Kyon ki maa to maa hoti hai na

Friday, June 14, 2013

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group


Hamari dekhbhal ke liye khuda ne,
Bade hi pyar se ek pyari cheej banayi hai.
Jab bhi aanshu aaye aankhon me meri,
Unhe ponchhane sabse aage maa hi aayi hai.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Dhoop me chalta to aanchal se chaanv karti,
Mujhe chaanv dekar vo khud dhoop me jalti.
Pyar karti hai vo hame bepanah,
Surat uski kitni bholi bhali hoti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Har par hame usne khushi aur sukh diya,
Badle me hamse aanshuon ke siva kuch na liya.
Dukh diye hai humne unhe kitne hi,
Vo unhe bhi to chupchap sahti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Aaj use kya ho gaya hai e khuda,
Kyon use fever bhi aaya hai e khuda.
De de tu uske saare gum mujhe,
Maa ka karz to santan hi bharti hai na,
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Dar pe tere hazar diye jalaunga,
Maa ko kabhi fir na sataunga.
Abhi man nahi bhara hai uske pyar se mera,
Maa ki jarurat to e khuda tujhe bhi hoti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Kyon aaj chupchap leti hai vo mujhse bina baat karke,
Aaj kyon nahi bolti vo mujhse mujhe yaad karke.
Uski har mushkilon ko usse pahle mein milun har bar,
Maa ke bina kisi ki jindagi nahi kat-ti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Meri har khushi aaj mujhse le le tu,
Par badle me meri maa mujhe de de tu.
Meri tanhaeyon ka aur koi sahara nahi,
Maa kisi ko bar-bar nahi milti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Meri maa mujhe de de tu.
Kyon ki maa to maa hoti hai na.

Non Stop Beautiful Shayaries More Only @ Beautiful-Shayari Group

WARM REGARDS Collecting By :
Sanjeev

You Might Also Like

0 blogger-facebook

Contact Us

Name

Email *

Message *