Tamanna Phir Machal Jaye Agar Tum Milne Aajao
Ye Mousam Hi Badal Jaye Agar Tum Milne Aajao
Mujhe Ghum Hai Ki Meine Zindagi Men Kuch Nahi Paya
Yeh Ghum Dil Se Nikal Jaye Agar Tum Milne Aajao
Nahi Milte Ho Mujhse Tum Toh Sab Humdard Hain Mere
Zamana Mujhse Jal Jaye Agar Tum Milne Aajao
Yeh Duniya Bhar Ke Jhagde Ghar Ke Qisse Kaam Ki Baatein
Bhala Har Ek Tall Jaye Agar Tum Milne Aajao
WARM REGARDS Collecting By :
Mrs Rubina Yasmeen
اجلِ ہنگام سے پہلے
اندھیری شام سے پہلے
تمہارا نام لیتے ہیں
سبھی کے نام سے پہلے
اُسے کہنا
ایسے کب بُھلاتے ہیں محبت کو
کئی برسوں کی قُربت کو
گئے بچپن کی محبت کو
اگر اس شہر سے گزرو
تو اے کُونجو، اُسے کہنا
در سبھی، ابھی وا ہیں
میرے گھر آتی راہوں کے
یہ حلقے میری بانہوں کے
اگر ممکن ہو تو لوٹ آئے
سوادِ شام سے پہلے
کسی انجام سے پہلے
کُھلی آنکھوں سے اُسے دیکھوں
اجلِ ہنگام سے پہلے
Man atkeya beparwah de nal
Us deen duni de shah de nal
Wasdi har dam mann mere wich, soorat yar pyare di
apne shah nu ap rajawan, hajat nai pasaray di
kahe husain faqeer numanrha, theewan khaak daware di
Qazi mullah matti dende
kharay sayane rah dasende
ishq kee lagay rah de nal
Man atkeya beparwah de nal
Nadiyon paar ranjhan da thhana
keetay qol zaroori jana
mintaan karan mallah de nal
Sajan bin raatan hoian waddiyan
ranjha jogi mein jogiani
kamli kar kar saddyan
sajan bin raatan hoian waddiyan
mein han ayani nooh kee jana
birhon tanawan gaddiyan
kahe husain faqeer sayein da
dar te cholian addiyan mein
uss deen duni de shah de nal
Man atkeya beparwah de nal
kahe husain faqeer numanrha
sache sahib nu mein jana
aurhak kam Allah de nal
Man atkeya beparwah de nal
Us deen duni de shah de nal
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
zeher ho ya dawa ho tere siwa kuch nahin
zindgi jaan-o-wafa tere siwa kuch nahin
umaar k saray mosam tere naam ker diy
dekh le dil ba khuda tere siwa kuch nahin
chaand taare phool kaliaan our khushbu ka safar
aarzu ki hai sada tere siwa kuch nahin
hosh kaise rakh sake gi tu hi bata jane jaan
wo agar keh de mera tere siwa kuch nahin
kis tarah dharkay mera dil kisi our k wastay
jab mere dil mein tere siwa kuch nahin
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
**~~**TERE SIWA**~~**
mere hum safar..
mere hum nasheen..
mein ne RAB se manga to kuch nahin..
mein ne jab b mangi koi DUA!
nahin managa kuch bhi " TERE SIWA"
ye talab kia k eh khuda k sabhi rahtain..
sabhi chahtain..
wo atta kere tujhe manzilain..
ye talab kia k eh mere khuda,
tujhe bakht de..
tujhe taaj de..
tujhe takhat de..
MERE CHARA GAR........
ye pyaar ka kathan safar..
mere saath chalna zara soch ker..
zara dekh lo mera honsla..
mere pass jo bi hai wo hai tera...
nahin or kuch b " TERE SIWA "
meri dosti..
meri zindagi..
meri khamoshi..
meri jaan..
meri bebasi..
mera ilm bi..
mera naam bi..
k meri subha
k meri shaam bi..
k jo mil sakien mere daam bi..
wo sabhi kuch tujhe atta ker..
MERE CHARA GAR tu yakeen to ker....
mujhe mangna to na aa saka..
mein phir b mangi yahi DUA..
k gawahi de ga mera khuda........
mein ne jab b uss se talab kia!!!
nahin manga kuch bi " TERE SIWA.........
