Ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jaaye
Wednesday, June 26, 2013Ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jaaye
Jisme insaan ko insaan banaya jaaye
Aag behti hai yahan, Ganga mein bhi Zamzam mein bhi
Koi batlaaye kahan jaa ke nahaya jaaya
Ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jaaye...
Mera maqsad hai yeh mehfil rahe roshan yunhi
Khoon chahe mera deepon mein jalaya jaaye
Ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jaaye...
Mere dukh-dard ka tujh par ho asar kuch aisa
Main rahun bhookha to tujhse bhi naa khaya jaaye
Ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jaaye...
Jism do ho ke bhi dil ek hon apne aise
Mera aansun teri palkon se uthaya jaaye
Ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jaaye...
Geet gumsum hai, ghazal chup hai, rubaayi bhi dukhi
Aise maahaul mein 'Neeraj' ko bulaya jaaye
Ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jaaye...
WARM REGARDS Collecting By :
Akhtar khatri
*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
0 blogger-facebook