din Ko Usay Titliyan Sat-Taati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugno Thahar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Se Barh Kar Hain Kakulan Us Ki
Suna Hai Sham Ko Saye Guzar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Us Ki Siyah Chashmagi Qiyamat Hai
So Us Ko Surma Farosh Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Us Ke Labon Se Gulab Jalakte Hain
So Ham Bahar Par Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Aaina Tamasal Hai Jabin-Naaz Us Ka
Jo Saada Dill Hain Ban Sanvar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Jab Se Hamail Hain Us Ki Gardan Main
Mizaaj Aur Hi Laal-O Gauhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Chashm-E Tasavur Se Dasht-E Imkan Main
Palang Zawaiya Us Ki Kamar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Us Ke Badan Ke Tarash Aisay Hain
Ke Phuul Apani Qabayain Qatar Ke Dekhte Hain

Woh Sarvqad Hai Magar Begul-E Muraad Nahin
Ke Us Shajar Pe Shagufay Samar Ke Dekhte Hain

Bas Ek Nigah Se Lutata Hai Qafila Dil Ka
So Rahravaan-E Tamannaa Bhi Dar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Us Ke Shabistan Se Mutasil Hai Behisht
Makin Udhar Ke Bhi Jalway Idhar Ke Dekhte Hain

Rukay Tu Gardishain Us Ka Tawaf Karti Hain
Chalay To Us Ko Zamanay Theher Ke Dekhte Hain

Kisay Naseeb Ke Be Parahan Usay Dekhay
Kabhi Kabhi Dar-O Divaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaniyan Hi Sahi Sab Mubalaghay Hi Sahi
Agar Woh Khawb Hai Tabeer Kar Ke Dekhte Hain

Ab Us Ke Sheher Main Thehrain Ke Kooch Kar Jayan
Faraz Aao Sitaray Safar Ke Dekhte Hain

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha Sar-E-Raat Bazm Yeh Kya Huwa

Wednesday, May 14, 2014




Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha Sar-E-Raat Bazm Yeh Kya Huwa
Meri Aankh Kaise Chahlak Gayi Mujhe Ranj Hai Kay Yeh Bura Huwa

Meri Zindagi Kay Chiraagh Ka Yeh Mezaaj Kuch Naya Nahi
Abhi Roshni, Abhi Teergi Na Jalaa Huwa , Na Bhuja Huwa

Mujhe Koi Bhi Dushman-E-Jaan Mila Woh Pukhta'kaar Jahan Mila
Na Kissi Ki Zarb Ghalat Pari Na Kissi Ka Teer Khataa Huwa

Mujhe Rastey Main Para Huwa Aik Ajnabee Ka Khat Mila
Kahiin Khoon-E-Dil Se Likha Huwa Kahiin Aanso'on Se Mitta Huwa

Mujhe Humsafar Bhi Mila Tu Woh Sitam Zarf Meri Tarhan
Kayiin Manziloon Ka Thaka Huwa Kayiin Rastoon Main Lutta Huwa

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Iss Tarah Nahin Kartey Rabta To Rakhtey Hain

Wednesday, May 14, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Iss Tarah Nahin Kartey Rabta To Rakhtey Hain
Thora Milney Julney Ka Silsila To Rakhtey Hain

Manzilein Buland Hon To Mushkilein To Aati Hain
Mushkilon Se Alrney Ka Hosla To Rakhtey Hain

Jo Tumharey Apney Hon Tumse Piyar Kartey Hon
Unka Haal Kaisa Hai Kuch Pata To Rakhtey Hain

Dosti K Rishtey Ko Tortey Nahin Aisey
Roothey Doston Se Bhi Wasta To Rakhtey Hain

Chor Janey Waley Akser Lout K Bhi Atey Hain
Lout Kar Un K Aaney Ka Raasta To Rakhtey Hain

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Kaun Dariya Ko Ulatata Kaun Gauhar Dekhta [ Good Morning ]

Wednesday, May 14, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Har Tamashai Faqat Sahil Se Manzar Dekhta
Kaun Dariya Ko Ulatata Kaun Gauhar Dekhta

Wo To Duniya Ko Meri Divangi Khush A Gai
Tere Hathon Main Vagarna Pahala Patthar Dekhta

Ankh Main Ansu Jare The Par Sada Tujh Ko Na Di
Is Tavaqqo Par Ki Shayad Tu Palat Kar Dekhta

Meri Qismat Ki Lakirain Mere Hathon Main Na Thin
Tere Mathe Par Koi Mera Muqaddar Dekhta

Zindagi Phaili Hui Thi Sham-E-Hijran Ki Tarah
Kis Ko Itana Hausala Tha Kaun Ji Kar Dekhta

Dubane Vala Tha Aur Sahil Pe Cheharon Ka Hujum
Pal Ki Mohalat Thi Main Kis Ko Ankh Bhar Ke Dekhta

Tu Bhi Dil Ko Ik Lahu Ki Bond Samajha Hai ~:: Faraz ::~
Ankh Gar Hoti To Qatre Main Samandar Dekhta

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Tujhey Ishq Ho Khuda Karay .....

Tuesday, May 13, 2014

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Tujhey Ishq Ho Khuda Karay
Koe Tujh Ko Uss Sey Juda Karay

Tere Hont Hansna Bhool Jaian...
Teri Ankh Purnamm Raha Karay

To Uss Ki Batain Kya Karay
To Uss Ki Batain Sunna Karay

Ussay Dekh Kar To Ruk Paray
Woh Nazar Jhuka Kar Chala Karay...