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
mere ham-nafas, mere ham-navaa, mujhe dost banake daGaa na de
mai.n huu.N dard-e-ishq se jaa.N_valab, mujhe zindagii kii duaa na de
mere daaG-e-dil se hai raushanii, usii raushanii se hai zindagii
mujhe Dar hai aye mere chaaraagar, ye charaaG tuu hii bujhaa na de
mujhe chho.D de mere haal par, teraa kyaa bharosaa hai chaaraagar
ye terii nawaazish-e-muKhtasar, meraa dard aur ba.Daa na de
meraa azm itanaa bala.nd hai ke paraaye sholo.n kaa Dar nahii.n
mujhe Khauf aatish-e-gul se hai, ye kahii.n chaman ko jalaa na de
wo uThe hai.n leke hom-o-subuu, arey o 'Shakeel' kahaa.N hai tuu
teraa jaam lene ko bazm me.n koii aur haath ba.Daa na de
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
tere baGair ye ab zindagi kahan guzare
qadam qadam pe tere saath kaa guman guzare
ye din jo dhire se phisalaa to shaam ke manzar
tere baGair udaasi ke daramiyan guzare
vo ashk hun ki sar-e-rah gir gaya thaa kabhi
uTha saka na koi kitane karavan guzare
main Khushk hoke bikharata raha hun pairon mein
bahut zamana hua mujh pe kashtiyan guzare
tere badan ka alao ho meri saanson mein
kabhi vo lamha bhi ik baar jaan-e-jaan guzare
ye baat ab bhi nahin hai kisi se kahane ki
tamaam sajde tere dar se rayagan guzare
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
By : Ahmed Faraz
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
shikwa gila kare na
kissi se kuch bolein
ek doosre se milke gale
chalo ro lein
majbooriyon ki lau se
sulagti hai jaan
apna dard koi jaane na
toot gaya dil toot gaya
saanson ka bandhan choot gaya
waqt bhi humse rooth gaya
saanson ka bandhan choot gaya
toot gaya dil toot gaya
humne tumse pyar kiya hai
sabh kuch tumpe waar diya hai
tum jaano na
tum ho dhadkan tum zindagani
tumse juri hai saari kahani
tum maano na
kis mod pe chale aaye
tumhe kho sake na hum paaye
hum chahake bhi tumse mil sake na
toot gaya dil toot gaya
abh koi armaan nahin hai
jism to hai par jaan nahin hai
kya aalam hai
charon taraf hai yaadon ke mele
tum tanha ho hum hain akele
kya ghum hai
kehna hai jo na kahe paye
khamosh bhi na rahe paye
awaaz ban gayi hai bezubaan
toot gaya dil toot gaya
saanson ka bandhan choot gaya
waqt bhi humse rooth gaya
saanson ka bandhan choot gaya
shikwa gila kare na
kissi se kuch bolein
ek doosre se milke gale
chalo ro lein
majbooriyon ki lau se
sulagti hai jaan
apna dard koi jaane na .
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Pyaari Maa...Mamaa
Haatho ki lakerien badal jayengi
Gum ki yeh zanjeerein Peeghal jayengi
Ho khuda pe bhi aasar
Tu duaon ka hai ghar
Pyaari Maa...Mammaa
Begdi kismat bhi sawanr jaayegi
Zindagi tarane khushi ke gayegi
Tere hote kiska dar
Tu duawon ka hai ghar
Pyaari Maa...Mammaa
Yun tu mein
Sab se nyara hoon
Tera maaa mein dulara hoon
Duniya mein jeene se jyada uljhan hai maaa
Tu hai amar ka jahan
Tu gussa karti hai
Bada accha lagta hai
Tu kaan pakati hai
Badi zor se lagta hai
Meri Maa
Pyaari Maa...Mammaa
Haatho ki lakerien badal jayengi
Gum ki yeh zanjeerein Peeghal jayengi
Ho khuda pe bhi aasar
Tu duawon ka hai ghar
Pyaari Maa...Mammaa
Good Morning All .
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Haatho ki lakerien badal jayengi
Gum ki yeh zanjeerein Peeghal jayengi
Ho khuda pe bhi aasar
Tu duaon ka hai ghar
Pyaari Maa...Mammaa
Begdi kismat bhi sawanr jaayegi
Zindagi tarane khushi ke gayegi
Tere hote kiska dar
Tu duawon ka hai ghar
Pyaari Maa...Mammaa
Yun tu mein
Sab se nyara hoon
Tera maaa mein dulara hoon
Duniya mein jeene se jyada uljhan hai maaa
Tu hai amar ka jahan
Tu gussa karti hai
Bada accha lagta hai
Tu kaan pakati hai
Badi zor se lagta hai
Meri Maa
Pyaari Maa...Mammaa
Haatho ki lakerien badal jayengi
Gum ki yeh zanjeerein Peeghal jayengi
Ho khuda pe bhi aasar
Tu duawon ka hai ghar
Pyaari Maa...Mammaa
Good Morning All .
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
jo bhii ghar se jaataa hai
ye kah kar hii jaataa hai
dekho, mujh ko bhuul na jaanaa
maiN phir lauT ke aauuNgaa
dil ko acche lagne vaale
laakhoN tuhfe laauuNgaa
naye naye logN kii baateN
aa kar tumheN sunaauuNgaa
lekin aaNkheN thak jaatii haiN
vo vaapis nahiiN aataa hai
log bahut haiN aur vo akelaa
un meN gum ho jaataa hain
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
Awwal Allah Noor Upaya Qudrat Keh Sub Banday
Aik Noor Keh Sub Jag Upajiya Kaun Bhale Ko Mandhe
Logaa Bharam Na Bhoolahu Maahi
Khaliq Khalq Khalaq Meh Khaaliq Poor Rahio Sarab Tha'ee
Maati Aik Anaik Bhaanth Ker Saaji Sajan Haray
Na Kash Poch Maati Kay Bhanday Na Kash Poch Kunbharay
Sub Meh Sacha Aiko Soee Dis Ka Keya Sub Kuch Hoyi
Hukm Pachanay Saee Ko Janay Banda Kahiyeah Soee
Allah Alkh Na Jaee Lakhiya Gur Gur Dheena Meetha
Kahay Kabir Mair Sanka Naase Sarab Niranjan
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****