Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain Wednesday, May 14, 2014 Who Can Deny This Beautiful Ghazal ???????????Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte HainSo Us Ke Shahar Main Kuchh Din Thehr Ke Dekhte HainSuna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Halon SeSo Apne Aap Ko Bar-Baad Kar Ke Dekhte HainSuna Hai Dard Ki Gahak Hain Chashm-E Nazuk Us KiSo Ham Bhi Us Ki Gali Se Guzar Ke Dekhte HainSuna Hai Us Ko Bhi Hai Shaer-O Shayari Se ShagafSo Ham Bhi Mojazay Apnay Hunar Ke Dekhte HainSuna Hai Bole To Baaton Se Phool Jharrtay HainYe Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte HainSuna Hai Raat Use Chand Tak-Taa Rehta HaiSitaray Baam-E Falak Se Utar Kar Dekhtay HainSuna Hai Hashar Hain Us Ki Ghazaali Si AankhainSuna Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte HainSuna Hai Din Ko Usay Titliyan Sat-Taati HainSuna Hai Raat Ko Jugno Thahar Ke Dekhte HainSuna Hai Raat Se Barh Kar Hain Kakulan Us KiSuna Hai Sham Ko Saye Guzar Ke Dekhte HainSuna Hai Us Ki Siyah Chashmagi Qiyamat HaiSo Us Ko Surma Farosh Aankh Bhar Ke Dekhte HainSuna Hai Us Ke Labon Se Gulab Jalakte HainSo Ham Bahar Par Ilzaam Dhar Ke Dekhte HainSuna Hai Aaina Tamasal Hai Jabin-Naaz Us KaJo Saada Dill Hain Ban Sanvar Ke Dekhte HainSuna Hai Jab Se Hamail Hain Us Ki Gardan MainMizaaj Aur Hi Laal-O Gauhar Ke Dekhte HainSuna Hai Chashm-E Tasavur Se Dasht-E Imkan MainPalang Zawaiya Us Ki Kamar Ke Dekhte HainSuna Hai Us Ke Badan Ke Tarash Aisay HainKe Phuul Apani Qabayain Qatar Ke Dekhte HainWoh Sarvqad Hai Magar Begul-E Muraad NahinKe Us Shajar Pe Shagufay Samar Ke Dekhte HainBas Ek Nigah Se Lutata Hai Qafila Dil KaSo Rahravaan-E Tamannaa Bhi Dar Ke Dekhte HainSuna Hai Us Ke Shabistan Se Mutasil Hai BehishtMakin Udhar Ke Bhi Jalway Idhar Ke Dekhte HainRukay Tu Gardishain Us Ka Tawaf Karti HainChalay To Us Ko Zamanay Theher Ke Dekhte HainKisay Naseeb Ke Be Parahan Usay DekhayKabhi Kabhi Dar-O Divaar Ghar Ke Dekhte HainKahaniyan Hi Sahi Sab Mubalaghay Hi SahiAgar Woh Khawb Hai Tabeer Kar Ke Dekhte HainAb Us Ke Sheher Main Thehrain Ke Kooch Kar JayanFaraz Aao Sitaray Safar Ke Dekhte HainWARM REGARDS & Collecting By :Akhtar Khatri*****Help What We Can With Others In Need...The World Is ONE Big Family***** Share This Story Share on Facebook Share on Twitter Pin this Post Tags: Akhtar Khatri, Arzoo, Collection Shayari, Dard Shayari, Dreams, Gazal, Pyar, Tamanna, Yaad Newer Post Older Post You Might Also Like 0 blogger-facebook
0 blogger-facebook