Tujhey Hijjar Ki Woh Jharri Lagay
To Millan Ki Her Pall Dua Karay

Tere Khuwab Bikhrain Tott Kar
To Kirche Kirche Chunna Karay

To Nagar Nagar Phira Karay
To Galli Galli Sada Karay.

Tujhey Ishq Ho Phir Yakeen Hoo
Ussay Tasbihoon Per Parha Karay

Main Kahoon "Ishq Dhong" Hai
To Nahin Nahin Kaha Karay.!

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

shaam e gham jab bikhar gaiee hoo gee

Tuesday, May 13, 2014




Shaam E Gham Jab Bikhar Gaiee Hoo Gee
Janay Kis Kis Kay Ghar Gaiee Hoo Gee ?

Itni Larzaan Na Thee Chiraagh Ke Loo
Apnay Saye Say Dar Gayee Hoo Gee

Chandini Ik Shab Ke Mehmaan Thee
Subah Hootay Hee Mar Gayee Hoo Gee

Dair Tuk Woh Khafa Rahay Mujh Say
Door Tuk Yeah Khabar Gayee Hoo Gee

Aik Darya Ka Rukh Badaltay Hee
Aik Nadee Phir Utar Gayee Hoo Gee

Jiss Tarhaan Woh Safar Pay Nikla Tha
Saree Rounaq Udhar Gayee Hoo Gee

Raat Souraj Ko Dhoondnay Kay Liyeah
Ta Ba Hud E Sehar Gayee Hoo Gee

Mairee Yadoon Kee Dhoop Chaoon Mein
Uss Ke Sourat Nikhar Gayee Hoo Gee

Ya Taluq Na Nibh Saka Uss Say
Ya Tabiyaat Hee Bhar Gayee Hoo Gee

Tairi Pal Bhar Ke Dosti Raze
Uss Ko Bad'naam Kar Gayee Hoo Gee..

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon

Tuesday, April 15, 2014




Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon
Mein Is Jeevan Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon

Mera Guzra Hua Kaal To Mere Mazi Ka Hisah Hai
Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon

Khizain, Sardian, Garmi, Baharein, Barishein, Jara
Mein Har Mosaam Ka Har Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon

Tumhare Dukh, Udasi, Gham, Sabhi Ranj-O-Alam Lekar
Mein Yah Khushion Bhari Chagal Tumhare Naam Karta Hoon

Sitare Asmaan Ke Sab Tumhari Mang Mein Bhar Kar
Shaab-E-Tera Ka Sab Kajol Tumhare Naam Karta Hoon

Tumhare Bin Yah Har Aik Pal Mujahy Bechain Rakhta Hai
Mein Apna Dil Hai Jo Bekal, Tumhare Naam Karta Hoon

Barasta Bheegta Mosaam Hai Kamzori Meri Lakin
Mein Yah Sawan, Ghatta, Badal Tumhare Naam Karta Hoon

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Ye Jo Zindagi Ki Kitab

Monday, April 14, 2014


Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai Ye Kitab Bhi Kia Kitab Hai

Kahin Aik Haseen Sa Khawab Hai Kahin Janlewa Azab Hai

Kahin Ansoon Ki Hai Dastan Kahin Muskurahatain Behisab Hain
Kai Chehray Is Main Chupay Huay Aik Ajeeb Se Ye Naqaab Hai

Kahin Khoo Dia Kahin Pa Lia Kahin Roo Lia Kahin Gaa Lia
Kain Chean Leti Hai Har Khushi Kahin Mehrban Behisab Hai

Kahin Chaoon Hai Kahin Dhoop Hai Kahin Aur Koi Roop Hai
Kahin Barkatoon Ki Hai Barishain Kahin Tashnagi Behisaab Hai

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Akhtar Khatri

Woh Gazal Ki Sachchai Kitaab Hai

Sunday, April 06, 2014


Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Yuun Hii Besabab Na Phiraa Karo, Koii Shaam Ghar Bhii Rahaa Karo
Vo Gazal Kii Sachchii Kitaab Hai, Use Chupake Chupake Padaa Karo

Koii Haath Bhii Na Milaayegaa, Jo Gale Miloge Tapaak Se
Ye Naye Mizaaj Kaa Shahar Hai, Zaraa Faasale Se Milaa Karo

Abhii Raah Men Kaii Mod Hain, Koii Aayegaa Koii Jaayegaa
Tumhen Jisane Dil Se Bhulaa Diyaa Use Bhuulane Kii Duaa Karo

Mujhe Ishtahaar Sii Lagatii Hain, Ye Mohabbaton Kii Kahaaniyaan
Jo Kahaa Nahiin Vo Sunaa Karo, Jo Sunaa Nahiin Vo Kahaa Karo

Kabhii Husn-E-Pardaanashiin Bhii Ho Zaraa Aashiqaanaa Libaas Men
Jo Main Ban-Sanvar Ke Kahiin Chaluun, Mere Saath Tum Bhii Chalaa Karo

Ye Khizaa Kii Zard-Sii Shaam Men, Jo Udaas Ped Ke Paas Hai
Ye Tumhaare Ghar Kii Bahaar Hai, Ise Aansuon Se Haraa Karo

Nahiin Behijaab Vo Chaand Saa Ki Nazar Kaa Koii Asar Nahiin
Use Tanii Garmi-E-Shauq Se Badii Der Tak Na Takaa Karo

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS & Collecting By :
Akhtar Khatri
*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** 

Contact Us

Name

Email *

Message *